Kya Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu ne Yazeed ki bait Sahaba Razi Allahu Anhu Ko Dhamki Dekar Li Thi


Abdul Adil

Member
Kya Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu ne Yazeed ki bait Sahaba Razi Allahu Anhu Ko Dhamki Dekar Li Thi

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Asal Mazmoon :- Yazeed Ibne Muawiyah Par Iljemaat Ka Tahqeeqi Jayeza Safa Number : 794-795

Imam Ibne Zauzi Rahimaullah (Died 597 Hijj) ne kaha

"وذكر محمد بن سعد في الطبقات أن معاوية قال للحسين ولعبد الله بن عمر وعبد الرحمن بن أبي بكر وعبد الله بن الزبير: إني أتكلم بكلام فلا تردوا علي شيئاً فأقتلكم، فخطب الناس وأظهر أنهم بايعوا ليزيد، فسكت القوم، ولم يقروا، ولم ينكروا خوفاً منه"

Yani Muhammad Bin Sa'ad Ne Tabqaat me jikr kiya hai ki Muawiyah Razi Allahu Anhu ne Hussain , Abdullah Bin Umar , Abdurrahman Bin Abi Bakar Aur Abdullah Bin Zubair {Razi Allahu Anhuma} se kaha : Main Ek baat kahne ja rha hun tum log meri kuch bhi tardeed na karna , warna main tumhe qatal kar doonga . Fir Muawiyah Razi Allahu Anhu ne khitaab kiya aur kaha un sab logon ne Yazeed ki bait kar li hai. Ye sunkar log khamosh rhe , Unlogon ne na to ikrar kiya aur na khauf ki wajah se inkaar kiya.

[Al Radd Alal Mutassab Ul Unaid Almane Min Zamm Yazeed Safa - 45]

Ab Jara batlaye ki is riwayat ke manghadat hone mein kisi shaksh ko koyi shak ho sakta hai ? Kya Muawiyah Razi Allahu Anhu jaise azeem Sahabai se is baat ka imqaan hai ki wo un Buzurg shaksiyaat ko qatal ki dhamki de aur jhooth bole? Nez Kya Ye Hazrat Itne Bhi Buzdil The {Nauzobillah} ki qatal ki dhamki se dar jate ? Saaf baat ye hai ki ye riwayat kisi ki banayi huyi aur manghadat hai , aur Tabqaat Ibne Sa'ad mein ye riwayat "Waaqdi" ke tareeq se marwi hai jo Kazzab hai. Balki khud

Ibne Zauzi {Rahimaullah} ne bhi kaha


"محمد بن عمر بن واقد أبو عبد الله الأسلمي الواقدي قاضي بغداد. قال أحمد بن حنبل: هو كذاب"

Muhammad Bin Umar Bin Waaqdi Abu Abdullah Al-Aslami Al-Waaqdi Qaazi E Bagdad , Imam Ahmad Bin Hambal ne kaha ye bahut bada jhootha hai.

[Al-Zoafa Wal Matrookeen Libne Zauzi 3/87]

Waaqdi ne ise Ibne Abi Sabrah se nakal kiya hai aur ye bhi kazzab hai .

Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah ne iske baare mein muhaddiseen ke aqwaal ka khulasha bayan karte huye kaha

”رموه بالوضع"

Muhaddiseen ne is par hadees gadhne ka iljam lagaya hai.

[Taqreeb Ut Tahzeeb Raqam : 7973]

Balki Khud Ibne Zauzi {Rahimaullah} ne bhi kaha hai

"عبد الله بن عبد الله بن محمد بن أبي سبرة بن أبي رهم أبو بكر. قال أحمد: كان يضع الحديث ويكذب"

Abdullah Bin Abdullah Bin Muhammad Bin Abi Sabrah Ibne Abi Ryhm Abu Bakar , Imam Ahmad ne kaha ye hadees gadhta aur jhooth bolta tha.

[Al-Zoafa Wal Matrookeen Libne Zauzi 2/131]

Ibne Zauzi Rahimaullah ne yazeed ki mazammat mein iska bhi khayal na kiya ki is jhoothi riwayat se yazeed ki nahi balki Ameer E Muawiyah Razi Allahu Anhu ki mazammat hoti hai . aur azeeb bat to ye hai Ki Ibne Zauzi {Rahimaullah} Ameer E Muawiyah Razi Allahu Anhu ki mazammat mein jhoothi aur manghdat riwayat pesh kar rhe hai .
 

Top