Jahannam ki kaifiyat ke mutalliq ek zaeef Riwayat


Abdul Adil

Member
Assalamualaikum Warah Matullah wa barkatuhu

Jahannam ki Kaifiyat ke mutalliq ek Mauzu Riwayat


Riwayat kuch is tarah se hai 👇

یَا جِبۡرِيۡلُ صِفۡ لِیَ النَّارَ وَانعَت لِی جَهَنَّمَ فَقَالَ جَبۡرِيۡلُ اِنَّ اللَّهَ تَبَارَكَ وَتَعَالَی أَمَرَ بِجَهَنَّمَ فَاوۡقِدَ أَلۡفَ عَامٍ حَتَّی ابۡیَضَّتۡ ثُمَّ أَمَرَ بِهَا فَاوۡقِدَ عَلَیۡهَا أَلۡفَ عَامٍ حَتَّی احۡمَرَّتۡ ثُمَّ أَمَرَ بِهَا فَاوۡقِدَ عَلَیۡهَا أَلۡفَ عَامٍ حَتَّی اسۡوَدَّتۡ فَهِیَ سَوۡدَاءُ مُظۡلِمَهٌ

Aie Jibrael Alaihisslam mere liye aag aur jahannam ke washf ( awshaf ) bayan kijiye. Jibrael Alaihisslam ne farmaya , bilasubah Allah Ta'ala ne jahannum ke mutalliq huqm irshad farmaya to use ek hazaar saal jhalaya gaya hatta ki wo safed ho gayi fir uske mutalliq huqm diya to use ek hazaar saal jalaya gaya hatt ki wo surkh ho gayi fir (teesri bar) uske mutalliq huqm diya to use ek hazaar saal jalaya gya hatta ki wo syaha ho gayi aur ab uska rang intehaayi syaha aur tareek ( darkness ) hai


Tahqeeq :- Shaikh Nasiruddin Albani Rahimaullah ne is riwayat ko mauzu karar diya hai

{Al-Silsila Az Zaeefa Hadees Number 910}
 
Top