GUSTAKHANAA CARTOON AUR UMMAT-E-MUSLIMAH KI ZIMMEDARI


GUSTAKHANAA CARTOON AUR UMMAT-E-MUSLIMAH KI ZIMMEDARI
Al-Hamdu Lillah Assalatu Wassalamu Ala Rasoolillah Wa Ala Aalihi Wa Ashabihi Ajmayeen Ammaa Ba'ad:
Auzo-Billahi Minash-Shaitan Nirrajeem Bismillahirrahmaanirraheem
﴿إِنَّا كَفَيْنَاكَ الْمُسْتَهْزِئِينَ ﴾
(Surah al-Hijr:95)
"Be-shak hum AAP(sallallahu alaihi wasallam) ka mazaaq udaane walon ke muqabile me kaafi hain."
Imam Ibn Kaseer rahimahullah Tafseer Ibn Kaseer me farmate hain:
"Mushrikeen ke bade sardaar jo badi umar aur shareef shumaar kiye jate the in me se ek Banu Asad Qabile se "Aswad Bin Abdul Muttalib Abu Zam'a" bhi tha ye shakhs RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasalam ka bada dushman tha aur hamesha mazaaq udaya karta tha AAP sallallahu alaihi wasallam ne tang aakar is keliye bad-dua ki ke 'Aye ALLAH! ise andha karde aur be-aulaad karde…." isi par Quraan-E-Kareem ki ye aayaat nazil howi…. (Tafseer Ibn Kaseer:3/128, published: Maktabah Islamiyah Lahore)
chunaan-cheh ALLAH TA'ALA aisi qaum ko barbaad kardeta hai jo NABIO ka mazaaq udate hai.
Imam Ibn Taimiyah rahimahullah "AS-SARIM AL-MASLUL 'ALA SHATIM AR-RASUL" me likhte hain, Imam Dar-ul-Hirat Imam Malik rahimahullah ne farmaya:
((مَابَقَائُ الْاُمَّةِبَعْدَشَتْمِ نَبِیِّھَا))
"Jis ummat ke NABI ki shaan me gustaakhi ki jai, us ummat ko zindah rahne ka koi haq nahi"(As-Sarim Al-Maslul 'Ala Shatim Ar-Rasul, page:33)
RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki gustaakhi karne wala Musalamaan ho yaa kaafir dono wajib-ul-qatal hain (kitab-ul-Ijmaa li-Ibn Munzar, 153, [urdu] page:159, Ijma No.720.)
Imam Malik, Shafayi, Ahmed, Is'haq, Lais rahmatullahi alaihim ajmayeen sab ka yahi qaul hai, albataa Abu Hanifa ka kahna hai ke Zimmi(Jews/Christian) ko qatal nahi kiya jaiga, is liye ke jis shirk par wo qayim hai wo toheene Risaalat se bada gunaah hai.( As-Sarim Al-Maslul 'Ala Shatim Ar-Rasul, page:39)
Quran me kuffaar ki Toheen Aameez ko aur khol kar bayan kiya gaya hai:
﴿وَإِذَا رَآكَ الَّذِينَ كَفَرُوا إِنْ يَتَّخِذُونَكَ إِلَّا هُزُوً﴾
(Surah al-Anbiya:36)
"Aur jab kaafir AAP(sallallahu alaihi wasallam) ko dekhte hain to AAP(sallallahu alaihi wasallam) ka mazaaq banate hain".
