KHAWAATEEN E ISLAAM RAMAZAANUL MUBARAK KAISE GUZAARE?


KHAWAATEEN E ISLAAM RAMAZAANUL MUBARAK KAISE GUZAARE?
Tahreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Islamic Dawah Center Taif, KSA
Romanised: Khadija Muhammadi
Anqareeb Ramazaan Ka Mubarak Mahina Saya Figan Hone Wala He. Chaaro Taraf Musalmano Me Khushi Hi Khushi He. Allah Ke Nek Bando Ko Is Mahine Ka Shiddat Se Intizaar Hota He Aur Kuy Na Ho Ke Yah Neki, Barkat, Bakhshish, Inaayat,Taufeeq,Ibaadat, Zuhad,Taqwah, Muruwwat,Khaaksaari Masaawaat Sadqah Aur Khairaat Razaae Maula Jannat Ki Basharat Jahnnam Se Glokhalaasi Ka Ka Mahina He Rab E Kareem Se Dua He Ke Hame Is Maah E Mubarak Me Un Sari Ne'mato Se Maala Maal Kar De.
Ramazaanul Mubarak Ka Rozah, Taraaweeh, Sadqah,Dua,Zikar,Tilaawat Manaajaat,Umrah Aur Dusre Nek Aamal Jaha Mardo Ke Liye Hai Aurto Ke Liye Bhi Hai. Un Aamaal Ka Ajar O Sawaab Jis Tarah Mardo Ko Naseeb Karta He Waise Hi Allah Aurto Ko Bhi Inaayat Karta He. Aurto Me Aam Tasawwur Yah Hota He Ke Ramazaan To Sirf Mardo Ka He Hamara Kaam Sirf Sehri Pakana Aur Iftaar Taiyyar Karna He Aurte Rozah Rakhti Hai Magar Dusre Aamaal E Khair Me Piche Rehti Hai Uski Buniyaadi Wajah Ramazaanul Mubarak Ke Ahkaam O Masaail Se Adam Waaqifiyat He. Jis Tarah Mardo Par Rozah Rakhna Farz He Waise Aurto Par Bhi Farz He Aur Jis Tarah Mardo Ko Ramazaanul Mubarak Me Ziyadah Aamaal E Khair Anjaam Deta Chaahiye Waise Hi Aurto Ko Bhi Anjaam Dena Chaahiye.

YAHA RAMAZAAN SE MUTALLIQ UN UMOOR KA ZIKAR KIYA JATA HE JO MUSALMAAN AURAT KE LIYE ANJAAM DENA MUSTAHAB AUR PASANDIDAH HAI.
☆ TAMAAM QISAM KI TA'AT AUR BHALAAI PAR MEHNAT KARNA:
Maslan Tilaawat E Qura'an Kareem Aur Usme Tadabbur Aur Tafakkur,Bakasrat Sadqah Aur Khairaat Zikar E Ilaahi Aur Faraaiz Aur Waajibaat Ke Alawah Nafli Ibaadat Par Mehnat Karna.

☆ IFTAAR ME JALDI KARNA: Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
لا يزال الناس بخير ما عجلوا الفطر.(بخاري)
Us Waqt Tak Log Bhalaai Ke Upar Gaamzan Rahenge Jab Tak Ke Iftaar Me Jaldi Karte Rahenge.
Aur Us Se Yahud Aur Nasara Ki Mukhalifat Maqsud Hai.
"لان اليهود والنصارى يوخرون."
Tarjumah:- Kuy Ke Yahud Aur Nasara Iftaar Me Taakhir Karte Hai.
☆ FRESH KHAJOOR SE IFTAAR KARNA:
عن أنس كان النبي صلى الله عليه وسلم يفطر على رطبات قبل أن يصلى فإن لم يكن فيصلى تمرات فإن لم تكن تمرات حسا حسوات من ماء.(أحمد ،ابو داؤد،وحسنه البانى)
Tarjumah:- Anas RA Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah Sallallaahu Alyhi Wasallam Namaaz E Magrib Se Pehle Fresh Khajooro Se Iftaar Kiya Karte The,Agar Fresh Khajoore Na Milti To Sukhi Khajooro Se Iftaar Kar Liya Karte The Aur Agar Sukhi Khajoore Maiyssar Na Hoti To Pani Ke Chand Ghunto Par Hi Rozah Iftaar Kar Liya Karte The.
