HANAFIYAH KE MAZ'OUM IMAM ABU HANIFAH TABAYI NAHI THE


HANAFIYAH KE MAZ'OUM IMAM
ABU HANIFAH TABAYI NAHI THE

TAHREER : MUHADDIS-UL-ASR HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI HAFIZAHULLAH
(Tahqiqi o Ilmi Maqaalat:6/165)

Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Muhammed Arshad Sajjaad Deobandi ne Hanafiyah ke Imam Abu Hanifah (Mutawaffa: 150 Hijri) ke bare me likha hai: "ALLAH RABBUL IZZAT ne aap ko be'shumaar khobiyaan aur sifaat se nawaza tha jin me se ek bahut badi sifat ye bhi hai ke aap 'Tabayiyat' ke buland paayah martabah par faayez howe."

Is ke ba'ad Arshad Sajjaad Sahab ne darje zail(niche likhe howe) ke zaati aqwaal pesh kiye:

1)Ibn al-Nadeem (Paidayish naa malom, wafaat:438 Hijri, Ba-Hawalah 'Mujam al-Muallifeen')

2) Ibn Abdul Barr(paidayish:368 Hijri)

3) Zahbi(Paidayish:673 Hijri)

4)Yaafayi(Paidayish:700 Hijri)

5)Ibn Kaseer(Paidayish:7001 Hijri)

6)Ibn Hajar Asqalaani(Paidayish:773 Hijri)

7)Ayini Hanafi(Paidayish:762 Hijri)

8)Ibn Al-Ammaad Hanbali(Paidayish:1032 Hijri) (Dekhiye: Ilyaas Ghumman ka Qaafilah:7/30-40)

Ye sab ulama Hanafiyah ke Imam ki wafaat ke bahut arse ba'ad paida howe the, lihaaza in ke aqwaal munqate o be-sanad hone ki wajah se yahaan mardod hain. In Munqate o be-sanad aqwaal ke muqabile me Hanafiyah ke Imam Abu Hanifah ne khod apne bare men farmya:

((مارایت افضل من عطاء))

"Main Ataa(Bin Abi Rabaah) se ziayadah afzal koi nahi dekha."(Al-Kaamil li-Ibn Adi:7/2473, 'in hi lafzon ke saath'. aur naye print me [7/237] aur is ki sanad SAHIH hai. / Musnad Ali Bin Ja'ad:2/777, Hadis No.2062, dosra nuskhah:1978. / Taareekh Baghdaad:13/425. / Al-Ilal al-Sagheer lil-Timizi, page:891. / Kitaab Qira'at Khalf-ul-Imaam lil-Baihaqi, page:134 tahet Hadis:321 dosra nuskhah page:157 tahet hadis:345)

Zaahir hai ke is gawaahi se saabit howa ke Imam Sahab ne kisi Sahabi ko nahi dekha thaa, warna ye kabhi nah kahte: "maine Ata se ziyadah afzal koi nahi dekha. Imam Sahab ke apne is qaul aur gawaahi ke muqabile me agar mazkorah hawalon ki tarah be-sanad o munqata ek hazaar hawale bhi hon to ilmi maidaan me in ki koi haisiyat nahi.(Dekhiye: Tauzeeh al-Ahkaam:2/403-408)
 
Top