Juma’ Ke Din Aurat Kaise Faida Utha Sakti Hai?

Tehreer
: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Islamic Da'wah Centre,Taif KSA

Romanized By:
Umar Asari

Juma' Ka Din Tamam Dinon Mein Sab Se Behtar Din Hai, Yeh Din Jahan Mard Ke Liye Behtar Hai Wahien Aurton Ke Liye Bhi Behtar Hai, Magar Afsos Hamare Yahan Juma' Ke Mutalliq Aurton Ko Tareeki Mein Rakha Gaya Hai. Inhein Yahi Ta’leem Di Jaati Hai Ke Juma’ Ka Din Sirf Mard Ke Liye Hai Aurton Ke Liye Kuch Nahi. Is Wajah Se Aurtein Jahan Aam Dinon Mein Ghaafil Hoti Hain Wahien Dino Ke Sardar Yani Juma’ Ke Din Mein Bhi Ghaflat Ka Shikaar Rehti Hain. Mein Aap Ki Khidmat Mein Sahih Ahadees Ki Roshni Mein Ikhtisaar Ke Saath Bayan Karta Hun Ke Khatoon e Islam Kis Tarah Juma’ Ke Ba-Barkat (Barkat Wale) Din Se Faida Utha Sakti Hai.
(1) Ghusl e Juma’:
Juma’ Ke Din Ghusl Karna Wajib Nahi Balke Mustahab Hai, Yahi Baat Durust Hai.
Aur Woh Hadees Jis Mein Juma’ Ka Ghusl Wajib Bataya Gaya Hai, Jo Hazrat Abu Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu Se Marwi Hai Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaya:
الغُسْلُ يومَ الجمعةِ ، واجِبٌ على كلِّ مُحْتَلِم​
Tarjuma: Juma’ Ke Din Ghusl Karna Har Baaligh Par Wajib Hai.
(Sahih Muslim: 846)

Is Ke Mutalliq Jumhoor Ulama (Aksar Ualam) Ne Kaha Hai Ke Is Se Sunnat Ki Takeed Murad Hai.
Aurat Agar Juma’ Ki Namaz Mein Haazir Hoti Hain To Us Ke Liye Bhi Ghusl Karna Masnoon Hai, Jaisa Ki Ek Riwayat Mein Warid Hai:
من أتى الجمعةَ منَ الرِّجالِ والنِّساءِ فليغتسِلْ , ومن لم يأتِها فليسَ عليهِ غُسلٌ منَ الرِّجالِ والنِّساءِ​
Tarjuma: Mard Aur Aurat Mein Se Jo Juma’ Ki Namaz Ke Liye Aayen Woh Ghusl Karen, Aur Jo Juma’ Ki Namaz Na Padhe Us Mard o Aurat Par Ghusl Nahi Hai.
(Sahih Ibn e Khuzaimah, Sahih Ibn e Hibban)

Imam Nawawi Rahimahullah Ne “Al-Khulasah” Aur “Al-Majmoo” Mein In Alfaaz Ke Saath Is Ki Sanad Ko Sahih Qarar Diya Hai.
(Al-Majmoo’: 4/534 Or Al-Khulasah: 2/774)

Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah Ne Kaha Ki “Is Ke Rijaal Siqah Hain.”
(Fatah ul Baari: 2/417)

(2) Juma’ Ke Din Durood Padhna:

Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya:
إنَّ من أفضلِ أيامِكم يومَ الجمعةِ ، فيه خُلِقَ آدمُ ، و فيه قُبِضَ ، و فيه النفخةُ ، و فيه الصعقةُ ، فأكثروا عليَّ من الصلاةِ فيه ، فإنَّ صلاتَكم معروضةٌ عليَّ ، إنَّ اللهَ حرَّم على الأرضِ أن تأكلَ أجسادَ الأنبياءِ​
Tarjuma: Juma’ Ka Din Tumhare Tamam Dinon Mein Sab Se Afzal Din Hai. Is Din Adam Alaihissalam Paida Kiye Gaye, Isi Din Wafaat Paye, Isi Din Soor Phoonka Jayega Aur Isi Din Behoshi Taari Hogi. Pas Is Din Tum Mujh Par Kasrat Se Durood Bhejo, Is Liye Ke Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai, Allah ﷻ Ne Ambiya Ke Jismon Ko Mitti Par Haraam Qarar Diya Hai.
(Sahih ul Jami’ Lil-Albani: 2212)

Juma’ Ke Din Nabi ﷺ Par Durood Padhne Waali Yeh Hadees Mard o Aurat Dono Ko Shaamil Hai, Is Liye Aurat Bhi Juma’ Ke Din Durood Ka Khaas Ihtimaam Kare.