☆ IFTAAR KE WAQT DUA KARNA: Waise Dua Har Waqt Mashroo He Aur Dua Ibaadat He Magar Kuch Waqt Dua Ke Liye Bahut Aham Hai. Unme Ek Iftaar Ka Waqt Bhi Shumaar Kiya Jata He,Uski Mutaddid Daleele Hai Unme Se Ek Yah He.
ثلاث من لا دعوتهم:الإمام العادل،والصائم حين يفطر ودعوة المظلوم.(صحيح الترمذي:٢٥٢٦)
Tarjumah:- Teen Qism Ke Logo Ki Dua Rad Nahi Ki Jati He Ek Munsif Imaaam Ki Dusre Rozedaar Ki Jab Woh Iftaar Kare,Teesre Mazloom Ki.
☆ SEHRI ME TAAKHIR KARNA: Bagair Sehri Ke Bhi Rozah Sahih He Magar Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Khud Bhi Sehri Khaai He Aur Dusro Ko Bhi Sehri Ki Targeeb Di He Aur Farmaya He Sehri Khaao Kuy Ke Usme Barkat He. Muslim Sharif Ki Rivayaat Me He.
فصل ما بين صيامنا وصيام أهل الكتاب اكله السحر.(صحيح مسلم:١٠٩٦)
Tarjumah:- Hamare Aur Ahle Kitaab Ke Roze Ke Darmiyaan Sehri Ka Farq He.
☆ ROZE KI HAALAT ME GANDE AKHLAAQ AUR BURI BAATO SE BACHNA: Agar Koi Gaali De To Keh De Me Roze Se Hu.
إذا اصبح أحدكم يوما صائما فلا يرفث ولا يجهل فإن امرو شاتمه اؤ قاتله. فليقل انى صائم،انى صائم.(صحيح مسلم:١١٥١)
Tarjumah: Jab Tum Me Se Koi Roze Ki Haalat Me Ho To Gandi Bato Aur Naadaaniyo Se Parhez Kare Agar Koi Tumhare Sath Gaali Gulooch Aur Qitaal Kare To Keh Do Me Roze Se Hu,Me Roze Se Hu.
من لم يدع قول الزور والعمل به. فليس لله حاجة فى أن يدع طعامه و شرابه.(صحيح البخارى:١٩٠٣)
Tarjumah:- Agar Koi Shakhas Jhuth Bolna Aur Dagabazi Karna (Roze Rakh Kar Bhi) Na Chhode To Allah Ko Uski Koi Zaroorat Nahi Ke Woh Apna Khana Pina Chhorh De.
Aurto Me Gaali Gulooch Aur La'an Ta'an Bahut Ziyadah Hai Roze Ki Haalat Me Uska Khaas Khiyaal Rakhna He Ke Zabaan Se Kahi Gandi Bate Na Nikle. Rozah Sirf Bhuk Aur Piyaas Bardashat Karne Ka Naam Nahi He. Aadaab Siyaam Me He Ham Hath, Pair,Dil Aur Dimaag Aur Zabaan Tamaam Aazaae Badan Ko Munkiraat Se Door Rakhe.
☆ LOGO KO IFTAAR KARANA: Nabi Paak Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: من فطر صائما كان له مثل أجره غير أنه لا نقص من أجر الصائما شيئا.(صحيح الترمذي)
Tarjumah:- Jis Shakhas Ne Kisi Rozah Daar Ko Iftaar Karwaya To Us Shakhas Ko Bhi Itna Hi Sawaab Mile Ga Jitna Sawaab Rozedaar Ke Liye Hoga Aur Rozah Daar Ke Apne Sawaab Me Se Kuch Bhi Kami Nahi Ki Jaae Gi.
