Khawaateen Me Paae Jane Wale Shirkiya Aamaal


Khawaateen Me Paae Jane Wale Shirkiya Aamaal

Fazilatus Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Islamic Dawah Center Taif
Romanised: Khadija Muhammadi
Musalmano Ka Ek Tabqa Ne Musalmano Ke Andar Shirk Ke Wajood Ka Inkaar Kiya Hai Is Liye Me Pehle Is Baat Ki Gawaahi Paish Kar Deta Hu Ke Musalmano Ke Andar Bhi Shirk Paya Jata Hai Taaki Topic Ki Wazahat Ho Sake.
Qur'aan Ki Bahut Si Aayat Aur Bahut Sari Ahaadees Is Baat Par Dalalat Karti Hai Ke Ummate Muhammadiya Bhi Shirk Kare Gi.
Misaal Ke Taur Par Ek Aayat Aur Ek Hadees Dekhte Hai:
قرآن.(1)وما يؤمن أكثرهم بالله إلا وهم مشركون.(يوسف:106)
Tarjumah:Aur Unme Se Aksar Log Allaah Par Imaan Laane Ke Bawajud Bhi Shirk Hi Karte Hai.
Hadees:
لو لا تقوم الساعة حتى تلحق قبائل من امتى بالمشركين وحتى تعبد قبائل من امتي الاوثان.
(Abu Dawood:4252)
Tarjumah: Qayamat Qaim Nahi Hogi Jab Tak Meri Ummat Ke Qabaail Mushrikin Se Na Mil Jaae Aur Yaha Tak Ke Meri Ummat Ke Qabaail Buto Ki Ibaadat Na Kare.
Un Dono Nusoos Se Zaahir Hai Ke Is Ummat Me Bhi Shirk Ka Wajud Rahe Ga Isliye Nabi SAV Ne Abu Baqar Siddiq RA Ko Chote Bade Tamam Qisam Ke Shirk Se Mehfooz Rehne Ke Liye Dua Sikhaai Hai.
اللهم اني اعوذ بك ان أشرك بك وانا اعلم و استغفرك لما لا اعلم
Is Hadees Ko Allaama Albani Rahe Ne Sahib Qaraar Diya Hai.(Al Adabul Mufrad:551)
Jab Hak Muslim Samaj Ka Jaiza Lete Hai To Pata Chalta Hai Ke Jaha Mardo Me Shirkiya Aamaal Paae Jate Hai Wahi Khawaateen Ke Andar Bhi Shirk Ka Wajud Milta Hai Balke Baaz Nahiya Se Aurat Me Mard Se Ziyada Shirkiya Aqwaal Aur Afaal Paae Jate Hai. Is Baat Ko Sach Manna Hi To Kisi Mazaar Par Chale Jaae. Shirk Ka Yah Manzar Musalmano Ke Makhsus Tabqah Barelviyo Me Paya Jata Hai.
Mard Ki Tarah Aurat Bhi Samaaj Ka Ek Hissa Hai,Agar Samaj Me Mard Shirk Ka Irtiqaab Kare Ga To Uska Asar Aurat Samet Samaj Ke Tamam Tabqe Par Padhe Ga Yahi Wajha Hai Ke Samaaj Ko Shirkiya Kaam Ne Khokhla Kar Diya Hai.
AURTO ME SHIRK KA WAJOOD:
Aurte Kamzor Dil Aur Kamzor Aqal Hone Ke Bais Unme Zaeeful Aeteqaadi Bahut Paai Jati Hai Yahi Wajha Hai Ke Aurat Ki Baat Baat Se Shirk Ki Bu Aati Rehti Hai. Bachpan Se Le Kar Budhape Tak Zindagi Ke Tamam Marahale Me Aeteqaad Ka Zoaf Bahut Kam Hi Khatoon Se Door Ho Pata Hai. Ghar Me Akeli Ho To Jin Bhut Se Dar Kar Chillana,Kisi Ko Bimaar Dekhe To Bura Daal Lena,Kisi Ka Bachcha Mar Jaae To Nahusat Lena,Koi Accident Se Ya Jal Kar Ya Latak Kar Faut Ho Jaae Ro Is Ki Rooh Bhatakti Hui Tasawwur Karna Aur Us Rooh Se Darna,Ishq Aur Muhabbat,Bimari Aur Waba,Khauf Aur Tarddud,Ranj Aur Alam,Yaas Aur Qunoot Tamam Haalat Me Imaam Zaamin Bandhna Aurto Me Aam Hai.
Muslim Aurto Ko Rab Par Bharosa Karna Chahiye Aur Kisi Chiz Se Badfaali Nahi Lena Chahiye Aur Na Hi Allaah Se Ziyada Kisi Se Darna Chahiye Aur Na Hi Apni Zabaan Se Koi Shirkiya Kalaam Nikal Na Chaahiye.

