JAMHOORI INTEKHAABAAT (democratic Elections) MEIN HISSA LENA KAISA HAI?


JAMHOORI INTEKHAABAAT (democratic Elections) MEIN HISSA LENA KAISA HAI?

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Rabee' Ibn Haadee Al-Madkhali apne risaale ba'unwaan "حقيقة المنهج الواسع الأفيح" mein farmaate hain:

"In Intikhaabaat (Elections, Voting) ke liye kitni hi Deen e ILaahi ki mukhaalifaton ka murtakib hua jaata hai Jaise Secular, Mulhid aur Bid'ati Jamaa'aton ke saath ittehaad karna aur is ittehaad ke nateeje mein 'Aqeedah Al-Walaa' Wal-Baraa' Allaah Ta'alaa (aur Deen ke liye Dosti aur Dushmani) ka munahdim kardena (ya'ni gira dena) ?!


Aur kitna hi Maal ka ziyaa' kiya jaata hai aur Musalmaano se Islaam aur Musalmaano
ke naam par Maal hathya liya jaata hai Rishwat waghairah dekar logon ko apne liye Jhoot wa par Fareb na'rey aur Tash-heer (Shuhrat) kaari par lagaaya jaata hai Ya Vote khareede jaate hain ?! Aur kitna hi Maal ka ziyaa', Jaano ka ziyaa', Khoon naahaq bahna aur akhlaaq ka barbaad hona hota hai?"


SOURCE: Jamhoori Intikhaabaat mein hissah lene aur vote daalne ka Hukm.
Mukhtalif 'Ulamaa Karaam
Masdar: web site
البيضاء العلمية se kuch tasarrufaat ke saath manqool
Tarjumah wa Tarteeb:طارق علی بروہی ;
PESHKASH: tawheedekhaalis


INTIKHAABAAT KA HAMAARE DEEN SE KOI TA'LLUQ NAHIN.

Saalih Al-Fawzaan apne maqaale ba'unwaan حكم الإنتخابات والمظاهرات” mein farmaate hain:

"Aaj kal Mumaalik mein jo Intikhaabaat (Elections, Voting) ke bataur tareeqah ma'roof hai woh Islaami Nizaam mein se nahin."

Rabee' Al-Madkhali
apne maqaale ba'unwaan “ذكرى المسلمين عموماً ولعلمائهم خصوصاً وحكامهم”
mein farmaate hain:

"Main unhe Naseehat karta hoon ke beshak Intikhaabaat (Elections, Voting) jo ke

Jamhooriyat ke bunyaadi 'anaasir (ya'ni Bunyaadi Ajzaa) mein se hai Tareeqah e Nabawi (ﷺ ) se mutasaadim (takraati) hai ke Rasool Allaah (ﷺ ) un logon ko chunte the jo 'ilm, taqwaa aur 'adaalat ke buland darje par faaez hote the aur unhe koi 'uhdah na dete the jo mansab ki hirs rakhta ho ya khud talab karta ho".

JAMHOORI INTEKHAABAAT MEIN HISSA LENEY KE BAAREY MEIN SHAYKH MUQBIL KA MUKHTASAR BAYAAN.

Shaykh Muqbil (رحمه الله) ne kaha:

"Jamhooriyat (democracy) kufr hai kyun ke iska matlab hai ke awaam khud ki taraf se qawaaneen banaakar khud hukoomat kare.

Iska matlab hai ke koi kitaab (ya'ni Qur-aan) nahi aur na ahaadees hai aur na islaam hai aur hum jins parasti hai (same gender sex) aur zinaa ki ijaazat hai." (naoozubillaah)

[Tuhfatul Mujeeb, Page : 303]


Aur main poochta hoon ke kya intekhaabaat Jamhooriyat ke zariye se hi nahi hotey?
Aur kya Voting Jamhooriyat ke zariye se nahi hoti ?


[Nasaaih Wa Fadaaih, Page : 17]

(Jab raasta hi Shirk aur Kufr ka hai tou usme Shareek kaisa hosakte hain?)

Tou hamaare liye yeh jaaez nahi ke hum Albaani, Bin Baaz aur Ibn Uthaymeen ki Andhi Taqleed karein. Bilaashuba Allaah Ta'aala ne farmaaya :

اِتَّبِعُوۡا مَاۤ اُنۡزِلَ اِلَیۡکُمۡ مِّنۡ رَّبِّکُمۡ وَ لَا تَتَّبِعُوۡا مِنۡ دُوۡنِہٖۤ اَوۡلِیَآءَ ؕ قَلِیۡلًا مَّا تَذَکَّرُوۡنَ

"Uski itteba (Pairvi) karo jo tumhare Rabb ki taraf se Naazil kiya gaya hai aur usko Chhord kar Mangharat Sar-Paraston ki itteba na karna, tum log bohat hi kam Naseehat Pakadte ho."[7:3]


Allaah ne farmaaya:


وَ لَا تَقۡفُ مَا لَیۡسَ لَکَ بِہٖ عِلۡمٌ

"Jis baat ki tumhe khabar bhi na ho uske peechey mat pado.." [17:36] Tou Ahlus Sunnah Andhi Taqleed nahi karte.