Aurat Chahe To Apne Zaati Paise Se Deegar Khawaateen Ko Iftaar Kara Sakti Hai Shohar Ki Taraf Se Iftaar Ki Dawat Par Biwi Ko Bhi Ajar Mile Ga Agar Uske Kaamo Me Madad Karti He.
☆ UMRAH KARNA: Ramazaan Me Mard Ki Tarah Aurat Bhi Umrah Kar Sakti He Is Maah E Mubarak Me Umrah Ka Sawaab Haj Ke Barabar He,Ek Dusri Rivayat Me Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam Ke Sath Haj Karne Ke Barabar Kaha Gaya He.
Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Ek Ansaariya Aurat Se Farmaya Tha.
فإذا جاء رمضان فاعتمري فإن عمرة فيه تعدل حجة. (صحيح مسلم: ١٢٥٦)
Tarjumah:- Jab Ramazaan Aae To Tum Umrah Kar Lena Kuy Ke Is(Ramazaan)Me Umrah Karna Haj Ke Barabar Hai.
Yaha Ek Baat Waazeh Rahe Ke Aurat Ke Liye Umrah Ke Safar Me Mehrim Ka Hona Zaroori He Bagair Mehram Safar Karne Aur Umrah Karne Se Gunehgaar Hogi. Dusri Baat Yah He Ke Aurat Ho Ya Mard Dusre Mulk Se Safar Kar Ke Saudi Arab Aane Wale Umrah Karna Mashaqqat Ka Baais He Aur Ramazaan Jaise Mubarak Mahine Me Ek Ajar Ke Husool Ke Liye Ajar Wale Kaam Chhutne Ka Imkaan He. Is Liye Jo Saudi Arab Me Maujood Hai Unke Liye To Aasani He Bahari Logo Ke Liye Kulfat Ke Sabab Apne Apne Mulko Me Hi Ramazaan Guzaarna Ziyadah Behtar Behtar He Haa Saudiya Me Pura Ramazaan Guzaarne Ma Iradah To Uski Baat Alag He.
☆ MISWAAK KARNA: Aap Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Dastoor Hamesha Miswaak Kiya Karte The Aur Ramazaan Shareef Me Bahut Ziyadah Kiya Karte The.
Ammar Bin Rabi'a RA Farmate Ha:
رأيت النبي صلى الله عليه وسلم يستاك وهو صائم ما لا احس اؤ اعدا. (رواه البخاري معلقا.)
Tarjumah:- Mene Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ko Roze Ki Haalat Me Shumaar Karne Se Ziyadah Miswaak Karte Dekha.
Use Imaam Bukhari Ne Taleeqan Rivayat Kiya He.
☆ BACHCHO SE TARBIYAT KE TAUR PAR ROZAH RAKHWANA: Agar Bachcha Rozah Rakhne Ki Taaqat Rakhta Ho To Use Aadatan Rozah Rakhwana Chaahiye Rab'i Bint Muawwiz RA Farmati Hai Ke Ham Apne Bachcho Se Rozah Rakhwate The Aur Unke Liye Toyes Rakhte Jab Bachcha Khane Ke Liye Rote To Ham Unhe Woh Khilone Paish Kar Dete Yaha Tak Ke Iftaar Ka Waqt Ho Jata. (Bukhari Sharif)
☆ ETEKAAF: Jis Tarah Mard Ke Liye Etekaaf Masnoon He Usi Tarah Aurat Ke Liye Bhi Etekaaf Mashro'o Hai Aur Yah Bhi Waazeh Rahe Ke Etekaaf Ki Jagah Sirf Masjeed He Jaisa Ke Upar Qura'an Ki Aayat Se Waazeh He Aur Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Us Par Amal Kar Ke Dikhaya He Agar Aurat Etekaaf Kare To Use Bhi Masjid Me Hi Etekaaf Karna Hoga Chaahe Jame Masjid Ho Ya Gair Jame. Sirf Jame Masjid Me Etekaaf Wali Rivaayat
الاعتكاف الا في مسجد جامع.
