HAFIZ IBN AL-JAUZI AUR TAQLEED KA RADD


HAFIZ IBN AL-JAUZI AUR TAQLEED KA RADD
Tahreer: ABU MUAAZ hafizahullah
(AL-HADIS shumaarah No.73, page:50)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Ek hadis mein aaya hai ke jab qabr mein sawaal hota hai to un (MUHAMMED sallallahu alaihi wasallam) ke bare mein kya kahta tha?
To kaafir aur munaafiq jawaab deta hai:

كُنْتُ أَقُولُ مَا يَقُولُ النَّاسُ
"Mian to wahi kata tha jo log kahte the."

Phir usey kahata jata hai:

لاَ دَرَيْتَ وَلاَ تَلَيْتَ‏
"Tone nah to (apni aqal se) kuch samjha aur nah pairwi ki."(Sahih Bukhari:1338)

Is hadis ki tashreeh mein Imam Ibn al-Jauzi rahimahullah(Mutawaffa:597 Hijri) ne likha hai:

فیه دلیل علٰی تحریم التقلید في اصول الدین وانه ینبغي للعاقل ان یکون عارفابما یعتقده علٰی یقین من ذلک، لایقلدفیی احدا فان المقلدکالاعمی یتبع القائد
"Is (hadis) mein daleel hai ke usool-e-deen mein taqleed haram hai, aur aaqil ko chahiye ke wo jo aqidah rakhta hai, yaqeen ke saath us ki muarrifat rakhe, is mein kisi ki taqleed nah kare kionke muqallid to andhe ki tarha hota hai jo apne guide ke piche chalta hai."(Kitab al-Mushkil Min Hadis al-Sahihain:1/833, Al-Maktabh Al-Shamilah)

Is ibaarat mein Hafiz Ibn al-Jauzi rahimahullah ne murawwajah taqleed ka zabardast Radd kya hai aur bataure khair khawahi arz hai ke jab usool-e-deen mein taqleed haraam hai to phir Foro-e-Deen mein taqleed kis tarha jaayez hosakti hai? Musalmaanon ko chahiye ke Ibn al-Jauzi(Mutawaffa:597 Hijri) ki is tashreeh ko mazboti se pakaden aur har qism ki taqleed se ijtinaab karke kitab o sunnat aur ijmaa ke raaste par Salaf Saliheen aur Sahihul-Aqidah ulma kef ahem ki roshni mein gaamzan rahen.

In-Sha-ALLAH hamesha kaamiyaab rahenge.

Hamare ilm ke mutabiq kisi ek mustanad aalim ne bhi ye nahi kaha ke logo! Ayimah Arba mein se ek imam ke muqallid ban jaawo, balke sab ulma taqleed se qaulan felan dor rahe hain.

Tafseel ke liye dekhiye: Salaf Saliheen aur Taqleed(AL-HADIS:75-76)
 
Top