Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne Yazeed bin Mu’awiyah par jarah ki hai?

Tehqeeq: Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Romanised by: Umar Asari

Ek qaul Sahih Sanad ke saath Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah se manqool hai jis mein Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne Yazeed bin Mu’awiyah par jarah ki hai lekin baad mein is se bhi rujoo’ kar liya tha. Tafseel aage aa rahi hai:
Imam Abu Bakr Al-Khilaal (Died on: 311 Hijri) ne kaha:
أخبرني محمد بن علي قال ثنا مهنى قال سألت أحمد عن يزيد بن معاوية بن أبي سفيان قال هو فعل بالمدينة ما فعل قلت وما فعل قال قتل بالمدينة من أصحاب النبي وفعل قلت وما فعل قال نهبها قلت فيذكر عنه الحديث قال لا يذكر عنه الحديث ولا ينبغي لأحد أن يكتب عنه حديثا قلت لأحمد ومن كان معه بالمدينة حين فعل ما فعل قال أهل الشام قلت له وأهل مصر قال لا إنما كان أهل مصر معهم في أمر عثمان رحمه الله
السنة للخلال 3/ 520 ، رقم 845 قال المحقق: إسناده صحيح وھو کذلک
Tarjumah: Muhanna bin Yahya kehte hain ke main ne Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah se Yazeed bin Mu’awiyah ke baare mein poocha to unhon ne kaha: Woh wahi hai jis ne Madinah mein woh kiya jo kiya, main ne kaha: Kya kiya? To unhon ne kaha: Madinah mein kayi Sahaba ko qatl kiya aur bhi kiya, main ne kaha: Aur kya kiya? To unhon ne kaha: Madinah mein loota, main ne kaha: To kya us se Hadees bayan ki jaaye? Unhon ne kaha: Us se Hadees bayan na ki jaaye aur kisi ke liye munasib nahi ke us se Hadees likhe, main ne Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah se kaha: Us waqt Madinah mein us ke saath kon log they jab us ne Madinah mein woh kiya jo kiya? Unhon ne kaha: Ahl e Shaam they, main ne kaha: Aur Ahl e Misar? Unhon ne kaha: Nahi, Misr waale to Usman Radhiallahu Anhu ke mu’aamle mein un ke saath they.

Yahi woh qaul hai jo Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah se Sahih Sanad se saabit hai lekin is se istadlaal durust nahi kiunki is qaul ki buniyaad sabit nahi neez Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne is se rujoo’ bhi kar liya tha.
Darasal is riwayat mein Yazeed par jarah ke saath saath us se mutalliq Madinah mein loot maar ki baat bhi Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah naqal farma rahe hain aur Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne Yazeed ka daur nahi paaya hai lehaza riwayat ka yeh hissa Munqati' us Sanad aur ghair sabit hai, yani is hisse ke aitbaar se yeh riwayat Munqate’ hai, aur is riwayat ko Sahih kehne ka matlab yeh hai ke Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah tak silsila e Sanad Sahih hai lekin us se aage ahd e Yazeed tak silsila e Sanad mazkoor hi nahi lehaza yeh riwayat is lehaaz se Munqate’ thehri.
Raha Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ka apna mauqif to Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne apne is mauqif ki daleel mein koi Sahih tareekhi riwayat nahi pesh ki hai lehaza un ka yeh mauqif be-daleel hone ki bina par ghair masmoo’ hai.
Muhaddiseen ko yeh haqq to haasil hai ke apne zamaane se pehle ki riwayat par hifz o zabt aur sidq o kizb ke lehaaz se jarah karen kiunki un jurooh ki buniyaad un ki marwiyyat hoti hain, ilmi tanqeed bhi isi zumre mein aati hai, lekin kisi bhi Muhaddis ko yeh haqq haasil nahi ke apne se pehle waale zamaane ke kisi shakhs par loot maar ka ilzaam lagaaye kiunki is ka talluq ilm e ghaib se hai.
Neez Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne Yazeed par riwayat ke lehaaz se yahan jo jarah ki hai us ki daleel bhi isi loot maar waali baat ko banaya hai, aur Yazeed ka yeh kirdaar sirey se saabit hi nahi lehaza ghair sabit shuda umoor ki buniyaad par ki gayi jarah bhi mardood hai, aur Yazeed ki shakhsiyyat be-daagh hai.
Yahan hum yeh wazeh kar dena zaroori samajhte hain ke Yazeed se mutalliq Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ke is qaul ko naql karne waale Muhanna bin Yahya hain aur unhien ne Imam Abu Hanifah Rahimahullah se mutalliq bhi Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ki shadeed jarah naql ki hai, chunancha:
Imam Khateeb Rahimahullah farmate hain:
أَخْبَرَنِي ابن رزق، قَالَ: حَدَّثَنَا أَحْمَد بن سلمان الفقيه المعروف بالنجاد، قَالَ: حَدَّثَنَا عبد الله بن أَحْمَد بن حنبل، قَال: حَدَّثَنَا مهنى بن يحيى، قال: سمعت أَحْمَد بن حنبل، يقول: ما قول أبي حنيفة والبعر عندي إلا سواء
تاريخ بغداد ت بشار 15/ 569 واسنادہ حسن
Tarjumah: Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne farmaya: Mere nazdeek janwaron ki gandagi aur Abu Hanifah ka qaul barabar hai.

