Ibn e Juraij Rahimahullah ka Mut’ah se rujoo’


Umar Asari

Administrator
Staff member
Ibn e Juraij Rahimahullah ka Mut’ah se rujoo’

Romanised By: Umar Asari

Kuch munkireen e Hadees aur Shia Bukhari waghera par tanqeed karte huwe yeh baat kasrat se dohraate hain ke Muhaddiseen ne Ibn e Juraij (Rahimahullah) se riwayat ki hai, jis ne 70 aurton se Mut’ah kiya tha.
Is hawale se ek guzarish to yeh hai ke Mut’ah pehle jaaiz tha, baad mein yeh mansookh ho gaya tha, lekin phir bhi kuch Sahaba e Kiraam aur Taba’ee is ke jawaaz ke qaail rahe (shayad unhein hurmat ke dalail na mile hon ya mumkin hai unhon ne un dalail ko nasikh na samjha ho), Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma bhi jawaaz ke qaail rahe, Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma Makkah ke mufti the, jis ke sabab Ahl e Makkah mein jawaaz ki raye raaij rahi, Ibn e Juraij Rahimahullah bhi Makki hain, woh bhi is ke jawaaz ke qaail the, lekin Mustakhraj Abi Awanah waghera mein un se rujoo’ karna saabit hai, Imam Abu Awanah Rahimahullah ne un ki sanad se kuch riwayaat naqal ki hain, jin mein se ek mein sarahat ke saath manqool hai:
قال ابن جريج يومئذ: اشهدوا أني قد رجعت عنها بعد ثمانية عشر حديثا أروي فيها لا بأس بها
مستخرج أبي عوانة ط الجامعة الإسلامية: 11/ 250
Tarjumah: Ibn e Juraij ne kaha, sab gawah ho jaao, hurmat ke silsile mein mujhe 18 riwayaat mili hain, main is bina par jawaaz waali raaye se rujoo’ kar chuka hun.
 
Top