Kuffaar aur musrikeen ka hamesha se yahi tariqa raha hai, ye koi nai baat bhi nahi hai likin ummation keliye ye hamesha ek sensitive muamila raha, chunancheh Syidina Abu Hurairah razaillahu-anhu bayan karte hain ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
((أَلاَ تَعْجَبُونَ كَيْفَ يَصْرِفُ اللَّهُ عَنِّي شَتْمَ قُرَيْشٍ وَلَعْنَهُمْ يَشْتِمُونَ مُذَمَّمًا وَيَلْعَنُونَ مُذَمَّمًا وَأَنَا مُحَمَّدٌ))
"kiya tum ta'ajjub nahi karte ke ALLAH TA'ALA quraish ki gaalion aur unke la'an ta'an ko mujh se kaise door karta hai? wo 'muzamam' ko gaaliyan dete hain aur 'muzammam' par lanat karte hain jabke mai to 'MUHAMMED' hon."[ sallallahu alaihi wasallam](Sahih Bukhari, kitab-ul-manaaqib, baab:RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke naamo ka bayan, Hadis No.3533)
Yahan par ek baat zehen-nasheen karleni chahiye ke kuffaare makkah AAP sallallahu alaihi wasallam ko 'MUHAMMED'(sallallahu alaihi wasallam) ke bajai 'Muzammam' kahkar mukhatib hote the lihaza kuffaare makkah jitni bhi zabaan daraziyan kiya karte the wo to 'Muzammam' ke liye thin naake hamare NABI sallallahu alaihi wasallam ke liye aur aaj kal "" Magazine ne jo kuch cartoon banai hain wo to RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke hai hi nahi hamara to yahi imaan hona chahiye kion ke AAP sallallahu alaihi wasallam ka deedaar to kisi ne aaj ke daur me to kiya hi nahi to ye farzi tasweeren Naamoos e Risaalat ka kuch nahi bigaad payenge kion ke dosre NABION ka bhi isee tarah se mazaaq udaa gaya jaisa ke Quran me ALLAH TA'ALA ka irshaad hai:
﴿وَلَقَدِ اسْتُهْزِئَ بِرُسُلٍ مِنْ قَبْلِكَ فَأَمْلَيْتُ لِلَّذِينَ كَفَرُوا ثُمَّ أَخَذْتُهُمْ فَكَيْفَ كَانَ عِقَابِ﴾
(Surah al-Ra'ad:32)
"Aur bila-shubah yaqinan AAP(sallallahu alaihi wasallam) se pahle bhi kayi Rasoolon ka mazaaq uadayagaya to maine un logon ko muhallat di jinho ne kufr kiya tha, phir maine unhe pakad liya to mera azaab kaisa hi bura hai"
RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ka rishaad hai:
))إِنَّ اللَّهَ لَيُمْلِي لِلظَّالِمِ حَتَّى إِذَا أَخَذَهُ لَمْ يُفْلِتْهُ))
"ALLAH TA'ALA zaalim ko chand rooz dunya me muhallat deta rahta hai likin jab pakadta hai to phir nahi chodta." (Shih Bukhari, kitab-ul-Tafseer, bab[5], Hadis No.4686)
Kuffaar aur mushrikeen ka hamesha se hi ye tariqa raha hai ke wo NABI sallallahu alaihi wasallam ke zaate ba-barkat ko mazaaq ka nishana banaya karte the aur koi mauqa haat se nahi jane dete the jaisa ke Syidina Salmaan Farsi raziallahu-nahu bayaan farmate hain:
((قِيلَ لَهُ قَدْ عَلَّمَكُمْ نَبِيُّكُمْ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كُلَّ شَىْءٍ حَتَّى الْخِرَاءَةَ ‏.‏ قَالَ فَقَالَ أَجَلْ لَقَدْ نَهَانَا أَنْ نَسْتَقْبِلَ الْقِبْلَةَ لِغَائِطٍ أَوْ بَوْلٍ أَوْ أَنْ نَسْتَنْجِيَ بِالْيَمِينِ أَوْ أَنْ نَسْتَنْجِيَ بِأَقَلَّ مِنْ ثَلاَثَةِ أَحْجَارٍ أَوْ أَنْ نَسْتَنْجِيَ بِرَجِيعٍ أَوْ بِعَظْمٍ((
"Ek Mushrik ne (mazaaq banate howe) kaha ke: tumhare NABI(sallallahu alaihi wasallam) ne to tumhe pakhana karna bhi sikhaya hai, is baat par Syidina Salamaan Farsi raziallahu-anhu ne kaha haan! NABI sallallahu alaihi wasallam ne hamen hukom diya hai ke hum paakhana karte waqt qible ki taraf moh naa Karen aur left hand se safai karen aur teen baar safai karen aur gobar aur haddi se safai karne se rooka hai."(Sahih Muslim, kitab al taharat, bab:pakhana karne ke ba'ad ki safai ka bayan, Hadis No.262/56 Darussalam No.606)
Is hadis se ye natija nikalta hai ke kuffaar aur mushrikeen ke mazaaq udane par hame ghusse me nahi aana chahiye balke bahut hi sabar aur khobi ke saath adaban jawab bayan kardena chahiye jaisa ke Syidina Salmaan Farsi raziallahu-anhu ne kiya.
