Kya Khilafat Sirf 30 Saal Tak Rahegi ? Kya Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu Khaleefa nahi the ?


Abdul Adil

Member
Topic :- Kya Khilafat Sirf 30 Saal Tak Rahegi ? Kya Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu Khaleefa nahi the ?

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Engineer Muhammad Ali Mirza aur uske followers hamesha aaye din ye kahte hai ki Khilafat sirf 30 saal tak thi uske baad badshahat shuru ho gayi , Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu sirf Badshah the khaleefa nahi the aur Maulana Maudoodi Sahab ne isi par ek poori kitab likh di hai "Khilafat O Muluqiyat"

Kya Waqai Mein khilafat 30 saal baad khatm ho gayi thi aur kya Muawiyah Razi Allahu Anhu khaleefa nahi the ?

Quran , Sahih Hadees aur Manhaz E Salaf ki roshni mein

Engineer Muhammad Ali Mirza aur unke pairokaar ek riwayat Jamey Tirmizi se pesh karte hai

Tirmizi Ki riwayat kuch is tarah se hai

۞ Imam Tirmizi Rahimahullah kahte hai

حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مَنِيعٍ، حَدَّثَنَا سُرَيْجُ بْنُ النُّعْمَانِ، حَدَّثَنَا حَشْرَجُ بْنُ نُبَاتَةَ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُمْهَانَ، قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنِي سَفِينَةُ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ الْخِلَافَةُ فِي أُمَّتِي ثَلَاثُونَ سَنَةً ثُمَّ مُلْكٌ بَعْدَ ذَلِكَ ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ قَالَ لِي سَفِينَةُ:‏‏‏‏ أَمْسِكْ خِلَافَةَ أَبِي بَكْرٍ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ قَالَ:‏‏‏‏ وَخِلَافَةَ عُمَرَ، ‏‏‏‏‏‏وَخِلَافَةَ عُثْمَانَ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ قَالَ لِي:‏‏‏‏ أَمْسِكْ خِلَافَةَ عَلِيٍّ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ فَوَجَدْنَاهَا ثَلَاثِينَ سَنَةً، ‏‏‏‏‏‏قَالَ سَعِيدٌ:‏‏‏‏ فَقُلْتُ لَهُ:‏‏‏‏ إِنَّ بَنِي أُمَيَّةَ يَزْعُمُونَ أَنَّ الْخِلَافَةَ فِيهِمْ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ كَذَبُوا بَنُو الزَّرْقَاءِ بَلْ هُمْ مُلُوكٌ مِنْ شَرِّ الْمُلُوكِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ أَبُو عِيسَى:‏‏‏‏ وَفِي الْبَابِ عَنْ عُمَرَ، ‏‏‏‏‏‏وَعَلِيٍّ، ‏‏‏‏‏‏قَالَا:‏‏‏‏ لَمْ يَعْهَدِ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي الْخِلَافَةِ شَيْئًا، ‏‏‏‏‏‏

وَهَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ، ‏‏‏‏‏‏

Tarzuma :- Ham se Safina Razi Allahu Anhu ne bayan kiya ki Rasoolullah ﷺ ne faramaaya 👇

Meri ummat mein 30 saal tak khilafat rahegi fir uske baad muluqiyat aa jayegi fir mujse Safina Razi Allahu Anhu ne kaha Abu Bakar Razi Allahu Anhu ki khilafat , Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ki khilafat , Hazrat Usman Razi Allahu Anhu ki khilafat aur Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ki khilafat Shumar karo . Raawi Hashraz Bin Nubaata Kahte hai ki hamne use 30 saal paya . Sayeed Bin Zumhan kahte hai ki maine Safina Razi Allahu anhu se kaha Banu Umaiyyah Ye samajhti hai ki khilafat unme hai ? kaha banu Jarqa'a jooth aur galat kahti hai balki unka shumaar to badtareen badhshao me hai

[Tirmizi #2226]

Musannaf Ibne Abi Shaiba mein ye riwayat kuch is tarah se hai

۞ Imam Ibne Abi Shaiba Rahimahullah kahte hai

حَدَّثَنَا الْفَضْلُ حَدَّثَنَا حَشْرَجُ بْنُ نَبَاتَۃَ ، قَالَ : حدَّثَنِی سَعِیدُ بْنُ جُمْہَانَ قُلْتُ لِسَفِینَۃِ ، إنَّ بَنِی أُمَیَّۃَ یَزْعُمُونَ ، أَنَّ الْخِلاَفَۃَ فِیہِمْ ، قَالَ : کَذَبَ بَنُو الزَّرْقَائِ ، بَلْ ہُمْ مُلُوکٌ مِنْ أشداء الْمُلُوک ، وَأَوَّلُ الْمُلُوکِ مُعَاوِیَۃُ۔

Hazrat Sayeed Bin Zumah Kahte hai ki maine Hazrat Safeena Razi Allahu Anhu se kaha ki Banu Umaiyyah khayal karte hai ki khilafat unhi mein hai , unhone farmaya ki Banu Jarqa'a ne jhooth bola , wo shakth badshaho mein se hai aur pahle badshah Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu hai.

