HOQOO-UL-IBAAD


HOQOO-UL-IBAAD
Fatwaa : FAZILAT-USH-SHAIKH HAFIZ ABDUL SATTAR AL-HAMMAD hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

الظُّلْمُ ظُلُمَاتٌ يَوْمَ الْقِيَامَةِ
"Zulm qyaamat ke din kai tarah ki taarikyaan saabit hoga."(Sahih Bukhari:2447)

FAWAAYED:
Zulm karne se kayi ek tarikhiyan is terhan hon gi ke ek to kisi ka haq, na-haq tareeqa se liya, dosray woh ALLAH ki mukhalfat kar ke is ke muqablay par utar aaya. Yeh gunah dosray gunaaho se bohat ziyada sangeen hai. Is liye zalim ko chahiye ke woh apne kiye howe mazalim ki duniya mein hi koi talaafi ki soorat paida kere basorat-e-deegar qayamat ke din maamla bohat bhayanak soorat ikhtiyar kar jaye ga.

RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ka irshaad-e-graami hai:
"Jis ne duniya mein kisi dosray ki izzat ya kisi aur cheez par zulm kya ho woh is se aaj hi maaf kara le pehle is se ke woh din aaye jis mein darham o dinar nahi honge, phir agar zalim ka koi naik amal ho ga to is ke zulm ki miqdaar, is se liya jaye ga, agar is ki naikiyan nah huien to mazloom ke gunah zalim ke khatay mein daal diye jayen ge."(Sahih Bukhari:2429)

Is amar ki mazeed wazahat darj-e-zail hadees se hoti hai. RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
"Miri ummat ka muflis woh insaan ho ga jo qayamat ke din namaz, roza, zakaat waghera le kar aaye ga lekin woh un nekiyon ke sath sath mukhtalif juraim ka bhi murtakib hwa ho ga. Yani kisi ko gaali di, kisi par bohtan baandha, kisi ka maal khaya, kisi ka khoon bahaya aur kisi ko mara petta, chunanche un mazloomon ko zalim ki naikiyan taqseem kar di jayen gi, agar is ki naikian khatam ho gayeen aur is ke zimme logon ke haqooq ab baqi rahay to mazloomon ke gunah is par laad diye jayenge bil-akhir use jahannum mein pheink diya jaye ga."(Sahih Muslim:2581)
 
Top