INSURANCE


Ibnatu Ali

Member
❐ INSURANCE ❐
بسم الله الرحمن الرحيم​

Humarey zamaaney mein juwey ki ek shakal ye bhi hai ke log apni jaan o maal, ghar, gaadi, aur deegar ashya ka beema karwaatey hain aur atishzadgi se bachney ke liye yaa kisi ki izaa-rasaani se bachaau ke liye har cheez ki mukammal (full) insurance karwatey hain. iss tarah ki mukhtalif soortein murawwij hain hatta ke aaj kal toh ba'z gaaney waaley [singer] apni awaazon ki bhi insurance karwatey hain. yeh sab soortein juwey mein daakhil hain balke aisi hi kayi aur shaklein hain jin se Quran ne mana' kiya hai aur humarey zamaaney mein toh juwey ke liye khaas club paaye jaatey hain jin mein juwa khelney ke ba'z addey[sub stable] ke naam se pehchaane jaatey hain jo ke khaas taur par iss 'azeem gunah ka irtekaab karney waalon ke liye hi makhsoos hotey hain, isi hi tarha se ye jo foot ball match yaa tournament ke dauraan baaziyaan aur shartein lagti hain. isi tarah ye bhi juwey ki hi ek qism hai ke khilonon ki dukaanon, clubs aur mukhtalif stadiums aur shopping centres mein ba'z khiloney paaye jaatey hain yaa games milti hain jinhein [flippers] ka naam diya jaata hai waghairah.

Jahan tak muqaablon aur ek doosre par ghalba paaney ka ta'lluq hai, iski teen qismein hain:

❶ Jiska koi shara'i yaa deeni maqsad ho toh woh in'aam ke saath bhi aur baghair in'aam bhi jaayez hai ke ye in'aamaat maidaaney jihaad mein iste'maal hone waaley oont yaa ghodey ki race par ho yaa teer andaazi wa nishaana baazi ke muqaabley mein ho aur rajeh qaul ke mutabiq iss mein shara'i [deeni] 'uloom ki tehseel maslan Quran ke hifz par mushtamal muqabley bhi shaamil aur jaayez hain.

❷ Woh muqaabley jo ke kisi bhi shara'i hadaf se toh khaali hain lekin woh ba zaata jaayez hain khusoosan woh baghair in'aam jaayez hain jaisa ke foot ball match aur daud ke muqaabaley jo muharramaat se khaali ho jis mein namaazein zaaye' naa ho aur naa be pardagi ho kyunke beshak ye umoor baghair in'aam jaayez hain.

❸ Jo ke khud muharram[haraam] ho yaa haraam ki taraf pohonchaaney ka raasta ho jaisa ke gandey aur fasaad waaley muqaabley maslan muqaabla husn, nateejatan kisi ko "malika e husn" ka naam diya jaata hai yaa mukka baazi [Boxing] jo mu par marney par mushtamil hoti hai jab ke kisi ke (chehere par maarna) haraam hai. yaa singon waaley bailon mendhon ki ladaayi aur murghon ki ladaayi waghairah ka match hota hai ye sab in'aam ke saath yaa bagahir in'aam har soorat mein haraam hain.
(Shaykh Abdul Mohsin az-Zamil hafizahullah ke saath iss mauzoo' par jo baat cheet ki gayi thi ye uska khulaasa hai, aur shaayed woh iss mauzoo' par ek munfarid wa mufassal maqaala bhi taiyaar karein)

━━━━━━━━━━━━━━━━━
Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa Umoor❩. Taleef: Fazilat Al Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid Hafizahullah. Page No: 81,82|
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Masail 0

Similar threads


Top