Hazrat Hanzala Razi Allahu Anhu


Shona shaikh

Active member
HAZRAT HANZALA bin abu aamir RAZI ALLAHU ANHU


HAZRAT HANZALA RAZI ALLAHU ANHU NE TAUHEEN E RISALAT KI JURM ME APNE BAAP KO QATAL KARNE KI IJAZAT MANGI, NABI E KAREEM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE AZ'RAAHE SHAFAQQAT IJAZAT NA DI.

Imaam ibn e al-Jauzi rahimaullah kehte hain ke Abu aamir Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki risalat ke baare me sawal karta rehta tha, woh yahoodi ulma me se tha, taat ka libaas pehnta tha, log use "Rahib" kehte. Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam (bani Ismaeel ki nasal se) maboos kiye gaye toh Abu amir hasad karne laga aur imaan na laya. Uska beta hanzala khara aur saccha musalman tha. Hz Hanzala Razi Allahu Anhu ne apne baap ko qatal karne ke liye Aap Sallallahu Alaihi Wassllam se ijazat talb ki, lekin Aap Sallallahu Alaihi Wassllam ne unhe rok diya."
(sifat'us safuwah, 289/1)


HAZRAT HANZALA RAZI ALLAHU ANHU NE JIHAAD KA ELAAN SUNA TOH SHAUQ E SHAHADAT ME GUSUL KIYE BAGAIR HI MAIDAN E JUNG ME PAHUNCH GAYE.

HAZRAT HANZALA RAZI ALLAHU ANHU KO GAZWAYE UHAD ME SHAHADAT KE BAAD FARISHTON NE GUSL DIYA.

hazrat Abdullah bin zubair razi Allahu Anhum apne walid se aur wo apne dada se riwayat karte hain ke (gazwaye uhad me) jab hz. Hanzala Razi Allahu Anhu aur Abu sufiyan bin haris ki mud-bhed hui toh shaddad bin aswad ne Hz Hanzala Razi Allahu Anhu par talwar se hamla kar ke unhe shaheed kardiya. Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "TUMHARE SAATHI KO FARISHTE GUSUL DE RAHE HAIN."
(madina wapas pahunch kar unki biwi se pucha gaya toh) hz Hanzala Razi Allahu Anhu ki biwi ne bataya: ke jab hz Hanzala Razi Allahu Anhu ne jihad ka elaan suna toh us waqt wo jumbi the. Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "isi wajah se farishte unhe gusul de rahe the."

(Hakim 3/204, silsilah ahadees e sahihyah li'albani vol:1, hadees 326)
 

Top