Kya achchi biwi, ya achche shauhar ke husool ke liye koi khaas dua hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya achchi biwi, ya achche shauhar ke husool ke liye koi khaas dua hai?

Sawaal:
Kya koi Aayat ya aisi dua hai jise hum future mein achchi biwi ya shauhar ki talash ke liye padhen?
Aur woh kon kon si cheezien hain jin par ek shakhs ko dhyaan dena chaahiye ke jis se yeh ilm ho sake ke yeh ladka/ladki ya woh ladka ya ladki munasib pasand saabit hoga/gi. Aur kya kisi shakhs ko is ka jawaab mil sakta hai ke: Quran e Majeed ko apne mansoobon ke liye rehnumaayi ka zariya banaaye?

Jawaab:
Hamaare ilm ke mutabiq is mu’aamle ke liye Nabi ﷺ se koi saabit shuda aur khaas dua nahi hai, lekin aap Allah ﷻ se khud hi dua karen ke Allah ﷻ aapko nek biwi ata farmaye.

Jab ki Nabi ﷺ ne hum sab ko Dua e Istikhaarah sikhaayi hai, jis ka matlab hai ke: Hum Allah ﷻ se guzarish karen ke hamaare deeni aur dunyawi tamam umoor ke liye deen aur duniya ke lehaaz se behtar cheez hamaare liye pasand farmaye, aur yeh dua Jabir bin Abdullah Radhiallahu Anhu se marwi hai, farmate hain:
Rasoolullah ﷺ hamein apne tamam mu’amlaat mein Istikhaarah karne ki usi tarah ta’leem dete they jis tarah Quran ki koi surah sikhaate. Aap ﷺ farmate ke jab koi ahem mu’aamla tumhaare saamne ho to farz ke alawah do rak’at Nafl padhne ke baad yeh dua padhe:
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ، فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلَا أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلَا أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلَّامُ الْغُيُوبِ، اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي أَوْ قَالَ عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ، وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي أَوْ قَالَ فِي عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ، وَاقْدُرْ لِي الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ أَرْضِنِي​
“Ya Allah! Main tujh se tere ilm ki badolat khair talab karta hun aur teri qudrat ki badolat tujh se taqat maangta hun aur tere fazl e azeem ka talabgaar hun ke qudrat tu hi rakhta hai aur mujhe koi qudrat nahi. Ilm tujhe hi hai aur main kuch nahi jaanta aur tu tamam chhupi baaton ko janne waala hai. Aye mere Allah! Agar tu jaanta hai ke yeh kaam jis ke liye Istikhaarah kiya jaa raha hai mere deen, duniya aur mere kaam ke anjaam ke aitebaar se mere liye behtar hai ya [Aap ﷺ ne yeh farmaya ke] mere liye waqti taur par aur anjaam ke aitebaar se yeh [khair hai] to isey mere liye naseeb kar aur is ka husool mere liye aasaan kar aur phir is mein mujhe barkat ata kar aur agar tu jaanta hai ke yeh kaam mere deen, duniya aur mere kaam ke anjaam ke aitebaar se bura hai. Ya [Aap ﷺ ne yeh farmaya ke] mere mu’aamle mein waqti taur par aur anjaam ke aitebaar se [bura hai] to isey mujh se hata de aur mujhe bhi is se hata de. Phir mere liye khair muqaddar farma de, jahan bhi woh ho aur us se mere dil ko mutma’in bhi kar de.” Aap ﷺ ne farmaya ke us kaam ki jagah us kaam ka naam le.
(Sahih Bukhari: 1162)

Shaadi mein mard aur aurat ke liye deendaari aur akhlaq se badh kar koi cheez nahi hai.
Chunanche ladke ke mutalliq Nabi ﷺ ne ladki ke wali ko naseehat farmayi ke:
إِذَا خَطَبَ إِلَيْكُمْ مَنْ تَرْضَوْنَ دِينَهُ، وَخُلُقَهُ فَزَوِّجُوهُ، إِلَّا تَفْعَلُوا تَكُنْ فِتْنَةٌ فِي الْأَرْضِ، وَفَسَادٌ عَرِيضٌ​
“Jab tumhein koi aisa shakhs shaadi ka paigham de, jis ki deendaari aur akhlaq se tumhein itminaan ho to us se shaadi kar do. Agar aisa nahi karoge to zameen mein fitna aur fasaad e azeem barpaa hoga.”
(Sunan Tirmizi: 1084, Allama Albani Rahimahullah ne Hasan kaha hai)

