HAQEEQI MUSLIM KEHTE KISEY HAIN?


HAQEEQI MUSLIM KEHTE KISEY HAIN?

بسم الله الرحمن الرحيم

• Islaam jaisa hum chaahe waisa Ya jo hamaari marzi chaahe woh karne ka naam nahin hai. Islaam mukammal aur mutlaq taur par apne aap ko Allaah ke hawaale karne ka naam hai. Hum Allaah ke Hukmon ki farmaabardaari karte hain chaahe hamaare Nafs un Ahkaam ki mukhaalifat karey. Ek Musalmaan apni Khwaahishaat ke khilaaf jadd o jahed (mehnat) karta hai aur Allaah ne jo tashree' (Ahkaam, Qaanoon, Sharee'at banaayi hai us) ke taabe' (paaband) hota hai.

• Muslim kehte hain Istislaam karne waale ko, Allaah aur Uske Rasool (ﷺ) ke Ahkaam ko tasleem karne waale ko, Farmaabardaari karne waale ko.

• Faraameen e ILaahi hai:
أَفَغَیۡرَ دِینِ اللهِ یَبۡغُونَ وَلَهُۥۤ أَسۡلَمَ مَن فِی ٱلسَّمَـٰوَ ٰ⁠تِ وَٱلۡأَرۡضِ طَوۡعࣰا وَكَرۡهࣰا وَإِلَیۡهِ یُرۡجَعُونَ
"Kya woh log Allaah ke Deen ke siwa koi aur Deen chaahte hain haalaanke Aasmaanon aur Zameen mein jo koi bhi hai woh chaahte aur na chaahte hue bhi Allaah ka itaa'at guzaar hai. Aur Usi ki taraf sab ko laut kar jaana hai." [1]

إِنَّمَا كَانَ قَوۡلَ ٱلۡمُؤۡمِنِینَ إِذَا دُعُوۤا۟ إِلَى ٱللهِ وَرَسُولِهِۦ لِیَحۡكُمَ بَیۡنَهُمۡ أَن یَقُولُوا۟ سَمِعۡنَا وَأَطَعۡنَاۚ وَأُو۟لَـٰۤئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ۔ وَمَن یُطِعِ ٱللهَ وَرَسُولَهُۥ وَیَخۡشَ ٱللهَ وَیَتَّقۡهِ فَأُو۟لَـٰۤئِكَ هُمُ ٱلۡفَاۤئِزُونَ۔

"Bus Mu'minon ki toh baat hi ye hai (ke) jab woh Allaah aur Uske Rasool ki taraf bulaaye jaate hain, taake woh unke darmiyaan faislah karey, toh woh kehte hain: Humne suna aur itaa'at kee, aur wohi log Falaah (Kaamyaabi) paane waale hain. Aur jo koi Allaah aur Uske Rasool ki itaa'at karey, aur Allaah se darey aur Uska Taqwaa ikhtiyaar karey, toh wohi log kaamyaab hain."
[2]

وَمَا كَانَ لِمُؤۡمِنࣲ وَلَا مُؤۡمِنَةٍ إِذَا قَضَى ٱللهَ وَرَسُولُهُۥۤ أَمۡرًا أَن یَكُونَ لَهُمُ ٱلۡخِیَرَةُ مِنۡ أَمۡرِهِمۡۗ وَمَن یَعۡصِ ٱللهَ وَرَسُولَهُۥ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلَـٰلࣰا مُّبِینࣰا۔​

"Aur kisi Mu'min mard aur kisi Mu'min aurat ko ye haqq nahin ke jab Allaah aur Uska Rasool kisi mu'aamle ka faislah kardein toh unke liye apne mu'aamle mein unka koi ikhtiyaar (baaqi) rahey, aur jo Allaah aur Uske Rasool ki naafarmaani karey toh woh yaqeenan khullam khulla gumraah hogaya." [3]

قُلْ أَطِيعُوا اللهَ وَالرَّسُولَ ۖ فَإِن تَوَلَّوْا فَإِنَّ اللَّهَ لَا يُحِبُّ الْكَافِرِينَ
"Keh deejiye! Ke Allaah (تعالى) aur Rasool ki itaa'at karo, agar ye munh pheyrlein toh Beshak Allaah (تعالى) Kaafiron se Muhabbat nahin karta." [4]

وَأَطِیعُوا۟ ٱللهَ وَرَسُولَهُۥۤ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِینَ
"Aur Allaah (تعالى) aur Uske Rasool ki itaa'at karo agar tum Eemaan waale ho." [5]

یَـٰۤأَیُّهَا ٱلَّذِینَ ءَامَنُوۤا۟ أَطِیعُوا۟ ٱللهَ وَرَسُولَهُۥ وَلَا تَوَلَّوۡا۟ عَنۡهُ وَأَنتُمۡ تَسۡمَعُونَ۔ وَلَا تَكُونُوا۟ كَٱلَّذِینَ قَالُوا۟ سَمِعۡنَا وَهُمۡ لَا یَسۡمَعُونَ۔
"Aye Eemaan waalo! Allaah aur Uske Rasool ki itaa'at karo aur is se na phiro, haalaanke tum sun rahey ho. Aur tum un logon ki tarah na hojaao jinhone kaha: Humne sunliya, haalaanke woh sunte nahin the." [6]

یَـٰۤأَیُّهَا ٱلَّذِینَ ءَامَنُوۤا۟ أَطِیعُوا۟ ٱللهَ وَأَطِیعُوا۟ ٱلرَّسُولَ وَلَا تُبۡطِلُوۤا۟ أَعۡمَـٰلَكُمۡ
"Aye Eemaan waalo! Allaah ki itaa'at karo aur Rasool ki itaa'at karo aur apne a'maal ko ghaarat (wa barbaad) na karo." [7]

فَٱتَّقُوا۟ ٱللهَ مَا ٱسۡتَطَعۡتُمۡ وَٱسۡمَعُوا۟ وَأَطِیعُوا۟
"Pas jahaan tak tumse hosake Allaah se darte raho aur sunte aur itaa'at karte chale jaao." [8]

• Allaah samajhne ki tawfeeq dey, Aameen.

ولله الحمد والمنة وهو أعلم ، وما عليّ إلا البلاغ

- Abdul-Mudhill Hafizahullah
_____________

References:


[1] Soorah No. 3, Aal 'Imraan, Aayah: 83.

[2] Soorah No. 24, Al-Noor, Aayaat: 51, 52.

[3] Soorah No. 33, Al-Ahzaab, Aayah: 36.

[4] Soorah No. 3, Aal 'Imraan, Aayah: 32.

[5] Soorah No. 8, Al-Anfaal, Aayat: 1.

[6] Soorah No. 8, Al-Anfaal, Aayaat: 20, 21.

[7] Soorah No. 47, Muhammad (ﷺ), Aayah: 33.

[8] Soorah No. 64, Al-Taghaabun, Aayah: 16.
 
Top