Arz hai ke agar Yazeed se mutalliq Muhanna bin Yahya ne Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah se jo naqal kiya hai woh saabit aur durust hai to phir Imam Abu Hanifah Rahimahullah se mutalliq bhi Muhanna bin Yahya ne Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah se jo kuch naqal kiya hai woh bhi saabit aur durust tasleem kiya jaana chahiye, insaaf ka yahi taqaza hai.
Aur agar Imam Abu Hanifah Rahimahullah se mutalliq Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ka tabsirah be-daleel hone ki wajah se ghair maqbool hai to Ameer ul Momineen Yazeed bin Mu’awiyah se mutalliq bhi Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ka tabsirah be-daleel hone ki wajah se ghair maqbool hai.
Haqeeqat yeh hai ke Yazeed bin Mu’awiyah ke zalim hone ki baat saabit hi nahi is liye khud Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne hi apne is tabsire se rujoo’ kar liya tha:
Dr. Muhammed bin Haadi Ash-Shaibani likhte hain:
في عقيدة أحمد التي کتبت عنه، وذلک قبل ثلاثة أيام من وفاته: وکان يمسک عن يزيد بن معاوية ويکله الي الله
مواقف المعارضة في عهد يزيد بن معاوية :ص 722 بحواله طبقات الحنابله: ج 2 ص 273
Tarjumah: Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ki wafaat se teen din pehle un ke jo aqaid likhe gaye un mein hai ke: Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah Yazeed bin Mu’awiyah ke baare mein khamoshi ikhtiyaar karte they aur un ka mu’aamla Allah par chhodte they.

Yeh is baat ki sarehh daleel hai ke Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne akheer mein Yazeed ke mu’aamle ko Allah ke hawaale kar diya tha yani Yazeed bin Mu’awiyah par qatl ya loot maar ya kisi bhi qism ka ilzaam lagaane se rujoo’ kar liya tha, lehaza un ke jis qaul mein Yazeed bin Mu’awiyah par zulm ya loot maar ka ilzaam hai us qaul se Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah rujoo’ kar chuke hain.
Sirf yahi nahi ke Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne akheer mein Yazeed ke baare mein apni jarah se rujoo’ kar liya balki usey Khair ul Quroon ki fazeelat ka hamil bhi batlaaya hai, chunancha:
Imam Abu Bakr Al-Khilaal (Died on: 311 Hijri) ne kaha:
أخبرني أحمد بن محمد بن مطر وزكريا بن يحيى أن أبا طالب حدثهم قال سألت أبا عبدالله من قال لعن الله يزيد بن معاوية قال لا أتكلم في هذا قلت ما تقول فإن الذي تكلم به رجل لا بأس به وأنا صائر إلى قولك فقال أبو عبدالله قال النبي لعن المؤمن كقتله وقال خير الناس قرني ثم الذين يلونهم وقد صار يزيد فيهم وقال من لعنته أو سببته فاجعلها له رحمة فأرى الإمساك أحب لي
السنة للخلال 3/ 521 رقم 846 قال المحقق: إسناده صحيح وھو کذلک
Tarjumah: Abu Talib Asamah bin Abi Asamah kehte hain ke main ne Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah se poocha ke: Jo kahe ke Yazeed bin Mu’awiyah par Allah ki la’nat ho us ke baare mein aap kya farmate hain? Kiunki jis ne yeh baat kahi hai woh mo’tabar aadmi hai aur main aap ke qaul ko apnaunga! To Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne kaha: Allah ke Nabi ﷺ ka farmaan hai: “Momin par la’nat karna us ko qatl karne ki tarah hai”, aur Aap ﷺ ne yeh bhi farmaya: “Sab se behtar mera zamana hai, phir un ka zamana jo us ke bad aayenge”. Aur Yazeed us daur ke logon mein shaamil hai, neez Aap ﷺ ne yeh bhi farmaya: “Main ne jis par la’nat ki ya bura bhala kaha to aye Allah usey us ke haqq mein rehmat bana de”, is liye khamoshi hi mere nazdeek behtar hai.

Is riwayat se saaf maloom huwa ke Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah Yazeed bin Mu’awiyah ko momin aur Khair ul Quroon ki fazeelat ka mustahiq samajhte they aur us ke baare mein sukut farmate the.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Islami Tareekh 0

Similar threads


Top