ILM HAASIL KARNE MEIN SHARMAANA MUNAASIB NAHIN HAI


ILM HAASIL KARNE MEIN SHARMAANA MUNAASIB NAHIN HAI

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

• Imaam Bukhaari (Rahimahullaah) ne ta'leeqan 'Aa'ishah (Raziyallaahu 'Anhaa) ka qaul naqal kiya hai jis mein Ummul-Mu'mineen ne farmaaya:

نِعْمَ النِّسَاءُ نِسَاءُ الأَنْصَارِ لَمْ يَمْنَعْهُنَّ الْحَيَاءُ أَنْ يَتَفَقَّهْنَ فِي الدِّينِ

Ansaar ki Auratein achchi Auratein hain ke sharm unhein Deen mein samajh paida karne se nahin rokti.

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ سَلَامٍ ، قَالَ : أَخْبَرَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ ، قَالَ : حَدَّثَنَا هِشَامُ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ زَيْنَبَ ابْنَةِ أُمِّ سَلَمَةَ ، عَنْ أُمِّ سَلَمَةَ ، قَالَتْ : جَاءَتْ أُمُّ سُلَيْمٍ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، فَقَالَتْ : يَا رَسُولَ اللَّهِ ، إِنَّ اللَّهَ لَا يَسْتَحْيِي مِنَ الْحَقِّ ، فَهَلْ عَلَى الْمَرْأَةِ مِنْ غُسْلٍ إِذَا احْتَلَمَتْ ؟ قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : إِذَا رَأَتِ الْمَاءَ ، فَغَطَّتْ أُمُّ سَلَمَةَ تَعْنِي وَجْهَهَا ، وَقَالَتْ : يَا رَسُولَ اللَّهِ ، أَوَتَحْتَلِمُ الْمَرْأَةُ ؟ قَالَ : نَعَمْ ، تَرِبَتْ يَمِينُكِ فَبِمَ يُشْبِهُهَا وَلَدُهَا

• Zainab Bint Umm e Salamah ne riwaayat kiya ke woh (apni waalidah) Ummul-Mu'mineen Umm e Salamah (Raziyallaahu 'Anhaa) se riwaayat karti hain ke Umm e Sulaym (naami ek aurat) Rasool Allaah (ﷺ) ke paas aayi aur arz kiya ke Aye Allaah ke Rasool ! Allaah (تعالى) haqq baat bayaan karne se nahin sharmaata (is liye main poochti hoon ke) kya ehtelaam se aurat par bhi ghusl zaroori hai ?

• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya: "(Haan) jab aurat paani dekhle." (Ya'ni kapdey waghairah par manee ka asar maloom ho) toh (ye sunkar) Umm e Salamah ne (sharm ki wajah se) apna chehra chupaaliya aur kaha: Ya Rasool Allaah ! Kya aurat ko bhi ehtelaam hota hai ?

• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya: "Haan ! Tere haath khaak aalood ho, phir kyun uska bachcha uski soorat ki mushaabah (jaisa) hota hai." (Ya'ni yahi uske ehtelaam ka saboot hai)

[Source: Saheeh Al-Bukhaari, Kitaabul-'Ilm, Hadees: 130]

WAZAAHAT: Ansaari Auratein un makhsoos masaael ke daryaaft karne mein kisi qism ki sharm se kaam nahin leti thi, jinka ta'lluq sirf auraton se hai. Ye waaqiah hai ke agar woh Rasool Allaah (ﷺ) se un masaael ko wazaahat ke saath daryaaft na karti toh aaj Musalmaan Auraton ko apni zindagi ke us goshey ke liye rehnumaayi kahaan se milti ?

• Isi tarah mazkoorah Hadees mein Umm e Sulaym (Raziyallaahu 'Anhaa) ne nihaayat khoobsoorti ke saath pehle Allaah (تعالى) ki Sifat e Khaas bayaan farmaayi ke woh Haqq baat ke bayaan karne mein nahin sharmaata, phir woh mas'alah daryaaft kiya jo bazaahir sharm se ta'lluq rakhta hai, magar mas'alah hone ki haisiyat mein apni jagah daryaaft talab tha, pas poori Ummat par sabse pehle Rasool Allaah (ﷺ) ka bada ehsaan hai ke Aap (ﷺ) ne zaati zindagi se muta'lliq bhi woh baatein khol kar bayaan farmaadi jinhein aam taur par log beyja sharm ke sahaare bayaan nahin karte aur doosri taraf Sahaabiyah Auraton ki bhi ye Ummat beyhad mamnoon (ehsaanmand) hai ke unhone Aap (ﷺ) se sab masaael daryaaft kar daale, jinki har aurat ko zaroorat peysh aati hai.

• Zainab Bint Abdullaah Bin Al-Asad Makhzoomi (Raziyallaahu 'Anhaa) apne zamaane ki badi Faazilah Aalimah khaatoon thi, unki Waalidah Maajidah Umm e Salamah (Raziyallaahu 'Anhaa) apne Khaawind Abdullaah ki wafaat ke ba'd Ghazwah e Uhud ke ba'd Iddat guzaarne par Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ki zaujiyat se musharraf hui toh unki tarbiyat Aap (ﷺ) hi ke paas hui.

• Umm e Salamah (Raziyallaahu 'Anhaa) Islaam mein pehli khaatoon hain jinhone Madeenah Tayyibah ko hijrat ki, unke Khaawind Abu Salamah Badar mein bhi shareek the, Uhud mein ye majrooh (zakhmi) hue aur ba'd mein wafaat paayi, jinke Janaaze par Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ne Nau Takbeeron se Namaaz e Janaazah adaa farmaayi thi, us waqt Umm e Salamah Haamilah thi. Waza' e Hamal ke ba'd Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ke haram mein unko sharf haasil hua.

• Umm e Sulaym (Raziyallaahu 'Anhaa) Anas (Raziyallaahu 'Anhu) ki Waalidah Mohtarmah hain aur Abu Talhah Ansaari ki Zaujah e Mutahharah hain, Islaam mein inka bhi bada ooncha maqaam hai.

ولله الحمد والمنة وأعلم

《 Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah》

(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
 

Top