JADO KE KHURAAFAAT PAR AMAL KARNA


JADO KE KHURAAFAAT PAR AMAL KARNA
Tahreer : SAHIKH-UL-ISLAM MUHAMMED BIN ABDUL WAHHAB AL-TAMIMI – Abul Husain – rahimahullah (1703-1792)
Tarjumah : Fazilat-ush-Shaikh Mukhtaar Ahmed Nadwi hafizahullah
Romanised: Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Ahal-e-jaahliat ki ek aadat yeh bhi thi ke kitaabullah ke bajaye jado ki kitabon par aitqaad rakhte the, jaisa ke ALLAH ka irshad hai:

وَلَمَّا جَاءَهُمْ رَسُولٌ مِنْ عِنْدِ اللَّـهِ مُصَدِّقٌ لِمَا مَعَهُمْ نَبَذَ فَرِيقٌ مِنَ الَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ كِتَابَ اللَّـهِ وَرَاءَ ظُهُورِهِمْ كَأَنَّهُمْ لَا يَعْلَمُونَ ٭ وَاتَّبَعُوا مَا تَتْلُو الشَّيَاطِينُ عَلَى مُلْكِ سُلَيْمَانَ وَمَا كَفَرَ سُلَيْمَانُ وَلَـكِنَّ الشَّيَاطِينَ كَفَرُوا يُعَلِّمُونَ النَّاسَ السِّحْرَ وَمَا أُنْزِلَ عَلَى الْمَلَكَيْنِ بِبَابِلَ هَارُوتَ وَمَارُوتَ وَمَا يُعَلِّمَانِ مِنْ أَحَدٍ حَتَّى يَقُولَا إِنَّمَا نَحْنُ فِتْنَةٌ فَلَا تَكْفُرْ فَيَتَعَلَّمُونَ مِنْهُمَا مَا يُفَرِّقُونَ بِهِ بَيْنَ الْمَرْءِ وَزَوْجِهِ وَمَا هُمْ بِضَارِّينَ بِهِ مِنْ أَحَدٍ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّـهِ وَيَتَعَلَّمُونَ مَا يَضُرُّهُمْ وَلَا يَنْفَعُهُمْ وَلَقَدْ عَلِمُوا لَمَنِ اشْتَرَاهُ مَا لَهُ فِي الْآخِرَةِ مِنْ خَلَاقٍ وَلَبِئْسَ مَا شَرَوْا بِهِ أَنْفُسَهُمْ لَوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ
"Jab kabhi un ke paas ALLAH ka koi Rasool un ki kitaab ki tasdeeq karne waala aaya, un ahal-e-kitaab ke ek firqe ne ALLAH ki kitaab ko is tarha peeth peechay daal diya, goya jante hi nah the. Aur is cheez ke peechay lag gaye jisay shayaateen Sulaiman(alaihissalam) ki hukoomat mein padhte the. Sulaiman(alaihissalam) ne to kufar nah kya tha, balkay yeh kufar shaitano ka tha, woh logon ko jado sikhaya karte thay, aur baabal mein Haaroot Maaroot do firshton par jo utaara gaya tha, woh dono bhi kisi shakhs ko is waqt tak nahi sikhate the jab tak yeh nah keh den ke hum to ek azmaish hain to kufar nah kar, phir log un se woh seekhte jis se shawhar beewi mein judai daal den aur darasal woh baghair ALLAH TA'ALA ki marzi ke kisi ko koi nuqsaan nahi pouncha satke, yeh log woh seekhte hain jo inhen nuqsaan pohanchaye aur naffa nah pouncha sakay, aur woh bilyaqeen jaante hain ke is ke lene waale ka akhirat mein koi hissa nahi. Aur woh bad-tareen cheez hai jis ke badle woh apne aap ko farokht kar rahay hain, kash ke yeh jaante hote."(Surah al-Baqarah:101)

Is aayat ki mufasil behas kutub tafaaseer mein mojood hai aur jahliat ki yeh khaslat aaj bhi bohat se logon mein mojood hai khaas tor par naam Nihaad saaleheen jo mukhtalif jaadoyi aamaal ke zariye saanpon ko rok lene, hathyaaron ki zarb aur aag mein daakhil ho jane ke kartab karte hain jin ka baatil hona Shariat se saabit hai lekin unhon ne is Shariat-e-Ellaahi ko chod diya aur kitaab-e-Ellaahi ko apne peeth ke peeche daal diya, aur un khurafaat ki pairwi karne lagey jo shayateen un ki taraf laya karte the aur daawa karte the ke hamari karaamaat hai, halaanke karaamaat kabhi kisi faasiq se zaahir nahi hoti aur jo log yeh kartab karte hain un ka fisq ayaan hai. Aur haqeeqat to yeh hai ke unhon ne apne deen ko khel aur tamasha bana dala aisay hi logon ke baray mein ALLAH ka irshad hai:

الَّذِينَ ضَلَّ سَعْيُهُمْ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَهُمْ يَحْسَبُونَ أَنَّهُمْ يُحْسِنُونَ صُنْعًا
"woh log jin ki sayee duniya ki zindagi mein bekar ho gayi aur woh yeh samjhay howe hain ke achay kaam kar rahay hain.(Surah al-Kahaf:104)
 
Top