Umar Asari

Administrator
Staff member
khana khane k baad meetha khana

✵Sawaal:✵
Mera sawal hai kya khana khaney ke baad meetha khana sunnat h Daleel ke saath jawab dein

✯Jawaab:✯
Assalamu Alaikum Warehmatullahi Wabarakatuhu
Meetha khaane se pehle ho ya darmiyan mein ya baad mein, is ka talluq umoor e aadiyah se hai na ke sunan e shar’iyyah se. Allah ke Rasool ﷺ meetha khaaya karte they aur Aap ﷺ ko meetha pasand bhi tha. Lekin Aap ﷺ ka khaane ke baad meetha khaane ka mamool ho yeh kisi Sahih Hadees se saabit nahi hai.
Wallahu A’lam Bis-Sawaab!
 
Top