FRANCE ME HAALIYAH TOHEEN-E-RISAALAT
Farance ke haliyah waqeaat par ek tajziyah ye bhi hai ke Farance me jo kuch howa aur horaha hai is baar Rabi-ul-Awal ke mahi ko kion chuna gaya kiya milad ki bid'at ko obhaar ne ke liye ye sab kiya gaya hai aur ye kuffaar ki ek makkari hai wo ye dekhna chate hai ke ye ummat kis had tak apne NABI ki talimaat ko faramosh karchuki hai to lihaza kuffaar is me kisi had tak kamiyab rahe is ummat ne NABI sallallahu alaihi wasallam ki Toheen ko bhulakar jashne milad me bad-mast rahi ye hamari pasti ka khola howa sabot hai, aur deegar mubassireen ka ye bhi maan-na hai ke is waqt France ek bahut bure daur se guzar raha hai aur wahan par finance buri tarah se mutasir hai, beroozgari bhi is ke natije me badhgai hai lihaza France Government ne is par pardah daalne ke liye toheen-e-risaalat ka bahana ko hathyaar ke taur par istemaal kiya hai aur apni awaam ko is me mash'ghol kardiya hai.
NABI-E-KAREEM sallallahu alaihi wasallam KE DAUR ME KUFFAAR O MUSHRIKEEN KA PROPAGANDA
Taareekh gawah ahi ke kuffaar jang ke saath saath propaganda ko bhi khob istemaal kiya, daure Risaalat me kuffaar o mushrikeen ash'aar ke zariye propaganda kiya karte the lihaza RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne Syidina Hassaan Bin Saabit razillahu-anhu ko is kaam keliye chunaa aur farmaya ke kuffaar ke is propaganda ka jawab apne ash'aar se diya Karen (Sahih Mulim:2485)
TOHEEN-E-RISALAT NAI LAHER WEST KA EK PROPAGANDA
Propaganda har daur me ek bahut bada hatyaar raha hai ye baat to sab ko malom hai ke taareekh me kai isee jangon ka zikar maujod hai jin ko sirf propaganda ki bunyad par jeet liya gaya, Farance me jo kuch howa hai is me bhi ek bahut bade propaganda ki boo aarahi hai lihaza hame is muamile ke har pahlo ko knowledge me rakhna bahut zarori hai insaani fitrat ko western bahut ziyada aur achi tarah se samajhte hain aur unko insano ke dimaagh se khelna bahut achi tariqe se aata hai, isee insaani kamzori ke madde nazar insaani 'psychology' ko saamne rakhte howe ALLAH TA'ALA ka Quran me Irshaad hai:
﴿
لَا تَجْعَلُوا دُعَاءَ الرَّسُولِ بَيْنَكُمْ كَدُعَاءِ بَعْضِكُمْ بَعْضًا قَدْ يَعْلَمُ اللَّهُ الَّذِينَ يَتَسَلَّلُونَ مِنْكُمْ لِوَاذًا فَلْيَحْذَرِ الَّذِينَ يُخَالِفُونَ عَنْ أَمْرِهِ أَنْ تُصِيبَهُمْ فِتْنَةٌ أَوْ يُصِيبَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ﴾
(Surah al-Noor:63)
"Mominon! RASOOLULLAH(sallallahu alaihi wasallam) ke bulane ko aisa khayaal na karna jaisa tum aapas mein ek dosre ko bulate ho, be-shak ALLAH ko woh log maloom hain jo tum mein se aankh bacha kar chal dete hain to jo log un(Rasoolon/Nabiyon) ke hukum ki mukhaalfat karte hain, un ko darna chahiye ke (aisa nah ho ke) un par koi aafat padh jaye ya takleef dene wala azaab nazil ho."
Is aayat mein waarid lafz "Fitnah" ki Tafseer kufar o irtidaad se bhi ki gayi hai.