(3) Surah Kahaf Ki Tilawat Karna:
Kawateen Ko Juma’ Ke Din Surah Kahaf Ki Tilawat Karni Chahiye. Nabi ﷺ Ka Aam Farmaan Hai Jis Mein Mard Ke Saath Aurat Bhi Shaamil Hai:
من قرأ سورةَ الكهفِ في يومِ الجمعةِ ، أضاء له من النورِ ما بين الجمُعتَينِ​
Tarjuma: Jis Ne Juma’ Ke Din Surah Kahaf Padhi To Us Juma’ Se Doosre Juma’ Tak Us Ke Liye Noor Ko Roshan Kar Diya Jata Hai.
(Sahih ul Jami’ Lil-Albani: 6470)

(4) Aurton Ke Liye Namaz e Juma’:

Is Par Sab Ka Ittifaaq Hai Ke Juma’ Ki Namaz Sirf Mardon Par Farz Hai, Aurton Par Farz Nahi Hai. Is Ki Daleel:
الجمعةُ حقٌّ واجبٌ على كلِّ مسلمٍ في جماعةٍ ؛ إلا أربعةً : عبدًا مملوكاً ، أو امرأةً ، أو صبيًّا ، أو مريضًا​
Tarjuma: Juma’ Ki Namaz Har Musalman Par Jama’at Ke Saath Wajib Hai Siwaye Chaar Logon Ke: Ghulam, Aurat, Bachcha Aur Bemaar.
(Sahih ul Jami’: 3111)

Lekin Yahan Yeh Baat Bhi Jaan Leni Chaahiye Ke Agar Aurat Juma’ Ki Namaz Mein Shaamil Ho Jati Hai To Us Ki Namaz e Juma’ Sahih Hai Aur Us Se Zohr Ki Namaz Saqit Ho Jaayegi. Nabi ﷺ Ke Zamaane Mein Sahabiyyat Juma’ Mein Shareek Hoti Thien:
عن أم هشام بنت حارثة بن النعمان: وما أخذت (ق والقرآن المجيد) إلا عن لسان رسول الله صلى الله عليه وسلم يقرؤها كل يوم جمعة على المنبر إذا خطب الناس​
Tarjuma: Sayyidah Umm e Hisham Bint e Harisah Bin No’man Radhiallahu Anha Bayan Karti Hain Ke Mein Ne Surah Qaaf Nabi e Kareem ﷺ Ki Zabaan e Mubarak Se (Sun Kar) Hi To Yaad Ki Thi, Aap ﷺ Usay Har Juma’ Ke Din Mimbar Par Logon Ko Khutba Detey Huwe Tilawat Farmaya Karte They.
(Sahih Muslim: 873)

(5) Dua Ki Qubuliyat:

Juma’ Ke Din Ek Ghadi (Waqt) Aisi Hai Jis Mein Dua Ki Jaaye To Woh Qubool Ki Jati Hai, Is Liye Aurat Ko Juma’ Ki Us Ghadi Mein Dua Karni Chaahiye:
أنَّ رسولَ اللهِ صلَّى اللهُ عليه وسلَّم ذكَر يومَ الجمُعةِ، فقال : فيه ساعةٌ، لا يُوافِقُها عبدٌ مسلمٌ، وهو قائمٌ يُصلِّي، يَسأَلُ اللهَ تعالى شيئًا، إلا أعطاه إياه . وأشار بيدِه يُقَلِّلُها​
Tarjuma: Nabi ﷺ Ne Juma’ Ke Din Ka Zikr Kiya Aur Farmaya: Is Mein Ek Aisi Ghadi Hai Ki Koi Musalman Bandah Namaz Ki Haalat Mein Allah ﷻ Se Jo Kuch Talab Karta Hai To Allah ﷻ Usko Zaroor Deta Hai. Aur Aap ﷺ Ne Apne Haathon Se Us Waqt Ke Thode Hone Ka Ishara Kiya.
(Sahih Bukhari: 935)

Qubuliyat Ki Yeh Ghadi Konsi Hai Is Mein Ikhtilaaf Hai, Do Aqwaal Ziyadah Ma’roof (Famous) Hain:
Pahla Qaul: Juma’ Ki Azaan Se Le Kar Namaz Mukammal Hone Tak.
Doosra Qaul: Asr Ke Baad Se Le Kar Sooraj Doobne Tak Hai.
Waise Ulama Ka Ziyada Rujhaan Doosre Qaul Ki Taraf Hai, Agar Juma’ Ke Waqt Bhi Dua Kar Li Jaaye To Ziyadah Munasib Hai Jaisa Ki Allamah Ibn e Qayyim Rahimahullah Ne Zikr Kiya Hai.

(6) Juma’ Ke Din Husn e Khatma:
Jaisa Ki Main Ne Upar Bataya Hai Ke Aksar Aurtein Jaankaari Na Hone Ki Wajah Se Juma’ Ke Din Bhi Khair Aur Bhalaayi Ke Kaamon Se Door Rehti Hain Jabki Juma’ Ka Din Afzal Hai, Is Din Neiki Karna Chaahiye Aur Gunah Se Bachna Chahiye. Juma’ Ke Din Wafaat Paana Husn e Khatma Ki Nishaani Hai.
Abdullah Bin Amr Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya:
ما مِن مسلمٍ يموتُ يومَ الجمعةِ أو ليلةَ الجمعةِ إلَّا وقاهُ اللَّهُ فِتنةَ القبرِ​
Tarjuma: Jo Koi Musalman Juma’ Ki Raat Ya Din Mein Wafaat Paata Hai Allah ﷻ Us Ko Azaab e Qabr Se Bachata Hai.
(Sunan At-Tirmizi: 1074)

Andaza Kijiye Ke Koi Aurat Juma’ Ke Din Bhi Gunah Ke Kaam Kare To Kya Usey Yeh Fazeelat Milegi Aur Us Ka Khatma Husn e Khatma Maana Jayega?


Allah ﷻ Hamein Achche Aamaal Ki Tofeeq Ata Farmaye. Aameen.
 
Last edited by a moderator:

Similar threads


Top