KHUSHKHABRI HAI AJNABIYON KE LIYE


KHUSHKHABRI HAI AJNABIYON KE LIYE


بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Muhammad Bin 'Abdul-Wahhaab (Rahimahullaah) ne farmaaya:

إِذَا كَانَ الإِسْلَامُ يَعُودُ كَمَا بَدَأَ فَمَا أجْهَلْ مَنْ اسْتَدَلَّ بِكَثْرَةٍ النَّاسُ؟!


"Jab Islaam (Ajnabi haalat mein) waapas laut jaayega jaisa ke (Ajnabi) haalat mein shuroo' hua tha (Rasool (ﷺ) ke farmaan ke mutaabiq) toh phir us shakhs se bardh kar Jaahil kaun hai jo logon ki aksariyat ko daleel banaata hai ?!"

[ Al-Durar Al-Sanniyyah, 1/41 ]

WAZAAHAT: Islaam shuroo mein Ajnabi (Naa Waaqif) tha us ke maanne waale bhi Ajnabiyat (Islaam ki pehchaan na hone) ki wajah se bohat kam the aur aaj hamaare daur mein bhi aisa hi kuch horaha hai ke Saheeh Islaam jab pesh kiya jaata hai toh log kehte hai ke ye kaunsa Deen bataa rahey ho, hamen toh pata hi nahin hai, ye tum log kya kya baaten kar rahey ho jo hamaare Baap Daadaa ne nahin bataayi, in sab ki ye baaten Ajnabiyat ki wajah se hai.

Ahl e Eemaan, Ahl e Haqq, Ahl e Islaam hameshah se hi qaleel (kam) rahey hain aur Allaah ki kitaab mein iske beshumaar dalaael maujood hai. Misaal ke taur par

أكثرهم لا يؤمنون، أكثرهم لا يعلمون، أكثرهم لا يعقلون، أكثرهم لا يشكرون.

Aksar log Eemaan nahin laate, Aksar log ilm nahin rakhte ya nahin jaante, Aksar log aql nahin rakhte, Aksar log Shukr nahin karte.

In sab aayaat se maloom hota hai ke qaleel (kam) log hi Eemaan laate hain, kam log hi ilm rakhte hain ya jaante hain, kam log hi aqlmand hai, kam log hi Shukr karte hain.

Aur Kaseer ta'daad ke baare mein aaya hai:

أكثرهم فاسقون، أكثرهم يجهلون، أكثرهم الكافرون، أكثرهم للحق كارهون، أكثرهم كاذبون، أكثرهم مشركون، فأعرض أكثرهم فهم لا يسمعون


Aksariyat Faasiq hai, Aksariyat Jaahil hai, Aksariyat Kaafir hai, Aksar haqq se karaahiyat karte hain, Aksariyat Jhutlaati hai, Aksariyat Mushrik hai, Aksariyat ne munh pheyr liya pas woh sunte hi nahin waghairah waghairah.

ولله الحمد والمنة و أعلم

Mutarjim (translator) wa Wazaahat (Commentary):
Abd Al Mudhill Hafizahullah
(عبد المذلّ حفظہ اللہ)
 

Similar threads


Top