Par Kalaam He. Agar Jam'e Masjid Me Etekaaf Kare To Ziyadah Behtar He Taaki Namaaz E Jum'a Ke Liye Nikalne Ki Zaroorat Na Parhe.
Etekaaf Ramazaan Me Kiye Jane Wale Un Aamal Me Se He Jis Ki Taakid Aai He Aur Yah Un Sunnate Muakkidah He Jis Me Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Hameshgi Barti He Aur Aakhri Ashre Me Uski Taakeed Ki He Uski Daleel Hazrat Abu Hurairah RA Se Yah Hadees He Ke Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Har Year Ramazaan Me Din Ka Etekaaf Kiya Karte The Intiqaal Ke Saal Aap Ne 20 Din Ka Etekaaf Kiya.(Bukhari Sharif)
☆ NAMAAZ E TARAAWEEH: Saudi Arab Me To Aurte Masjid Me Aa Kar Jama'at Se Taraweeh Ki Namaaz Ada Karti He Taraweeh Jise Qiyaamul Lail Aur Tahhjud Bhi Kehte Hai Ramazaanul Mubarak Me Us Ka Ajar Bahut Barh Jata He Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
من قام رمضان ايمانا واحتسابا غفر له ما تقدم من ذنبه.(صحيح مسلم:٧٥٩)
Tarjumah:- Jis Ne Ramazaan Ki Raato Me Namaaz E Taraaweeh Parhi Imaan Aur Sawaab Ki Niyyat Ke Sath Uske Agle Tamaam Gunaah Maaf Ho Jaaenge.
Lihaza Aurto Ko Bhi Taraaweeh Ki Namaaz Ka Ehtimaam Karna Chaahiye Agar Masjid Me Aurto Ke Liye Alag Intizaam Na Ho To Ghar Par Hi Jama'at Se Ya Akele Taraweeh Ki 8 Rakaat Namaaz Parhe Fir 3 Rakat Witr Parhe.
☆ SHAB E QADR ME IJTIHAAD: Lailatul Qadr Ki Ahmiyat Aur Fazilat Par Ek Mukammal Surat Naazil Hui He Jis Se Uski Fazilat Ka Bakhubi Andazah Lagaya Ja Sakta He. Is Raat Qayam Ka Ajar Pichle Sare Gunaaho Ka Kaffarah He.
من قام ليلة القدر ايمانا واحتسابا غفر له ما تقدم من ذنبه.(صحيح البخاري: ١٩٠١)
Tarjumah:- Jo Laylatul Qadr Me Imaan Aur Ahtisaab Ke Sath Qiyaam Kare Uske Sabqa Tamaam Gunaah Maaf Kar Diye Jate Hai.
Jaha Tak Is Raat Ki Ta'iyn Ka Masala He To Is Silsile Me Ulma Ke Mukhtalif Aqwaal He Magar Rajeh Qaul Yah He Ke Laiylatul Qadr Ramazaan Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato(21,23,25,27,29) Me Se Koi Ek He Uski Daleel Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
تحروا ليلة القدر في الوتر من العشر الاواخر من رمضان.(صحيح البخاري:٢٠١٧)
Tarjumah:- Laylatul Qadr Ko Ramazaan Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato Me Talash Karo.
Lihaza Aurto Ko Bhi Taaq Raato Me Shabe Bedaari Karni Aur Khub Khub Ta'at Bhalaai Ka Kaam Karna Chaahiye Jab Jaagna Hi Maqsood Nahi Balke Jaag Kar Bhalaai Ka Kaam Karna Maqsood He.

RAMAZAANUL MUBARAK SE MUTALLIQ AURTO KE MAZEED CHAND MASAAIL:
(1) BEEMAAR AURAT KA HUKAM:
Bimaar Aurat Ki 2 Qisme Hai Ek Woh Bimaar Aurat Jo Rozah Ki Wajah Se Mashaqqat Ya Jismani Taklif Mehsoos Kare Ya Shadeed Bimaari Ki Wajah Se Unme Dawa Khane Par Majboor Ho To Apna Rozah Chhorh Sakti He. Nuqsaan Ki Wajah Se Jitna Rozah Chhore Gi Utne Ka Baad Me Qaza Kare Gi Allah Ka Farmaan He:
فمن كان منكم مريضا اؤ على سفر فعدة من ايام اخر.(البقرة:١٨٤)
Tarjumah:- Aur Jo Koi Mareez Ho Ya Fir Musaafir Ho To Dusre Dino Me Ginti Puri Kare.
