KYA HAIZ KI HALAT ME AURAT UMRAH KA AHRAAM BANDH SAKTI HAI?


Umar Asari

Administrator
Staff member
بسم اللہ الرحمٰن الرحیم

KYA HAIZ KI HALAT ME AURAT UMRAH KA AHRAAM BANDH SAKTI HAI❓

Haiza aurat jab hajj ya umrah ke irade se meeqaat se guzre to uspar meeqaat se ahram bandhna wajib aur zaruri hai, uske liye jayez nahin ke woh ahram mein takheer (der) kare aur paak saaf hokar (haiz khatam hone ke baad) makkah mukarrama jakar bandhe.

Sunnat e Nabwi aur ijma isi par dalalat karte hain ke haiz ahram ke manafi nahi (yani haiz ahram ke liye rok nahi hai), lehaza haiza aurat ahram bandhegi aur paak saaf hone aur ghusl karne ke baad umrah ki adaigi keregi.

Jabir Bin Abdullah RaziAllah anhuma ne Asma Bint e Umais RaziAllahu anha ke baare mein bayan kiya hai ke: Jab unhon ne zul-hulaifa mein bachha janam diya to Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne Abu bakr RaziAllahu anhu ko farmaya tha ke usey hukum do ke woh ghusl kare aur ahram bandh le.
Sahih muslim hadees number (1210)

Imam Nawawi Rahimullah kahte hain:
Is hadees mein haiza aur nifaas (bleeding following childbirth) wali aurat ke ahram ke sahih hone aur ahram ke liye ghusl karne ke mustahab hone ki Daleel payi jati hai.

Nabi sallallaho alaihi wasallam ki zauja umm ul-momineen aisha Razi Allahu anha bayan karti hain ke hum hajjatul wadaa’ ke mauqe par Rasool sallallaho alaihi wasallam ke sath nikle main makkah pahunchi to mujhe haiz shuru ho chuka tha lehaza maine Baitullah ka tawaf aur safa marwa ki sa’ee na ki, to maine Rasool sallallaho alaihi wasallam se iski shikayat ki to Rasool'Allah sallallaho wasallam farmane lage: apna sar kholo aur kanghi karo aur hajj ka ahram bandh lo.
Sahih bukhari hadees number (1556), Sahih muslim hadees number (1211)

__________________________________

Imam Nawawi Rahimullah kehte hain:
Is hadees mein Daleel hai ke haiza aur nifaas wali aurat aur bewuzu aur junubi shakhs ke tawaf aur tawaf ki do rakato ke alawa baqi saare aamaal e hajj aur aqwaal sahih hain, lehaza uska Arafat mein wuqoof (standing) waghaira sahih hoga jaisa ke humne zikr kiya hai, aur isi tarah hajj mein mashru (prescribed) ghusl karna bhi haiza aurat aur dusro ke liye mashru hoga jaisa ke hum bayan kar chuke hain, aur is hadees se yeh bhi Daleel payi jati hai ke haiza aurat ka tawaf sahih nahi hoga, is par sab ka ittafaq hai.

Ibn Abbas RaziAllah anhuma bayan karte hain ke Rasool sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
Jab haiza aur nifaas wali aurat meeqaat par pohunche to woh ghusl karke ahram bandhe aur Bait ullah ke tawaf ke alawa baqi saare manasik (rituals) poore karen.
Sunan abu Dawood hadees number (1744) Allamah albani Rahimullah ne sahih sunan abi Dawood mein isey sahih qarar diya hai.

__________________________________

Sheikh ul Islam Ibn e Taymiyah Rahimullah kahte hain :
Nabi sallallaho alaihi wasallam ne haiza aur nifaas wali aurat ko ahraam bandhne aud Talbiyah kehne ka hukum diya hai, aur isme jo kuch Allah Ta'ala ka zikr hai usey bhi karne ka kaha hai aur unhen maidan Arfat mein waqoof karne aur dua aur azkaar karne, aur Allah Ta'ala ke zikar ke sath rami jamraat karne ka bhi hukum diya hai halaanke unsab mein Allah Ta'ala ka zikr bhi paya jata hai, yeh sab kuch unke liye makrooh nahi balke iska karna wajib(obligatory) hai.
Al-Fatawa Al-Kubra ( 1 / 447 )

__________________________________

Sheikh Ibn e baz Rahimullah kehte hain :
Jab haiza aur nifaas wali aurat meeqaat par pohanche to agar hajj ya umrah farzi ho to unke liye ahram bandhna wajib hai, aur agar unhone farzi hajj aur umrah ki adaigi karli ho aur nafli karna chahti hon to phir bhi dusron ki tarah unke liye meeqaat se ahram bandhna mashru hai jis tarah doosri pak saaf aurtein hajj ya umrah ka ahram meeqaat se bandhti hain.
Majmua Al-Fatawa ( 16 / 126 )
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Hajj aur Umrah 0

Similar threads


Top