Kiya Aurat Aur Mard Ki Namaz Main Koi Farq Nahi Hai ??


Kiya Aurat Aur Mard Ki Namaz Main Koi Farq Nahi Hai ??

Aurat Aur Mard Ki Namaz Main Koi Farq Nahi Hai. -
BISMILLAH AR-REHMAN NIR-RAHIM

Dalil-
Malik bin Huwairis kahte hain ke hum Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein madinah haazir huwe aur hum sab nojawaan aur hum-umr they. Hum Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath 20 dinon tak rahe. Phir Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko khayaal huwa ke hamein apne ghar ke log yaad aa rahe honge aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne hum se un ke mutalliq poocha jinhein hum apne gharon par chor kar aaye they hum ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko saara haal suna diya. Aap bade hi naram-khoo aur bade hi reham karne waale they. Aap ne farmaya ke tum apne gharon ko wapas jaao aur apne mulk walon ko deen sikhao aur bataao aur tum us tarah namaz padho jis tarah tum ne mujhe namaz padhte dekha hai aur jab namaz ka waqt aa jaye to tum mein se 1 shakhs tumhare liye azaan de phir jo tum mein bada ho woh imamat karaye.
(Sahih Bukhari: 6008)

Is hadis se saaf pata chalta hai ke aurat aur mard ki namaz me koi farq nahi hai. Warna Allah ke Nabi Sallellahu alaihi wasallam Malik bin Huwairis ko talqeen na karte ke apne ghar walon ko usi tarah sikhana jis tarah tumne mujhe namaz padhte huwe dekha hai.


وَكَانَتْ أُمُّ الدَّرْدَاءِ تَجْلِسُ فِي صَلاَتِهَا جِلْسَةَ الرَّجُلِ، وَكَانَتْ فَقِيهَةً

Umme darda tashahhud me usi tarah baitha karti theen jis tarah mard tashahhud me baitha karte hain.
Aur wo faqeeha theen.
(Sahi bukhari hadees no: 827 se pehle Imam Bukhari ne isko ta'leeqan zikr kiya hai)

In ahadees se yeh clear ho jata hai ke aurat aur mard ki namaz ek jaisi hai aur usme koi farq nahi. Aur jo farq karta hai wo khuli taur par Allah ke rasul Sallellahu alaihi wasallam ki mukhalifat karta hai.

Allah ham sab ko sahi taur par aap Sallellahu alaihi wasallam ki tarah namaz padhne ki tofiq ata farmaye.
 

Similar threads


Top