[Musannaf Ibne Abi Shaibab Jild - 9 Hadees Number : 6213 & International Number : 37157]

Note :- Ye riwayat Musanad Ahmad mein detail mein hai aur Saeed Bin Zumhan Ki Mulaqat Hazrat Safeena Razi Allahu Anhu se Batan E Nakhla mein Hajjaz Bin Yousuf ke daur mein huyi thi na ki Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu ke daur mein ya Yazeed ke daur mein.

[Musnad Ahmad Jild - 9 Hadees Number 1992 & International Number 21928]

Yahi wo hadees hai jisko daleel banakar mirza sahab aur uske followers Ameer e Muawiya Razi Allahu Anhu ko badshah mante hai , Khaleefa nahi mante , halakin jab saari hadeeson ko jama kiya jaye to usse pata chalta hai ki Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu khaleefa bhi the , Badshah bhi the.

۞ Irshad E Baari Ta'ala hai

وَعَدَ اللّٰہُ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا مِنۡکُمۡ وَ عَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ لَیَسۡتَخۡلِفَنَّہُمۡ فِی الۡاَرۡضِ کَمَا اسۡتَخۡلَفَ الَّذِیۡنَ مِنۡ قَبۡلِہِمۡ ۪ وَ لَیُمَکِّنَنَّ لَہُمۡ دِیۡنَہُمُ الَّذِی ارۡتَضٰی لَہُمۡ وَ لَیُبَدِّلَنَّہُمۡ مِّنۡۢ بَعۡدِ خَوۡفِہِمۡ اَمۡنًا ؕ یَعۡبُدُوۡنَنِیۡ لَا یُشۡرِکُوۡنَ بِیۡ شَیۡئًا ؕ وَ مَنۡ کَفَرَ بَعۡدَ ذٰلِکَ فَاُولٰٓئِکَ ہُمُ الۡفٰسِقُوۡنَ

Tum mein se un logon se jo Iman laye hai aur nek amal kiye hai Allah Ta'ala waada farma chuka hai ki unhe jaroor jameen mein Khaleefa banayega jaise ki un logon ko Khaleefa banaya tha jo usse pahle the aur yakeenan unke liye unke us deen ko mazbooti ke sath mohkam karke jama dega jise unke liye wo pasand farma chuka hai aur unke us khauf wa khatr ko aman o amaan se badal dega , wo meri (Allah) ki ibadat karenge mere saath kisi ko bhi shareek na thahrayenge uske baad bhi jo log na-shukri aur kufr kare wo yakinan fashik hai.

[Surah Al-Noor , Aayat Number : 55]

Is Aayat Ki Tafseer mein Imam Ibne Kaseer Rahimahullah kahte hai 👇

Aur Riwayat mein yaha tak ki Allah Ka Waada aa jayega , ek aur riwayat mein hai yahan tak ki yahi jamat sabse akhir Dajjal se jihad karegi aur Hadees mein hai ki Hazrat Eesa Alaihissaam ke utarne tak ye log kafiron par galib rahenge , ye sab riwayat Sahih hai aur ek hi matlab sabka hai.

Note :- Is Aayat se pata chalta hai ki Allah Ta'ala un logo ko jameen ka Khaleefa har waqt banata rahega jo Allah par imaan laye aur shirk na kiya. Agar khilafat 30 saal ke baad khatam ho gayi to fir Allah ne ye kyu kaha ki ham un logon ko jaroor khaleefa banayege jameen ka wo mujh par iman layenge aur shirk na karenge ?

۞ Allah Ke Rasool ﷺ ne farmaya

كَانَتْ بَنُو إِسْرَائِيلَ تَسُوسُهُمُ الْأَنْبِيَاءُ كُلَّمَا هَلَكَ نَبِيٌّ خَلَفَهُ نَبِيٌّ ، وَإِنَّهُ لَا نَبِيَّ بَعْدِي وَسَيَكُونُ خُلَفَاءُ فَيَكْثُرُونَ ، قَالُوا : فَمَا تَأْمُرُنَا ، قَالَ : فُوا بِبَيْعَةِ الْأَوَّلِ فَالْأَوَّلِ أَعْطُوهُمْ حَقَّهُمْ فَإِنَّ اللَّهَ سَائِلُهُمْ عَمَّا اسْتَرْعَاهُمْ.