QURAN ME TOHEEN-E-RISAALAT KI AAYAAT KA BAYAAN
Imam Ibn Taimiyah rahimahullah Quran-E-Kreem ke un paanch aayaat ke ilawa bhi teen aayaat yani jumla aath(8) aayaat se "Toheen-e-Risaalat" ka gunaah karne wale ke kufar par bataur-e-daleel zikar kya hai, tafseel ke liye unn ki mash'hor kitaab: "As-Sarim Al-Maslul 'Ala Shatim Ar-Rasul, page:21 se lekar 60 tak ka mutaliyah karen."
NABI-E-KAREEM sallallahu alahi wasallam KI HURMAT:
NABI-E-KAREEM sallallahu alahi wasallam ki izzat o hurmat ek Musalmaan ki sab se badi daulat-e-imaan hai. AAP sallallahu alahi wasallam par jahan imaan lana zurori hai, wahan AAP sallallahu alahi wasallam ka Adab o Ehteraam, AAP sallallahu alahi wasallam ki Izzat o Azmat, AAP sallallahu alahi wasallam ki Taazeem o Toqeer, AAP sallallahu alahi wasallam se Muhabbat aur AAP sallallahu alahi wasallam ki madad aur nusrat bhi laazmi, zurori aur ain imaan ka hissah hai.
Ibtida-e-Islam hi se AAP sallallahu alahi wasallam ki Zaat-e-Mubarekah se Musalmaanon ki aqidat aur Muhabbat ke suboot dunyan ke har har jagah par phaile howe nazar aate hain aur har daur me ahle imaan AAP sallallahu alahi wasallam ki shakhsiyet ke saath Muhabbat o Taluq ki naa khatam hone wali riwaayaat likhte aarahe hain.
aalame insaniyat ke kisi mod par agar kisi bad'bakht ne khule taur par to kiya chup kar bhi AAP sallallahu alahi wasallam ki Shaan-E-Mubark me kisi bhi qisam ki gustakhi karne ki koshish ki to Musalmaanon ke zameer ne aise naaqabil-e-mauafi kaam ki por-zor mukhaalifat ki aur aur RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ki tuheen karne wale ko saza tak puhcha diya us ko kaifare kirdaar tak puhncha diay.
Har daur me baaz bad-bakht, bad-kirdaar log aur bad-niyat log AAP sallallahu alahi wasallam ki Zaat-E-Mubarakah ke bare me zabaan daraazi karke goya dunya hi me mool liya aur aakhirat ka azaab to in logo ke wahem o gumaan me bhi nahi aasaktaa.
WESTERN COUNTRIES AUR TOHEEN-E-RISALAT
Pichle chand saalon se western countries me is manhoosiyat ne ek naya roop ikhtiyaar karliya hai, Zabaan se RISAALAT sallallahu alaihi wasalam ki toheen karne ke formula ko chood kar hathon se bad-tareen CARTOON banakar Shaan-e-Risaalat par kichad uchala jaraha hai, Is saazish ki shuruaat August/2005 me shoru howi jab Denmark ke ek News Paper ne is silsile me Cartoon banane keliye bahut saare Cartoonist se application dene ko kaha aur 40 Cartoonist ne application fill ki jin me se sirf 12 Cartoonist is Gustakhanaa kaam keliye raazi howe, is tarah gustakhanaa cartoon ki publishing ka kaam 30/September/2005 ko Denmark ke News Paper "JYLLANDS-POSTEN"(Yollands-Posten) se shuro howa "Jyllands-Posten" Denmark ka Yahoodi akhbaar hai jis ka symble ek khaas nishaan "STAR OF DAVID" hai aur Star of David Yahood ka muqaas tareen nishaan hai jo Isreal ke qaumi parcham par bhi bana howa hai.
DENMARK TOHEEN-E-RISAALAT KA NUQTAYE AGHAAZ
Ye baat bhi sab ko malom hai ke Denmark ke malon cartoonist se hamdardi karte howe Italy, France, Switzerland, Holland aur Spain ne bhi ye cartoon published kiye the.
In cartoon se Ummat-e-Muslimah me gham o ghussah ki laher daudhgai, puri dunya me zabardast ehtejaaj howe jise dekh kar aalame kufr ke baaz leaders aur newspaper editors ne munafiqaanah taur par muafi maangi.
Aur ye baat bhi sab par roze roshan ki tarah khuli howe hai ke makkari, ayyaari yahood o nasara(Jews and Christian) ke khon me shamil hai, isi liye wo is kaam se baaz nahi aate aur jaise hi mauqa milta hai ghustakhanaa cartoon ko published kar ke apne makkar aur ayyaar hone ka suboot deterahte hain.