Dusri Woh Bimaar Jin Ki Shifa Yaabi Ki Ummid Na Ho Aur Ayse Hi Burhe Mard Aur Aurat Jo Rozah Rakhne Ki Taaqat Na Rakhte Ho Un Dono Ke Liye Rozah Chhorna Jaiz He Aur Har Rozah Ke Badle Rozana Ek Miskeen Ko Aadhe Sa'a (Taqreeban Derh Kg) Gehu,Rice,Ya Khaai Jane Wali Dusri Chiz De De. Allah Ka Farmaan He:
وعلى الذين يطيقون فدية طعام مسكين.(البقرة: ١٨٤)

Tarjumah:- Aur Uski Taaqat Rakhne Wale Fidya Me Ek Miskeen Ko Khana De.
Yaha Yah Dhiyaan Rahe Ke Ma'mooli Pareshani Maslan: Zukaam,Sar Dard Wagairah Ki Wajah Se Rozah Torhna Jaiz Nahi He.
(2) MUSAAFIR AURAT KA HUKAM: Ramazan Me Musaafir Ke Liye Rozah Chhorna Jaiz He Jaisa Ke Allah Ka Farmaan He:
فمن كان منكم مريضا اؤ على سفر فعدة من ايام اخر.(البقرة:١٨٤)
Tarjumah:- Aur Jo Koi Mareez Ho Ya Fir Musaafir Ho To Dusre Dino Me Ginti Puri Kare.
Agar Safar Me Rozah Rakhne Me Mushaqqat Na Ho To Musaafir Haalat E Safar Me Bhi Rozah Rakh Sakti He. Uske Bahut Sare Dalaail Hai. Maslan- Ek Sahaabi Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Se Safar Me Rozah Ke Babat Puchte Hai To Aap Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
إن شئت صمت وإن شئت افطرت. (صحيح النسائى:٢٢٩٣)

Tarjumah:- Agar Tum Chaho To Rozah Aur Agar Chaaho To Chhor Do.
Musaafira Chhore Hue Rozah Ki Qaza Baad Me Karegi.
(3) HAIZ AUR NIFAAS WALI AURAT KA HUKM: Haiz Wali Aur Bachcha Janam Dene Wali Aurat Ke Liye Khoon Aane Tak Rozah Chhorhne Ka Hukam He Aur Jaise Hi Khoon Band Ho Jaae To Rozah Rakhna Shuru Kar De. Kabhi Kabhi Nifaas Wali Aurat 40 Din Se Pehle Hi Paak Ho Jati He To Paak Hone Par Rozah He Aurat Ke Liye Khoon Rokne Ki Dawa Istimaal Karne Se Behtar He Tabai Haalat Par Rahe. Haiz Aur Nifaas Ke Alawah Khoon Aae To Us Se Rozah Nahi Torhna He Balke Rozah Jaari Rakhna He.
(4) DUDH PILAANE WALI AUR HAMAL WALI AURAT KA HUKM: Dudh Pilaane Wali Aurat Aur Hamal Wali Aurat Ko Jab Apne Liye Ya Bachche Ke Liye Rozah Ke Sabab Khatrah Laahiq Ho To Rozah Chhorh Sakti He Bila Taklif Rozah Chhorna Jaiz Nahi He. Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ke Is Farmaan Ka Yahi Matlab He:
إن الله عزوجل وضع للمسافر الصوم وشطر الصلاة وعن الحبلى والمرضع.(صحيح النسائى:٢٣١٤)
Tarjumah:- Allah Ne Musaafir Ke Liye Aadhi Namaaz Maaf Farma Di Aur Musaafir Aur Haamla Aur Dudh Pilaane Wali Ko Rozah Maaf Farma Diye.
