Injeel bhi Allah ki kitaab hain fir bhi Musalmaan injeel follow kyu nahi kartey?


Injeel bhi Allah ki kitaab hain fir bhi Musalmaan injeel follow kyu nahi kartey?

Bahut sarey Christain Missionaries bholey bhaley (Innocent) muslims ko ye kah kar gumrah karne ki koshish kar rahe hain ki Quran mein likha hain ki Injeel bhi Allah ki kitab hai toh musalmaan sirf quran ko hi kiyun follow kartey hain? Injeel ko kiyun nahi?

Jawab...
Haan yeh baat sahi hain ki Injeel bhi Allah ki kitaab hai. Quran ke Alawa Allah ne aur bhi kitaabein naazil ki hain. Jismey se Tau'raat, Zaboor aur Injeel bhi hain. In kitaabo ka tazkira hamein Quran e majeed mein milta hai aur iskey alawa aur bhi kitaabein hain jinki tadaad ka sahih ilm Allah ko hi hai hum Un sab kitaabon par imaan (believe) rakhte hain.

Allah taa'la Quran majid mein farmaata hain
Aap kah dijiye ki hum Allah par aur jo kuch hum par utara gaya hain, aur jo Ibrahim aur Ismaail aur Yaaqub aur unki aulaad par utara gaya, aur jo kuch Musa aur Isa aur dusrey nabiyo ko Allah ki taraf se ata kiye gaye, un sab par Imaan laye. Hum unmein se kisi ke bich farq nahi kartey aur hum Allah ke farmabardaar hain.

(Surah aale Imran, surah no: 3 ayat no: 84)

Ab sawal ye uthta hai ki jab injeel bhi Allah ki kitab hai jisey chirstain aaj kal Bible ke naam se mashoor kiye huwe hain toh muslim sirf Quran ko hi kiyun follow kartey hain?

Pahli cheez:
Maujooda waqt mein jo bible hai ye wo injeel nahi hai jo Isa alaihissalam (jesus) ko di gai thi. Balki ye mixture hai. Ab is mein milawat ho chuki hai. Iski kuch verses sahi hain aur kuch verses logon ki banai hui mangharat hain jo Isa alaihissalam ke baad logon ne ismein mila di.

Jaise:

Bible ke 2 Samuel chapter 12 verse 7-12 mein likha hua hain ke
(Nauzbillah) "Khuda jhoot bolta hai".

Koi bhi aqal rakhne wala Insan is baat ko bilkul tasleem (accept) nahi kar sakta ki uska Rab jhoot bolta hai aur Alhumdulilah hum muslim ka ye aqidah hai ki hamarey Rab ki har ek baat sachchi han, hamarey Rab ka har wada sachcha hai.

Esi tarah science ki roshni mein bhi Bible mein kai Scientific galtiya paai jati hain.

Jaise:

Bible ke Genesis chapter 1 verse 16 pe likha hain ke "Chand ki jo roshni hai, wo khud ki roshni hain".

Balki science ye kehti hai ke chand ki roshni khud ki roshni nahi hain. Balki wo suraj ki roshni se chamkta hai.

Aur hamarey Quran e majid se bhi yahi baat sabit hoti hai ki Chand ki roshni khud ki roshni nahi hai.

Esi tarah Bible mein kafi sari galtiya hain jo is baat ka suboot hai ki ye wo injeel nahi hai jo Isa alaihissalam ko di gai thi balki ismein ab milawat ho chuki hai

Dusri baat:
Jab koi Rasool aata hai toh uske pahle wale Rasool ki shariyat mansookh ho jati hai.
Isa alaihissalam ki shariyat Muhammad Sallallahu alaihe wasallam ke nabi banney ke pahle tak thi lakin jab Muhammad Sallallahu alaihe wasallam Nabi baney toh Isa alaihissalam ki shariyat aur baqi kitabein (tau'raat, zaboor, aur Injeel) sab mansookh ho gai. Muhammad sallallahu alaihe wasallam Allah ke akhiri Nabi hain. Muhammad Sallallahu alaihe wasallam ke baad ab koi Nabi nahi aayega. Ab Qayamat aney tak sarey Insano ke liye Islam ki shariyat hain. Bhale koi kisi bhi mulk ka rahney wala ho ya kisi dharm (religion) mein wo paida huwa ho. Agar wo Quran aur Muhammad Sallallahu alaihe wasallam ki sahih hadith pe amal karta hai toh wo shakhs kaamyab hai. Agar wo kisi aur kitaab ya Nabi ki ita'at karta hai toh wo qabil e qabool (acceptable) nahi hoga.