" Bani Israyil Ke Ambiya unki siyasi rahnumaayi bhi kiya karte the jab bhi unka koyi Nabi Halaak ho jata to doosre unki jagah Aa mauzood hote , lekin yaad rakho mere baad koyi Nabi Nahi ayega. Han mere khaleefa hoge aur bahut honge. Sahaba ne arz kiya ki unke mutalliq aapka hame kya huqm hai ? Aap ﷺ ne farmaya ki sabse pahle jisse bayt kar lo bas usi ki wafadaari par qayem raho aur unka jo haq hai uski adayegi mein kotahi na kro kyunki Allah Ta'ala unse qayamat ke din unki ria'yaa ke bare mein sawal karega"

[Sahih Bukhari Hadees Number : 3455]

Is Hadees se pata chala ki Rasoolullah ﷺ ki wafat ke baad bahut se Khaleefa honge , aur agar Khilafat sirf 30 Saal tak hi thi to Rasoolullah ﷺ ne ye kyun kaha ki Mere wafat ke baad Bahut se khaleefa honge ?

۞ Hazrat Jabir Bin Samurah Razi Allahu Anhu Se riwayat hai ki Allah Ke Rasool ﷺ ne farmaya

«لَا يَزَالُ الْإِسْلَامُ عَزِيزًا إِلَى اثْنَيْ عَشَرَ خَلِيفَةً»، ثُمَّ قَالَ كَلِمَةً لَمْ أَفْهَمْهَا، فَقُلْتُ لِأَبِي: مَا قَالَ؟ فَقَالَ: «كُلُّهُمْ مِنْ قُرَيْشٍ

‘‘ Barah (12) khalifon tak Islam galib rahega’’ Fir Aapne ek kalma farmaya jisko main nahi samajh saka , maine apne walid se poocha , Aap ﷺ ne kya farmaya ? Unhone kaha : Allah Ke Rasool ﷺ ne faramaaya "wo Sab Qurasih mein se hoge"

[Sahih Muslim Hadees Number : 1821 {4708}]

Is hadees se pata chala ki 12 khaleefa hoge , Ab agar khilafat 30 saal baad khatm ho jati jaisa Ki Ali Mirza aur uske followers kahte hai to Rasoolullah ﷺ ne ye kyun kaha ki Islam 12 khalifon tak galib rahega aur sab Khaleefa quraish se honge ? Hazrat Ameer E Muawiyah Razi Allahu Anhu chathe (six) Number ke khaleefa the aur Quraish se the.

۞ Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu ne Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu ko khaleefa kaha hai.

[Sahih Ibne Khuzaimah Hadees Number : 2408 Wa Sanad Sahih]

۞ Sayyadana Jabir Bin Abdullah Razi Allahu Anhu ne "Khilafat Muawiya Bin Abi Sufiyan" kaha hai.

[Musanad Ahmad Hadees Number : 15281 , Sunan Darmi Hadees Number : 46 Wa Sanad Sahih]

۞ Tabeyi Imam Nafey Rahimahullah ne Muawiya Razi Allahu Anhu ke daur e iqtedaar ko "Khilafat" kaha hai.

[Sahih Muslim Hadees Number : 1547 {3938}]

۞ Tabeyi E Kabeer Jubair Bin Nufair Rahimahullah (Died 80 Hijj) ne bhi "Khilafat E Muawiyah" kaha hai

[Musanad Ahmad Hadees Number : 17734 Wa Sanad Sahih]

۞ Hafiz Ibne Abdur Barr Rahimahullah (Died 463 Hijj) ne kaha

لا خلاف بين العلماء أن الحسن إنما سلم الخلافة لمعاوية حياته لا غير، ثم تكون له من بعده، وعلى ذلك العقد بينهما ما انعقد في ذلك، ورأى الحسن ذلك خيرا من إراقة الدماء في طلبها، وإن كان عند نفسه أحق بها .

Is bare mein ulema ka koyi ikhtelaaf nahi ki Sayyadana Hasan Razi Allahu Anhu ne apni jindagi mein Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ko Khilafat saunp di thi , fir Sayyadana Hasan Razi Allahu Anhu ke baad bhi Khilafat Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ke pass rahi . Is par Sayyadana Hasan Aur Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhuma ke beech jo muhaidah tay paya so paya , Hasan Razi Allahu Anhu ne use khoon bahane se behtar samjha , Agarche Aap Razi Allahu Anhu Khilafat ka jyada haq rakhte the.