Jab Uzar Ki Wajah Se Aurat Rozah Chhorh De To Baad Me Uski Qaza Kare Haamila Aur Murzia Ke Talluq Se Fidya Ka Zikar Milta He Jo Ke Sahih Nahi He.
(5) CHHOTI BACHCHI KE ROZAH KA HUKM: Upar Zikar Kiya Gaya He Ke Tarbiyat Ke Taur Par Bachcho Se Rozah Rakhwana Chaahiye Agar Taaqat Rakhte Ho Chaahe Ladka Ho Ya Ladki Lekin Jab Baalig Ho Jaae To Fir Us Par Rozah Farz Ho Jata He Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
رُفِعَ الْقَلَمُ عن ثلاثة: عن النائم حتى يَسْتَيْقِظَ، وعن الصبي حتى يَحْتَلِمَ، وعن المجنون حتى يَعْقِلَ". (صحیح ابي داؤد:٤٤٠١)
Tarjumah:- Meri Ummat Me Se 3 Qism(Ke Logo) Se Pen Utha Liya Gaya He,Majnoon Aur Paagal Aur Be-Aqal He Jab Tak Ke Woh Hosh Me Aa Jaae Aur Soe Hue Se Jab Tak Ke Woh Bedaar Ho Jaae Aur Bachche Se Jab Tak Ke Woh Baalig Ho Jaae.
Kuch Ulma Ne Rozah Ke Liye Bachcho Ki Munaasib Umar 10 Saal Batalaai He Kuy Ke Hadees Me 10 Saal Par Namaaz Chhorne Par Maarne Ka Hukam He. Bahar Haal 10wa Saal Ho Ya Us Se Pehle Ka Agar Bachche Rozah Rakh Sakte Ho To Sarparast Ki Zimma Daari He Ke Unse Rozah Rakhwaae.
(6) QAZA ROZE TORHNE WALI AURAT KA HUKAM: Ramazan Me Bagair Uzar Ke Qasdan Rozah Chhorhne Wali Aurat Gunaah E Kabirah Ka Murtakib He. Ise Pehle Apne Gunaah Se Sachchi Taubah Karni Chaahiye Aur Jo Rozah Chhori He Uski Baad Me Qaza Bhi Kare. Aur Agar Koi Rozah Ki Haalat Me Jim'a Kar Leti He Use Qaza Ke Sath Kaffarah Bhi Ada Karna He. Kaffarah Me Londi Aazaad Karna Ya Musalsal Do Mahine Ka Rozah Rakhna Ya 60 Miskeeno Ko Khana Khilana He. Yaad Rahe He Bila Uzar Rozah Torhne Ka Bhayaanak Anjaam He.
(7) BE-NAMAAZI AURAT KE ROZE KA HUKAM: Jaise Rozah Arkaan Islaam Me Se Ek Rukn He Waise Hi Namaaz Bhi Ek Rukn He Namaaz Ke Bagair Roze Ka Koi Faidah Nahi. Jo Namaaz Ka Munkar He Woh Islaam Ke Daaire Se Nikal Jata He. Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
العهد الذي بيننا وبينهم الصلاة فمن ترك فقد كفر.(صحيح الترمذي: ٢٦٢١)
Tarjumah:- Hamare Aur Unke Darmiyaan Namaaz Ka Wada He Jis Ne Namaaz Ko Chhora Pas Usne Kufr Kiya.
Is Wajah Se Namaaz Ka Chhorne Wala Ka Rozah Qabool Nahi Hoga Balke Namaaz Chhorne Ki Wajah Se Uska Koi Bhi Amal Qabool Nahi Kiya Jaae Ga Jab Tak Ke Woh Taubah Na Kar Le.

Allah Ramazaan Ki Barakaat Aur Hasanaat Se Ham Sab Ka Daaman Bhar De Aur Us Maah E Mubarak Ko Hamari Najaat Ka Zariya Bana De. Aameen
 
Top