AURTO ME SHIRK KI TAMAM QISME PAAI JAATI HAI:
(1) SHIRK E AKBAR: Yah Sab Se Bada Shirk Hai,Is Ke Irtiqaab Se Aadmi Deen E Islaam Se Khaarij Ho Jata Hai. Khawaateen Me Bhi Yah Shirk Paya Jata Hai. Jab Bachcha Na Ho,Bimari Ki Halat Ho,Gharelu Pareshaniya Ho Wagairah Wagairah Haalat Me Khatoon Rab Ko Chod Kar Murdo Se Madad Manati Hai Aur Un Se Haajat Rasaai Karti Hai Jo Ke Shirk E Akbar Hai. Agar Usi Amal Par Aurat Ka Khatma Ho Jaae To Hamesha Jahnnam Me Rahe Gi. Allaah Ka Farmaan Hai:
انه من يشرك بالله فقد حرم الله عليه الجنة وما واه النار وما للظالمين من أنصار.
(AL MAAIDAH:72)
Tarjumah: Jo Shakhas Allaah Ke Sath Shirk Karta Hai Allaah Ne Us Par Jannat Haraam Kar Di,Us Ka Thikana Jahnnam Hai Aur Zaalimo Ka Koi Madadgaar Nahi.

(2) SHIRK E ASGAR: Chun Ke Aurat Jhooth Bahut Bolti Hai Aur Apni Jhoothi Qasam Par Qasam Khaati Hai. Aurto Ka Baat Baat Par Gairullaah Ki Qasam Khana Shirk E Asgar Ke Qabeel Se Hai. Is Qasam Se Woh Islaam Se Khaarij Nahi Hoti Magar Tauleed Me Kami Paida Hoti Hai.
Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
من حلف بغير الله فقد كفر أو أشرك.(Tirmizi:1535)
Tarjumah:Jis Ne Bhi Gairullaah Ki Qasam Khaai Usne Ya To Shirk Kiya Ya Kufar Kiya.

(3) SHIRK E KHAFI: Hadees Me Riyakari Ko Shirk Khafi Batlaya Gaya Hai.
Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
إلا اخبركم بما هو أخوف عليكم عندي من المسيح الدجال قال قلنا بلى فقال الشرك الخفي ان يقوم الرجل يصلي فيزين صلاته لما يرى من نظر رجل.
(IBNE MAJAH:3408)
Tarjumah: Kya Me Tumhe Us Chiz Ki Khabar Na Du Jo Mere Nazdeek Maseeh Dajjal Se Bhi Ziyada Tumhare Upar Khauf Khane Wali Baat Hai. Sahaba RA Ne Arz Kiya Ay Allaah Ke Rasool! Zaroor Batlaaiye. Aap SAV Ne Farmaya:Woh Shirk E Khafi Hai. Ek Aadmi Namaz Ko Muzaiyan Kar Ke Is Liye Padhta Hai Taaki Log Iski Taraf Dekhe.
Aurto Ke Aamaal Me Bhi Dikhawa Hai,Woh Khood Ko Achcha Banane Ke Liye Riya Kari Se Kaam Leti Hai. Aysi Aurat Ko Apne Amalo Me Ikhlaas Paida Karna Chahiye Aur Bando Ki Taarif Haasil Karne Ya Unki Nazar Me Achcha Banne Ke Liye Numaish Se Bachana Chaahiye.
Allaah Se Dua Hai Ke Tamam Musalman Mard Aur Aurat Ko Har Qisam Ke Shirk Se Bacha Aur Tauheed Ke Raste Par Chala.
Aameen.
 
Top