Aur ladki ke mutalliq Nabi ﷺ ne naseehat karte huwe farmaya:
تُنْكَحُ الْمَرْأَةُ لِأَرْبَعٍ: لِمَالِهَا، وَلِحَسَبِهَا، وَجَمَالِهَا، وَلِدِينِهَا، فَاظْفَرْ بِذَاتِ الدِّينِ تَرِبَتْ يَدَاكَ​
“[Mu’aashre mein aam taur par] Aurat se nikah chaar cheezon ki bunyaad par kiya jaata hai: Us ke maal ki wajah se aur us ke khaandaani sharaf ki wajah se aur us ki khoosoorti ki wajah se aur us ke deen ki wajah se aur tu deendaar aurat se nikah kar ke kaamyaabi haasil kar, agar aisa na kare to tere haathon ko mitti lagegi [yani akheer mein tujh ko nadaamat hogi].”
(Sahih Bukhari: 5090)

Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah kehte hain:

“Is hadees ka matlab hai ke murawwat waale aur deendar shakhs ke liye yahi munasib hai ke uska maqsood har cheez ke baare mein deendari hi ho, khaas taur se aise mu’aamlaat mein jo insaan ke saath lambe waqt tak rahen, chunanche Nabi ﷺ ne shaadi ki khwaahish rakhne waale logon ko deendar ladki talash karne ka hukm diya, kiunki deendari hi asal hadaf hai.”
(Fatah ul Baari: 9/135)

Sawaal ke doosre hisse mein zikr Quran ke zariye rehnumaayi haasil karne ke baare mein yeh hai ki:

Agar is se apki muraad faal nikalna ho to yeh haraam kaam hai aur Quran e Majeed se faal nikaalne ke khud ke banaaye huwe tareeqon mein se yeh bhi hai ke Quran e Majeed ko kahien se bhi khola jaaye to agar nazar rehmat ya sawaab waali Aayaat par padti hai to uska matlab hai ke banda jo bhi kaam karna chaahta hai woh achcha aur durust kaam hai!! Aur agar mu’aamla is ke opposite ho to uska matlab bhi opposite hoga, deen mein is ki koi bunyaad nahi hai, yeh be-bunyaad tareeqa hai aur Allah ke momin bandon ko gumraah karne ke liye shaitaan ka tareeqa hai.

Aur agar Quran e Majeed se rehnumaayi lene se apki muraad yeh ho ke Quran ki ittebaa’ ki jaaye aur uske ahkamaat par amal kiya jaaye, to haqeeqat mein yahi woh sa’adat mandi hai jis se badh kar koi sa’adat mandi nahi, aur woh hai Kitaab o Sunnat ki pairwi, aur Allah ke nazdeek qayamat ke din najaat aur duniya mein makhlooq ke liye yahi hidayat ka akela raasta hai, isi ke baare mein Allah ﷻ ne farmaya:
ذَٰلِكَ الْكِتَابُ لَا رَيْبَ ۛ فِيهِ ۛ هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ​
“Is Kitaab [ke Allah ki Kitaab hone] mein koi shak nahi, parhezgaaron ko raah dikhaane waali hai.”
(Surah Al-Baqarah: 2)

Isi tarah farmaya:
إِنَّ هَٰذَا الْقُرْآنَ يَهْدِي لِلَّتِي هِيَ أَقْوَمُ​
“Yaqeenan yeh Quran woh raasta dikhaata hai jo bahut hi seedha hai.”
(Surah Al-Israa: 9)

Wallahu A’lam Bis-Sawaab!


Taken from: Islamqa
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Nikaah o Talaq 0

Similar threads


Top