FREEDOM OF EXPERESSION KI AADH ME
Jab is bare me European ya Western ke logon se sawaal hota hai to wo is ka jawaab ye dete hain ke ye to "Freedom Of Experession" hai.
In sab chaal baazio aur sazisho ka sardaar aaj "" bna howa hai jo France ka weekly Magazine hai.
"" ne baar baar bad-bakht cartoon published kiye hain, French government ne ise "Freedom Of Expression" ka naam dekar behisee ka muzahira kiyaa.
Ek taraf is ka reaction yon howa ke Do teen (2-3) dahshatgardon ne is weekly Magazine ke Office par hamla karke is Magazine ke malon editor aur cartoon banana wale char bad'mashon samet 12 logon ko maar diya is ke ba'ad to goya west ko ISLAM se dushmani nibhane ka ek bahut khobsurat bahana milgaya.
Is waqiye se pure Europe/western contries me tahelka machgaya, jis par 40 contries ke officials aur Prime Ministers ne Paris me jama hokar French government aur unka saath dene wale aur TOHEEN-E-RISAALAT ke cartoon banana wale aur cartoon ko pubished karne walon se hamdardi zahir ki.
Islam dushmani ka ek aur namona ye hai ke Europe ki hath-dharmi dekhiye " " jo aksar 60 hazaar ki tadaad me published hota hai is Magazine ke management ne chand din ba'ad achanak hi 13/January ko Toheen Aameez cartoon par banaye gaye edition ki 30 laakh copies published kardi, aur magazine ke chief editor "GERARD BIARD" ne badi dhatai ke saath kaha:" Ke hum khush hai ke hum ne kar dikhayaa".
TOHEEN-E-RISALAT PAR BANE CARTOONS KI DOBARAH PUBLISHING
Toheen Aameez Cartoons ki phir se ek baar publishing aise hi hai jaise Musalamaanon par bijli girpadi ho, halanke French Prime Minister ne kaha ke hamari ladai "Dahshatgardon" ke saath hai, aur ye ladai Islam aur Musalmaanon ke khilaf nahi likin kuffaar la-etebaar hote hain in ki kisi bhi baat par yaqeen nahi kiya jasakta, aur dosri taraf "POPE FRANCIS" ka kahna hai ke 'Freedom Of Expression' ki aadh me mazhab ka mazaaq nahi udayaa jasakta.
MUSALMANON KO AZIYET DENE KA NAYA TARIQA
Ye dunya ki sab se numayaan haqiqat hai ke agar kisi shakhs ko ya kisi groh ko badhkana ho to ya ghussa dilana hoto to is ka sab se ghatya tariqa ye hai ke uske naamwar shakhsiyaat ke bare me galat bayani aur aunka mazaaq banaya jaye, likin yaad rah ke ye ek ghatya tariqa hi hai, is ke barkhilaf westernization me is ka ek mukhtalif nazriya paya jata hai aur wo log Toheen Aameez Cartoons ko toheen nahi maante wo ise "Freedom Of Expression" kahte hai aur kabhi is ko "Freedom Of Speech" bhi kahte hai halanke dono ka farq bhi wazeh hai jis ka definition kuch is tarah se kiya jata hai:
"FREEDOM OF EXPRESSION applies to ideas of all kinds including those that may be deeply offensive."
"FREEDOM OF SPEECH is the right to say whatever you like about whatever you like, whenever you like, Right or Wrong."
Halanke ye bhi yaad rakhna chahiye ke 'POPE FRANCIS' ne jo kaha hai jo upper guzar chukka hai aur ye ek khush-aayind baat thi agar'cheh ke us par amal kiya jata, bahar-haal ye maan liya jaye ke jo kuch cartoon published horahe hain is ke reaction me ek extremism paida horahi hai to dosri janib hame "Freedom Of Expression" ka ghalat istemaal ko bhi dekhna zarori hai, agar hum in donon ko sahih nazar se dekhenge to hame ye pata chalega ke ye dono hi 'Terrorism' ke ek hi sikke ke do rukh hain.
