JUMUAH MUBAARAK KEHNA KAISA HAI ?


JUMUAH MUBAARAK KEHNA KAISA HAI ?

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ

Raavi-e-Hadees Jaabir (Raziyallaahu Anhu),

قَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا خَطَبَ احْمَرَّتْ عَيْنَاهُ وَعَلَا صَوْتُهُ وَاشْتَدَّ غَضَبُهُ حَتَّى كَأَنَّهُ مُنْذِرُ جَيْشٍ يَقُولُ صَبَّحَكُمْ وَمَسَّاكُمْ وَيَقُول


Unho Ne Kaha Ke Rasool Allaah Jab Khutba Padhtey Tou Aap Ki Aankhein Surkh (Red) Ho Jaati Aur Aawaaz Buland Ho Jaati Aur Ghussa Zyaada Ho Jaata Goya Woh Ek Aisey Lashkar Se Daraaney Waaley The Ke Subah Shaam Aaya Aur Farmaate The

ُ بُعِثْتُ أَنَا وَالسَّاعَةُ كَهَاتَيْنِ وَيَقْرُنُ بَيْنَ إِصْبَعَيْهِ السَّبَّابَةِ وَالْوُسْطَى وَيَقُولُ

“Main Aur Qiyaamat Yoon Bheja Gaya Hoon. Aur Aap Ne Kalma Ki Aur Beech Ki Ungli Milaatey Aur Kehte :

أَمَّا بَعْدُ فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ


“Allaah Ki Ta'reef Ke Ba’d Jaano Ke Har Baat Se Behtar Allaah Ki Kitaab Hai Aur Har Tareeqe Se Behtar Muhammad (ﷺ) ka Tareeqah Hai.

وَشَرُّ الْأُمُورِ مُحْدَثَاتُهَا وَكُلُّ بِدْعَةٍ ضَلَالَة

Aur Sab Kaamon Se Burey Naye Kaam Hain (Deen Mein) Aur Har Naya Kaam (Deen Mein) Gumraahi Hai.

[Saheeh Muslim, Hadees : 2005]


Aur Shaikh Saalih Al-Fauzaan Ne Kaha :

"Jumuah Mubaarak Kehna Bida't Hai Aur Allaah Ne Is Baarey Mein Koi Daleel Nahi Bheji."

[Albaidha.Net, Topic on Saying Jumuah Mubaarak]

VAZAAHAT:
Jab Rasool Allaah (ﷺ) Ne Jumuah Mubaarak Nahi Kaha Aur Na Sahaabah Ne Tou Humein Woh Amal Nahi Karna Hai Jisko Rasool Allaah Ne Aur Sahaaba Ne Nahi Kiya Aur Woh Hum Se Zyaada Deen Ko Jaanney Waale The.

Yeh Allaah Ka Deen Hai Hamaari Jaagir Nahi Ke Jo Dil Mein Aaya Woh Deen Ke Naam Se Karein.


《Muharrir: Abu Al-Hasan Al-Hindi Hafizahullah》
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Masail 0

Similar threads


Top