Kya koi Roza Rakhe or Namaz na pdhe to Roza Qubool hoga?


Kya koi Roza Rakhe or Namaz na pdhe to Roza Qubool hoga?

بسم الله الرحمن الرحیم

Nabi ﷺ ne Farmaya:
Jisne "Asar" ki Namaz Chori uske Sare Amal Zaya (Bekar) ho gye.
(Sahi Bukhari:553)

Zara Sochiye Nabi ﷺ ne yaha Sirf "Asar" Ki Namaz Chorne walo ke bare me kaha ki Uske Amal Bekar ho gye, Agr koi Saari Namaz Chor raha hoto uska baki Amal kaise Qubool hoga?

kisi bhi Amal ko Qubool hone ke kiye Shart hai ki aap Shirk ya Kufriya Amal na krte ho.
Or NAMAZ ke bare me Rasoolullah ﷺ ne Farmaya:
Jisne (jaan boojh kar) Namaz ko chhora usne kufr kiya
[Ibne Maja:- 1079]

Or Shirk ya kufr krne wale ke Amal Qubool nahi hote:

Allah ne kaha:
"(Ai nabi ﷺ) beshak apki taraf bhi aur apse pehle (k tamaam nabiyo) ki taraf bhi wahi ki gai hai k agar apne shirk kiya to beshak apka "amal zaaya (bekar)" ho jaega or aap nuqsan uthane walo me se ho jaenge"
(surah zumar 39, ayat-65)

En Sari Hadeeso ke Mutalliq Ulma ye Kahte hain ki Koi Namaz Jaan boojh kar Chhore to Uska Roza bhi Qubool nhi hoga.

Wallhu Alam (Allah Knows best)
 

Umar Asari

Administrator
Staff member
Zara Sochiye Nabi ﷺ ne yaha Sirf "Asar" Ki Namaz Chorne walo ke bare me kaha ki Uske Amal Bekar ho gye, Agr koi Saari Namaz Chor raha hoto uska baki Amal kaise Qubool hoga?
Yeh kis ka istedlaal hai? Is istedlaal mein khawaarij ki boo aa rahi hai.
Or NAMAZ ke bare me Rasoolullah ﷺ ne Farmaya:
Jisne (jaan boojh kar) Namaz ko chhora usne kufr kiya
Kya yahan millat se khurooj waala kufr muraad hai? Kiun ek istelaah kufr doona kufr ki bhi paayi jaati hai.
 

Similar threads


Top