Is muamile me west ki, aur khusosan France ki doghli policy saamne aayi, is-se pahle 2009 me "" magazine ne ek cartoon puplished kiya us cartoon me former French President 'NICOLAS SARKOZY' ke bete ki shadi ka muamila tha usne ek ameer Yahodi ladki se shadi ki thi aur pana mazhab badal liya tha, is muamile par "" ne ek cartoon published kiya tha us cartoon ki publishing par management ki taraf se cartoonist par muafi maangne keliye dabao dala gaya likin us cartoonist ne muafi maangne se inkaar kardiya, phir us par resign karne ko kaha gaya us cartoonist ne resign karne se bhi inkaar kardiya aakhir kaar "" ke management ne us cartoonist ko fired kardiay, likin ab muamila to ISLAM ka hai lihaza French government aur "" dono hi aag me tel ka kaam kar rahe hain aur ISLAM dushmani ko parwaan chadha rahe hain.
Yeh bahut afsso ki baat ha ke jab baat ISLAM ki aati hai to western ke log "Freedom of Experession" ka hawala dete nazar aate hain, jab " " ke ek cartoonist ko 'Fired' kiya gaya to kiya us waqt "Freedom of Experession" maut waqe hogayi thi? yaa European us waqt "Freedom of Experession" ko jaan boojh kar faramosh kar gai? ye European aur western countris ki ISLAM dushmani ka khula subot hai.
Ye kahan ka insaaf hai ke French President ke bete ka cartoon jo ek haqiqat banaya gaya tha usko 'Be-izzati' kah kar cartoonist ko fired kardiya gaya aur doosri jaanib '1.8 billion Musalmanon ki dil-aazaari ki gai balke saaf kahdiya ke ye "Freedom of Experession" ka muamila hai, is ka saaf matlab ye hai ke jis ke dil me jo aye wo kar guzre, agar " " ke haan cartoon bana "Freedom of Experession" hai to phir jin dahshat-gardon ne " " ke office par hamlah kiya tha kiya wo bhi "Freedom of Experession" hi ke tahet aate hain, kion ke western ka 'formula' of "Freedom of Experession" to kuch aisa hi bayaan horaha hai….. ye doghli policy bahut ziyadah der tak nahi chalne wali hai.
ISLAMOPHOBIA AUR WEST KI BOKHLAAHAT
chonke Europe aur America samet tamaam mumalik me sab se ziyada tezee ke saath phailne wala mazahab sirf uar sirf ISLAM hai isi bunyaad par in countries me Islam ko lekar ek Counternarrative paya jata hai, "DICK CHENEY" (Former Vice President of the United States) ne ek baar kaha tha ke hame teen khatraat ka saamna hai 1)Communism 2)Nazism 3)Islam, last century me pahle do khatraat khatam hogai likin teesra khatra abhi bhi baqi hai.
Is ke bar'aks ek dosra rukh bhi west me paya jata hai jaisa ke 31/Oct./2020 ko Canada ke PM 'Justin Trudeau' ne RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke bare me kiyegai sawal ke jawab me kaha ke "Free speech has limits",(Al Arabia: AFP, Ottawa Saturday 31 October 2020)
WEST "STATE TERRORISM" KA MUJRIM HAI:
NABI KAREEM sallallahu alahi wasallam par is tarah ke hamle koi nayi baat to nahi hai balke aaj ke daur me ye ek 'terrorism' balke 'State Terrorism' ki shakal ikhtiyar karchuke hain jis ka sab se bada zimmah French Government par aataa hai aur French Government ke saath saath Eropean aur western contries bhi is 'State Terrorism' me mulawwis nazar aate hai, is par bhi koi ta'ajub ki baat nahi hai, likin ab aalame islam 'Muslim World' aur Hindustani Musalmaan is zulm aur ziyadation ko aur khusosan toheen-e-risaalat par banaigaye cartoon ko bardaasht nahi karenge.
ADALAT-E-RSOOL ME TOHEEN-E-RISAALAT KA MAS'ALAH
RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne maslihat ko madde anazar rakhte howe gustakhi karne walon ke saath narmi barti thi likin Sahabah Kiraam ne RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki Shaan-e-Mubarak ke khilaf koi cheez bhi bardaasht nahi ki halanke unke saamne RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ka amal maujod tha balke AAP sallallahu alaihi wasallam ki mujodgi me hi un gustakhon par talwaren taan liyakarte, ya phir aise muamilat Adalate Nabawi me punchne se pahle hi Sahabah apni talwaar se uska faisalah kardiya karte the, RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke haan jab aise muamilaat pesh kiye jate to AAP sallallahu alaihi wasallam unko muaf kardiya karte the kionke muaf karna AAP sallallahu alaihi wasallam ke ausaaf-e-jameel ka ek hissah tha.