[Al-Istiyaab 1/387]

۞ Hafiz Ibne Sa'ad Rahimahullah (Died 230 Hijj) ne kaha


كانت ولايته على الشام عشرين سنة أميرا، ثم بويع له بالخلافة، واجتمع عليه بعد علي بن أبي طالب، فلم يزل خليفة عشرين سنة حتى مات ليلة الخميس، للنصف من رجب، سنة ستين .

Muawiyah Razi Allahu Anhu 20 saal tak sham (Syria) ke governor rahe , fir unki Khilafat par bayt ho gayi , Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ki shahadat ke baad Ummat E Muslima ka un par ittefaq hua , wo 20 Saal Khaleefa rahe. akhir 15 rajab 60 Hijri ko jumerat ki raat wafat pa gaye.

[Al-Tabqaat ul Kubra 7/285]

۞ Allama Yousuf Nabhani Rahimahullah (Died 1350 Hijj) ne kaha

أما خلافة معاوية بن أبي سفيان فثابتة صحيحة بعد موت على رضي الله عنه .

Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ki wafat ke baad Sayyadana Muawiyah Bin Abi Sufiyan Razi Allahu Anhu ki khilafat Sahih sabit hai.

[الأساليب البديعة في فضل الصحابة وإقناع الشيعة، ص 33]


۞ Allama Ayni Hanafi Rahimahullah (Died 855 Hijj) ne kaha

انعقد الإجماع على خلافة معاوية رضي الله عنه بعده .

Sayyadana Hasan Razi Allahu Anhu ke baad Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ki khilafat par ijma ho gaya tha.

[Al-Binaya Sharah Al-Hidaya 9/14]

۞ Allama Ibne Hajar Hitaimi Rahimahullah (Died 974 Hijj) farmate hai

إجتماع أهل الحل والعقد عليه صار خليفة حق مطاعا يجب له من حيث الطواعية والانقياد ما يجب للخلفاء الراشدين قبله .

Sayyadna Muawiyah Razi Allahu Anhu ki khilafat par Ahlil Hil Wal Aqad ka ijma ho gaya , jisse wo khaleefa haq naam-zad ho gaye unki it'aat aur farmabardaari usi tarah waazib hogi jis tarah unse pahle Khulafa E Raashideen ki it'aat waazib thi.

[الصواعق المحرقة : 629/2]

Allama Ibne Hajar Hitaimi Rahimahullah mazeed Farmate hai

كان ترجيه صلى الله عليه وسلم لوقوع الإصلاح بين أولئك الفئتين العظيمتين من المسلمين بالحسن فيه دلالة أي دلالة على صحة ما فعله الحسن وعلى أنه مختار فيه وعلى أن تلك الفوائد الشرعية وهي صحة خلافة معاوية وقيامه بأمور المسلمين وتصرفه فيها بسائر ما تقتضيه الخلافة، مترتبة على ذلك الصلح، فالحق ثبوت الخلافة لمعاوية من حينئذ وأنه بعد ذلك خليفة حق وإمام صدق .

Rasoolullah ﷺ ki ye ummed ki Hasan Razi Allahu Anhu ke zariye Musalmano ki do badi jamaton ke darmiyan sulah waqey hogi. isme Daleel hai ki Sayyadana Hasan Razi Allahu Anhu ne jo kiya durust tha aur is mamle mein wo khud mukhtar the . nez daleel hai ki ye sharai fawaid yani Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ki khilafat ka sahih hona , Musalmano ke mamlaat ko sambhalna aur un mamlaat mein unka usi tarah tasarruf karna jo khilafat ka taqaaza hai ye sab umoor usi sulah par murattab hai. Lihaja haq baat yahi hai ki (Jab Rasoolullah ﷺ ne khilafat wali Hadees bayan ki thi) usi waqt se Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ke liye khilafat sabit ho gayi thi fir Sulah ke baad Muawiyah Razi Allahu Anhu Khaleefa E Haq aur Sacche Imam Muntakhab huye.

[الصواعق المحرقة : 625/2]

Maulana Maudoodi Sahab , Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu ko khaleefa nahi mante the unka kahna hai ki Khilafat 30 Saal baad khatam ho gayi , Lekin Muawiyah Razi Allahu Ke wafat ke kayi Saal Baad paida hone wale Ameer Umar Bin Abdul Azeez Rahimahullah ko khaleefa mante hai , Jabki unhi ka kahna hai Khilafat 30 Saal bad khatam ho jayegi , Jab Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu unki nazar me khaleefa nahi hai to Umar Bin Abdul Azeez Rahimahullah Kaise Khaleefa ho gaye ? Ye double standard kyu ?

Allah Ta'ala Hame Sahaba Ki Izzat Karne ki Taufeeq ata farmaye Ameen Ya Rabbul Alameen
 

Top