Kya Allah Taala Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ke Zariye Madad Karta Hai???


Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya Allah Taala Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ke Zariye Madad Karta Hai???

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah


Shia logon ke yahan Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ke mutalliq bahut ghulu (hadd se zada badhana) paaya jaata hai, un mein se aik yeh bhi hai ke woh Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ko mushkil kusha samajhte hain. Apne is aqeede se saada (aam) musalmanon ko gumraah karne ke liye Zaeef aur Mauzoo (mangadhat) Ahadees bayan karte hain. Kahin to woh Hadees hi nahi mante yahan tak ke Bukhari aur Muslim ki bhi koi Hadees Sahih nahi mante aur kahin Hadees ke naam par ghadi hue baaten phailate hain. Kanz ul Ummal (Alauddin Ali Al-Muttaqi bin Husamuddin Al-Hindi, died on: 975) se Zaeef Hadees le kar logon ko batate hain ke dekho yahan Allah ka Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ke zariye madad karna likha hai.
Kanz ul Ummal mein warid Hazrat Ali Radhiallahu Anhu se mutalliq riwayat ka mukhtasar hukm aap logon ki khidmat mein paish hai:
Allah ka Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ke zariye madad aur ta’eed wali riwayat chand Turuq se marwi hai misaal ke taur par Abul Hamraa Hilal Bin Haris aur Jabir bin Abdullah Radhiallahu Anhum waghera in ke alawah bhi deegar Tareeq misaal ke taur par Abu Hurairah, Anas bin Malik, Zakwaan aur Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhum se marwi hai magar saare Turuq mein zo’af hai.
(1) Abul Hamra Radhiallahu Anhu wali riwayat ko Shaikh Albani Rahimahullah ne Mauzoo (mangadhat) kaha hai.
(Silsilah Az-Zaeefah: 4902)
Allama Zahbi Rahimahullah ne kaha ke is ko ghadne wala Ahmad bin Hussain Koofi hai.
(Talkhees Al-'ilal Al-Mutanahiya: 79)

(2) Jabir bin Abdullah Radhiallahu Anhuma wali riwayat ko Ibn ul Jawzi Rahimahullah ne Sahih nahi qaraar diya.
(Al-'ilal Al-Mutanahiya: 1/237)
Is mein aik Shia Rawi Ash’as hai jo ki mutakallam feeh hai (yani uske silsile mein kalam kiya gaya hai).
(Mezaan ul Ai’tedaal: 1/269)

(3) Abu Hurairah Radhiallahu Anhu wali riwayat mein Abbas bin Bakkar Munkar ul Hadees hai.
(Lisan ul Meezan: 4/403)

(4) Anas bin Malik Radhiallahu Anhu wali riwayat ko Allama Zahbi Rahimahullah ne Mukhtalaq kaha hai.
(Mezaan ul Ai’tedaal: 1/530)

(5) Zakwaan wale Tareeq ko Allama Zahbi Rahimahullah ne baatil qarar diya hai.
(Mezaan ul Ai’tedaal: 2/382)

(6) Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma wali riwayat ke mutalliq Hafiz Ibn e Kaseer Rahimahullah ne kaha ke is mein Mohammad bin Abu Zu’aizi’ah (محمد بْن أَبِي الزُّعَيْزِعَة) munkar riwayat karne wala hai.
(Lisaan ul Mezaan: 7/137)

Khulasa (conclusion) yeh ke yeh riwayat kisi bhi aitbaar se istedlaal ke qabil nahi hai yeh zaeef aur mauzoo hai.
 

Top