Intekhaabaat ki wajah se Qatal wa Ladaayi, Auraton ka (apne gharon se) baahar nikalna apni khoobsurti zaahir karna aur Auraton ki tasveerein aur intekhaabaat ki wajah se Qur-aan wa Sunnat ko aur Deen-e-Islaam ko Kufr ke baraabar karna. Aur kya Faaedey is intekhaabaat ne laaye hain?
(Sab dhoka hota hai)

Tou, Yeh Shuyookh (Ibn Uthaymeen, Bin Baaz waghaira) par Waajib hai ke woh (apne Fataawon se) Peechey hatjaaye aur hum unhein bhejengey إن شاء الله . Aur agar woh peechey nahi hat-tey tou hum Allaah ko gawaah banaate hain ke unke Fataawon se bilkul Baraa-at wa Bezaari karte hain (hum Baree hain) kyunke woh (Fataawā) Qur-aan aur Sunnat ke khilaaf hai. Chaahe woh (isse) Khush hotey hain ya Ghussa hotey hain, hamaari izzat aur khoon Islaam ke liye Qurbaan hai aur hum uski Parwah nahi karte Alhumdulillaah.

[Tuhfatul Mujeeb] Is baarey mein Shaykh ka bayaan sunein:

QAANOON SAAZ (LEGISLATOR KO CHUNNE) KE LIYE VOTE KARNA KUFR WA SHIRK HAI

Qaanoon Saaz (ko chunne) ke liye Vote karna Kufr hai chaahe agar woh ek Qaanoon bhi nahi banaata ho. Jaisa ke tumhaare Vote deney ki wajah se hi woh taaqat ke zariye Qaanoon Saaz bansakta hai.

Yeh bilkul usi tarah hai jaisa ke Mandir ya Church ki ta'meer mein madad karna, Yahaan tak ke agar koi Mushrik Us Mandir mein Allaah ke siwa kisi aur ki ibaadat na kare. Agar koi Haqeeqat ka ilm rakhne ke baavajood Vote deta hai tou woh Kaafir hai.

Yeh Usool Al-Fiqh ka ek Qaaidah (rule) hai "Koi ek Amal ki ijaazat dena Uske nateejey/ outcome ki ijaazat dena hai."

Tou yahaan tak ke agar tum achhi niyyat hone ka da'waa karte ho, tumhari niyyat achhi hai Kufr mein mulavviz hone ke liye tab bhi Allaah tumhari niyyat ya iraadey ko ghalat/baatil karta hai.

Bohat se ulamaa ne jamhoori intekhabaat mein vote deney ko shirk aur kufr jaana hai aur isme shareek hone se manaa kiya hai jaise Shaykh Muqbil Bin Haadi Al- Waadi’ee, Saalih Al-Fawzaan, Ahmad An-Najmi, Rabee Al-Madkhali, Shaykh
Sulayman Ar-Ruhayli, Shaykh Abdul Jabbar Shakir, Tauseef-ur-Rahmaan, Taalib-ur-Rahmaan waghaira. Aur Shaykh Muqbil ne Bin Baaz, Ibn Uthaymeen aur Albaani ko apne Fatwon se tawbah karne ko kaha hai. Aur kaha ke unki is muaamley me andhi taqleed karna jaaez nahi.

Aur Abdullaah Al-Ghunaymaan, Abu Baseer At Tartoosi, Abdul Azeez Ar-Raajihi ne bhi vaazih kardiya hai ke yeh jamhoori intekhaabaat mein hissa lena shirk wa kufr hai.
Aur inho ne Egypt mein Mursi [1] ko vote deney waalon ko tawbah karne ko kaha aur bhi bohat kuch kaha.

---------

1. Mursi Woh shakhs tha jis ne kaha tha ke agar woh jeetega tou Sharee'at laayega tou Kaafi logon ne usko vote diya.

Kuch Ulamaa yeh samajhte hain ke yeh da'wey ki wajah se ke jeetne ke ba'd Sharee'at laaunga, tou yahaan Vote karne waala yeh iraada/niyyat nahi karraha ke woh insaani Qaanoon Saaz ko vote dey raha hai. Tou kuch Ulamaa yeh vote deney waalon ko is khaas mauqey par chhoot aur Uzr diye hain.

Jabke doosre Ulamaa yeh samajhte hain ke usne Taaghūt ka inkaar hi nahi kiya, islaam ke Aqeedey aur 'Eesaisat (Christianity) ke Aqeedey mein koi Farq nahi kiya aur isi wajah se Egypt ke Vote deney waalon ke liye koi Uzr nahi samajhte Ulamaa jaisa ke Syed imām, aur jo ‘Abdul-‘Azīz ar-Rājihī se zaahir hai. Allaah Humein Shirk se mehfooz rakhey. (Aammeen)

[JAMHOORI INTEKHAABAAT MEIN HISSA
LENEY KA SHAR’EE HUKM. Qur’aan, Saheeh Ahadith Aur Ulamaa Ke Aqwaal Ki Raushni Mein, Page No. 10-12
]

《Muharrir: Musalliyaan Masjid-e-Tawheed
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Shirk 7

Similar threads


Top