Dalil
Allah taa'la Quran majid mein farmaatey hain..
Or Jo Shakhs Islam Ke Siwa Or Deen talaash kare, uska deen Qabul Na Kiya Jayega or wo Aakhirat Mein nuqsaan paaney walon mein hoga.

(Surah Aal e Imran: Surah No. 3 Aayat No. 85)

Hazrat Jabir radhi Allahu anhu rivayat kartey hain ki ek martaba Hazrat Umar bin Khattab radhi Allahu anhu Nabi-e-Akram Sallallahu Alihe wasallam ki khidmat mein Tau'raat ka ek nuskha lay kar haazir huwe aur arz ki Aye Allah ke Rasool! Ye Tau'raat ka ek nuskha hain. Nabi-e-karim Sallallahu alaihe wasallam khamosh rahe. Hazrat umar ne usey pardna shuru kar diya. Nabi-e-Akram Sallallahu alaihe wasallam ke chehrey mubarak ka rang tabdeel hone laga. Hazrat Abu Bakr Radhi Allahu anhu ne kaha. Tumhein aurtein roye. Kya tum Nabi-e-Akram Sallallahu alaihe wasallam ke chehra e Mubarak ki taraf nahi dekh rahe? Hazrat Umar Radhi Allahu anhu ne Nabi-e-Akram Sallallahu alaihe wasallam ke chahera (face) mubarak ki taraf dekha. Toh arz kiya ki main Allah aur uske Rasool ki naraazgi se Allah ki panah maangta hun. Allah ke parwardigaar hone, Islam ke deen-e-haq honey, Aur hazrat Muhammad Sallallahu alaihe wasallam ke nabi honey par Imaan rakhta hu. Nabi-e-Akram Sallallahu alaihe ne irshad farmaaya. Os zaat ki qasam jiskey haath mein Muhammad Sallallahu alaihe wasallam ki jaan hai. "Ab agar Musa tumharey saamney aa jayen aur tum unki pairwi karo aur mujhe chord do toh tum sidhey raastey se bhatak jaogay aur agar aaj Musa zinda hotey aur meri Nabuwwat ka zamana pa letey toh wo bhi meri pairwi kartey"

(Sunan daarmi, Jild 1, hadith 436)

Halaki is rivayat mein tauraat ka zikr hai magar jis tarah tauraat pahley ki kitaab hai usi tarah injeel bhi pichli kitaab hai. Jis tarah tauraat ki i'taat nahi ki ja sakti osi tarah bible ki bhi i'taat nahi ki ja sakti.

Allah taa'la Quran e majeed mein farmaata hai.
Jisne aap par haq ke sath is kitab (Quran) ko naazil farmaaya hai. Jo apne se pahle ki tasdeeq (confirming) karne wali hai. Osi ne taurat aur injeel ko utara tha. Isse pahle logo ko hidayat karne waali bna kar.
(Aale imran surah no: 3 Ayat no: 3)

Akhir mein ek dunyawi misaal dey kar apni baat khatm karta hun taki baat achchi tarah se or wazeh ho jaye:
Misaal ke taur pe main India ke kisi state ka ek shahri (naagrik) hun. Ab mujhe os state ke cheif minister ke qanoon follow karna padengay jo is waqt C.M hain. Bahut se aisey qanoon they jo issey pahle ke C.M ne banaye they lakin present ke C.M ne usey change kar diye. Ab agar koi aadmi yeh kahe ki main puraney C.M ke qanoon ko hi follow karunga toh ye qanoon ko tordne wali baat hogi. Kiyuki puraney C.M ke qanoon os waqt tak they jab wo C.M they. Lakin ab C.M change ho gaya hai. Ab mujhe oske Niyam qanoon follow karna padegay Jo present (maujooda) C.M hai.

Theek osi tarah jab Isa alaihissalam ka zamana tha tab logon ke liye injeel ko follow jarna zarori tha. Lakin unke baad Muhammad Salallahu alaihe wasallam ka zamana aa gaya to ab logo ke liye qayamat tak Quran aur hadith ko follow karna laazim (zarori ) hai.

Aur Allah behtar jaanney wala hai...
 

Top