Jum'a Ke Din Uzar Ki Wajah Se Namaaz E Jum'a Na Padh Sake To Kya Kare?


Jum'a Ke Din Uzar Ki Wajah Se Namaaz E Jum'a Na Padh Sake To Kya Kare?

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Islamic Daai Center Taif
Jum'a Bahut Hi Aham Tareen Deen Hai Badi Ahmiyat Aur Fazilat Ka Haamil Hai Lekin Us Din Kabhi Aysa Uzar Bhi Dar Paish Ho Sakta Hai Jis Ki Wajah Se Kabhi Ham Infiraadi Taur Par To Kabhi Ijtimaai Taur Par Namaaz E Jum'a Ada Nahi Ada Kar Sakte Hai. Maslan Shadeed Bimaar Ho Gae Masjid Me Haazir Nahi Ho Sakte Hai Ya Safar Dar Paish Ho Gaya Ya Muslaadhaar Baarish Hone Lage Aur Ghar Se Nikalna Dushwaar Ho Jaae To Aysi Soorat Me Shariat Hame Zuhar Ada Karne Ki Rukhsat Deti Hai. Sunnat Me Is Ki Misaal Milti Hai Ke Baarish Aur Kichad Ki Wajah Se Logo Ko Apne Gharo Me Hi Namaaz Ada Karne Ka Hukam Diya Gaya Aur Hame Yah Bhi Maloom Hai Ke Ghar Me Juma Ki Namaaz Qaaim Nahi Ki Jati Balke Zuhar Ki Namaaz Hi Ada Ki Jati Hai. Sahih Bukhari Ki Mundarja Zail Rivayat Dekhe. Ibne Abbas RA Se Rivayat Hai:
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبْدِ الْوَهَّابِ ، قَالَ : حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ زَيْدٍ ، قَالَ : حَدَّثَنَا عَبْدُ الْحَمِيدِ صَاحِبُ الزِّيَادِيِّ ، قَالَ : سَمِعْتُ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ الْحَارِثِ ، قَالَ : خَطَبَنَا ابْنُ عَبَّاسٍ فِي يَوْمٍ ذِي رَدْغٍ ، فَأَمَرَ الْمُؤَذِّنَ لَمَّا بَلَغَ حَيَّ عَلَى الصَّلَاةِ ، قَالَ : قُلِ الصَّلَاةُ فِي الرِّحَالِ ، فَنَظَرَ بَعْضُهُمْ إِلَى بَعْضٍ فَكَأَنَّهُمْ أَنْكَرُوا ، فَقَالَ : كَأَنَّكُمْ أَنْكَرْتُمْ هَذَا ، إِنَّ هَذَا فَعَلَهُ مَنْ هُوَ خَيْرٌ مِنِّي يَعْنِي النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، إِنَّهَا عَزْمَةٌ وَإِنِّي كَرِهْتُ أَنْ أُحْرِجَكُمْ ، وَعَنْ حَمَّادٍ ، عَنْ عَاصِمٍ ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ الْحَارِثِ ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ نَحْوَهُ ، غَيْرَ أَنَّهُ قَالَ : كَرِهْتُ أَنْ أُؤَثِّمَكُمْ ، فَتَجِيئُونَ تَدُوسُونَ الطِّينَ إِلَى رُكَبِكُمْ .
ہمیں ایک دن ابن عباس رضی اللہ عنہما نے جب کہ بارش کی وجہ سے کیچڑ ہو رہی تھی خطبہ سنایا۔ پھر مؤذن کو حکم دیا اور جب وہ «حى على الصلاة‏» پر پہنچا تو آپ نے فرمایا کہ آج یوں پکار دو «الصلاة في الرحال» کہ نماز اپنی قیام گاہوں پر پڑھ لو۔ لوگ ایک دوسرے کو ( حیرت کی وجہ سے ) دیکھنے لگے۔ جیسے اس کو انہوں نے ناجائز سمجھا۔ ابن عباس رضی اللہ عنہما نے فرمایا کہ ایسا معلوم ہوتا ہے کہ تم نے شاید اس کو برا جانا ہے۔ ایسا تو مجھ سے بہتر ذات یعنی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے بھی کیا تھا۔ بیشک جمعہ واجب ہے مگر میں نے یہ پسند نہیں کیا کہ «حى على الصلاة‏» کہہ کر تمہیں باہر نکالوں ( اور تکلیف میں مبتلا کروں ) اور حماد عاصم سے، وہ عبداللہ بن حارث سے، وہ ابن عباس رضی اللہ عنہما سے، اسی طرح روایت کرتے ہیں۔ البتہ انہوں نے اتنا اور کہا کہ ابن عباس رضی اللہ عنہما نے فرمایا کہ مجھے اچھا معلوم نہیں ہوا کہ تمہیں گنہگار کروں اور تم اس حالت میں آؤ کہ تم مٹی میں گھٹنوں تک آلودہ ہو گئے ہو۔
Yah Hadees Is Baat Ki Daleel Hai Ke Agar Kisi Uzar Ki Wajah Se Masjid Me Juma Ki Namaaz Na Qaaim Ki Jaa Sake To Basti Ke Log Apne Apne Gharo Me Namaaz E Zuhar Ada Kar Sakte Hai. Jaisa Ke Ibne Abbaas RA Ne Logo Ko Baarish Ki Wajah Se Gharo Me Namaaz Padhne Ka Hukam Diya Aur Is Amal Ko Nabi SAV Ki Sunnat Qaraar Diya.
Aaj Kal Corona Virus Ki Wajah Se Baaz Khaliji Mamalik Me Masjido Me Jamaat Se Namaaz Nahi Hoti Gharo Me Hi Log Namaaz Ada Karte Hai Ayse Me Logo Ke Samne Juma Ke Din Se Mutaaliq Mukhtlif Qisam Ke Masaail Hai Unhe Ikhtisaar Se Bayan Kar Deta Hu.
(1) Baat To Yah Ke Khaliji Mamalik Ho Ya Aur Koi Mulk Ya City Jaha Masjid Me 5 Waqt Aur Namaaz E Jum'a Padhne Se Rok Diya Gaya Waha Ke Log Juma Ke Din Apne Gharo Me Zuhar Ki Namaaz Ada Kare Ge Pure Ghar Wale Mil Kar Zuhar Aur Deegar Faraaiz Ada Kare To Jamaat Ka Ajar Mile Ga.
(2) Yah Ke Masjid Me Zawaal Ke Baad Azaan Bhi Di Jaae Gi Magar In Masjid Me Jaha Jum'a Ki Namaaz Hoti Thi Aur Jis Me Juma Ki Namaaz Nahi Hoti Thi Usme Azaan Nahi Di Jaae Gi.
(3) Baat Yah Ke Juma Ke Din Gusal Karna Namaaz E Jum'a Ke Waste Mashru Tha Is Liye Zuhar Padhne Walo Ke Haq Me Gusal E Jum'a Mashru Nahi Hai Jaisa Ke Namaaz E Jum'a Na Padhne Wali Aurto Ke Haq Me Mashru Nahi Hai.
(4) Baat Yah Ke Juma Ke Din Kasrat Se Drood Padhna,Surah Kahaf Ki Tilaawat Karna Aur Qabooliyat Ki Ghadi Me Dua Karna Bara Aham Hai Is Liye Tamaam Logo Ko Chaahe Aurat Ho Ya Mard Un Baato Ka Ahtimaam Karna Chahiye.
Ek Last Baat Kehna Chahta Hu Ke Moamino Ka Juma Ke Din Namaaz E Jum'a Se Mehroom Hone Par Gamgeen Hona Fitri Baat Hai Magar Hame Allaah Ki Rehmat Se Maayus Nahi Hona Chaahiye Aur Na Hi Kisi Ko NAMAAZ E Jum'a Band Hone Par Kosna Chaahiye Balke Ayse Mauqo Par Kasrat Se Taubah Aur Istigfaar Karna Chahiye,Tazrru Ke Sath Musalmano Ki Bhalaai,Mulki Aman O Amaan Aur Apne Deen Aur Imaan Ki Salamti Ke Liye Dua Karna Chaahiye. Allaah Ham Sab Ka Haami Aur Naasir Ho Aur Hame Har Qisam Ki Bimaariyo Aur Khauf Se Apni Panaah Me Rakhe. Aameen
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Namaz 2
A Namaz 0

Similar threads


Top