Abul Husayn

Moderator
Staff member
Sawaal: Kya Sayyiduna Abuzar (Razi Allahu Anhu) Ne Sayyiduna Bilaal (Razi Allahu Anhu) Ki Maa Ko Kaali Kaloti Kaha?

Jawaab Az: Shaykh Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah:

Saabit nahi, is hawale se ek sakht zaeef riwayat bhi aati hai:

كان بين أبى ذر وبين بلال محاورة، فعيره أبو ذر بسواد أمه، فانطلق بلال إلى رسول الله ﷺ، فشكى إليه تعييره بذلك، فأمره رسول الله ﷺ أن يدعوه، فلما جاءه أبو ذر، قال له رسول الله ﷺ؛ انت شتمت بلالا وعيرته بسواد أمه؟ قال؛ نعم، قال رسول الله ﷺ؛ تمت ما كنت أحسب أنه بقى فى صدرك من كبر الجاهلية شىء، فألقى أبو ذر نفسه بالأرض، ثم وضع خده على التراب، وقال؛ والله لا أرفع خدى من التراب حتى يطأ بلال خدى بقدمه، فوطأ خده بقدمه​
"Sayyiduna Abuzar Ghiffaari (Razi Allahu Anhu) aur Sayyiduna Bilaal (Razi Allahu Anhu) ke darmiyaan ikhtilaaf tha, tou Sayyiduna Abuzar (Razi Allahu Anhu) ne Bilaal (Razi Allahu Anhu) se kaha: aap ki maa kaali hai, tou Bilaal (Razi Allahu Anhu) Rasoolullah ﷺ ke paas aaye, Aap se shikaayat ki, tou Rasoolullah ﷺ ne unhein bulwaane ka hukm diya, Sayyiduna Abuzar (Razi Allahu Anhu) jab aa gaye, tou Rasoolullah ﷺ ne unse farmaaya: aap ne Bilaal par shatam kiya hai aur unke maa ke kaale pan ka tanah diya hai? unhon ne arz kiya: ji han, tou Aap ﷺ ne farmaaya: mera nahi khayaal tha ke Aap mein jahiliyyat ke takabbur se kuch baaqi hoga, tou Sayyiduna Abuzar (Razi Allahu Anhu) zameen par lait gaye apne gaalon ko zameen par rakh diya aur kaha: Allah ki qasam! main us waqt tak zameen se nahi utthunga, jab tak Bilaal mere muh ko qadmon se rondh na den, tab Sayyiduna Bilaal (Razi Allahu Anhu) ne unke muh ko paaon se rondh diya."
(Sharah Sahih Bukhari Li Ibn E Battaal: 1/ 87,88)

Tabsirah: Sakht zaeef riwayat hai...

(1)
Waleed bin Muslim tadlees e taswiyah karte thhey, samaa' bil-tasalsul darkaar hai!

(2)
Abu Bakr bin Abdullah bin Abi Maryam sakht zaeef hai.

(3) Zamrah bin Habeeb ka Sayyiduna Abuzar Ghiffaari aur Sayyiduna Bilaal (Razi Allahu Anhuma) se samaa' nahi.

(4)
Waleed bin Muslim se neechey sanad ghaaib hai.

(Fasalu Ahlaz Zikr: Qist: 4, Page 3, Az Shaykh Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah)

Romanised: Syed Ibraheem Salafi


Note: Yeh riwayat Sahih Bukhari ki taraf mansoob ki jaati hai (Hadees 31) magar us mein "Kaali Kaloti" jaise alfaaz nahi hai aur "Paaon Se Rondhne" ka koi zikr nahi hai...
 
Last edited:

Top