HUM TERI HI IBADAT KARTE HAIN AUR TUJH HI SE MADAD MAANGTE HAIN


HUM TERI HI IBADAT KARTE HAIN AUR TUJH HI SE MADAD MAANGTE HAIN
Tahreer: ABU MUAAZ hafizahullah
(AL-HADIS shumaarah No.82, page:49)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Har Musalmaan har namaaz ki har rak'at mein ALLAH TA'ALA se mukhatib hokar kahta hai:

إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
"Hum teri hi ibaadat karte hain aur tujh hi se madad maangte hain."(Surah al-Fatiha:5)

FIQHUL-QURAN:

(1)
Ibaadat Ka Matlab:
"Bataur-e-Tazeem Mabod keliye inkesaari o ita'at, bandage, parastish, poja aur Sahih Hadis se saabit hai ke dua ibaadat hai(Abu Dawod:1479) lihaza ALLAH hi se dua maangni chahiye.


(2)
Mafauq-ul-Asbaab sirf ALLAH hi se madad maangni chahiye, raha Mataht-ul-Asbaab ek dosre ki madad aur marof o khair mein ta'awon to ye Surah al-Maayidah aayat No.2 ki ro se jaayez aur baaz awqaat zurori bhi hojata hai.

(3)
ALLAH TA'ALA ke saamne faut shudgaan(Amwaat) ka wasilah pesh karna Quran, Hadis, Ijma aur Khair-ul-Khuron ke aasaar salaf saliheen se qat'an saabit nahi hai.

(4)
Wasilah bil-amwaat ke jawaaz ki tamaam riwaayaat ZAYEEF o MARDOD hain, masalan ek riwaayat mein aayaa hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne Fatimah Bint Asad razilallahu-anha ki wafaat par anbiyaa ke wasile se dua maangi.(Dekhiye:Ghulam Rasool Barelvi ki kitab: Tibyaan-ul-Quran:1/199)

Yeh riwaayat ZAYEEF o MARDOD hai.(Dekhiye: Maahnaamah AL-HADIS:76/9-12)


(5)
Ek shakhs ne Surah al-Fatiha ki tafseer mein likha:
"Haan agar kisi maqbol bandah ko mahez wastah rahmat-e-ilaahi aur ghiar mustaqil samajh kar iste'aanat zaaheri is se kare to ye jaayez hai…" agar us se muraad jawaaz-e-tawassol ya mafaoq-ul-asbaab iste'aana hai to darje bala aayat o deegar dalaayil ki ro se ye baatil hai.


(6)
Ek peer sahib ne likha:
"Yani jaise hum ibaadat sirf teri hi karte hain usi tarha madad bhi sirf tujhi se talab karte hain too hi kaar saaz-e-haqiqi hai too hi maalik-e-haqiqi hai har kaam mien, har haajat mein tere saamne hi dast-e-sawaal daraaz karte hain. likin…. Arz hai ke isee tarha ke muqaam par likin waghairah alfaaz ke saath aqidah tawheed ki mukhaalifat karne walon ke bare mein kisi shaayer ka sher pesh-e-khidmat hai:

"Ye chaaron lafz hain makr o fuson ke
Agar, likin, chonanche, aur chonke"
 
Top