TOHEEN-E-RISAALAT AUR SOCIAL MEDEA
2005 ke ba'ad ke aane wale saalon me toheen-e-risaalat par banai gaye cartoon ki publishing ka ek muamila saamne aayaa ye toheen aameez cartoon public tak nahi pahunch rahe the lihaza Social Media ko ek bahtareen hatyaar ke taur par istemaal kiya gaya balke ye kahna bhi galat nahi hoga ke Social Media ke users ki tadaad badhane keliye bhi istarah ke cartoon ko published kiya gaya promote kiya gaya, ek survey report ke mutabiq 2007 Social Media me sirf 5% se 7% Muslim users howa karte the jab ke ab yani 2020 me ye dadaad badhkar 70% se 80% hochuki hai ab is fitne ki ek kadi Social Media ki taraf bhi ishaarah kar rahi hai yahaan ye bahes nahi hai ke kya Social Media istemaal karna dorust hai ya anhi, balke yahaan par is baat par ziyadah tawajjuh honi chahiye ke hame har fitne se waqif hona behad zaroori hai.
UMMAT-E-MUSLIMAH KA AMAL IS MUAMILE ME KIYA HONA CHAHIYE?
Toheen-e-Risaalat ek naaqaabile bardaasht jurm hai, likin har mas'ale ki tarah is mas'le me bhi musalmaan bata howa nazar aata hai, Turk Arab par ilzaam laga raha hai Arab Iran par ilzaam laga raha hai, lihazaa ab aam Musalmaano par bahut badi zimmedari aayed hoti hai ke hum ziyada se ziyadah RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki 'SEERAT E MUBARAKAH' ko aam karen ghair muslimon tak SEERAT ka litrature puhnchayen ghair Muslimon ko maloom to ho ke PROPHET MUHAMMED sallallahu alahi wasallam ki shakhsiyat kiya thi AAP sallallahu alahi wasallam koi aam shakhs to hargiz nahi the AADAM alaihissalam se lekar qayamat tak jintne log paida honge in me sab se 'AFZAL' sab se 'ALA' sab se bahtareen insaan NABI sallallahu alaihi wasallam ki zaate mubarekah hai.
NABIYA KE KAAM KARNE KA TARIQAH
ANBIYAAYE KIRAAM alaihimussalato wasaalam ne gaaliyan suni balke qatal bhi kiye gai likin ek ALLAH ki tarf bulane ki dawat ka kaam nahi choda. Dawat ke is ek tariqe se he hum dushman ko jawaab desakte hain aur koi doosra raasta nahi hai aap ne dekhliya ke "" par hamla bhi howa editor samet 12 log bhi mare gai likin us se kiya hasil hogaya, chand din ba'ad "" ne phir se cartoon published kardiye, lihaza jitne bade paimane par hum 'DAWAT' ka kaam sar'anjaam denge nabiyon ke raaste par chalenge to is ka natija bhi bahtar hasil hoga, is ke barkhilaf putle jalaane se shor sharaabah, cheekh pukaar karne se kiya hasil hojaiga, jo kaam hame karna hai wahi karen sab se pahle hum apne imaan ko tar'o'taazah karen sab se badi dahshatgardi aur terrorism to ye hai ke koi 'TOHEEN-E-RISALAAT' ka murtakib ho is terrorism ko hame khatam karna hai agar hum tayyar hain agar hum deen se waqif hain aur RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasalam ki SEERAT se waqif hain to ye kaam hamare liye asaan hoga lihaza humara sab se pahla kaam yahi hona chahiye ke ghair Muslimon tak seerat ka paighaam puhnchayen is ka natija ye hoga ke phir un ke andar hi se unke ghalat logo ki mukhalifat hogi, aur isee bahane wo deen ki asal roh ko bhi samajh jainge, RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki zaat-e-ba-barkat se waqif bhi hojainge aur yahi tariqa ANBIYAYE KIRAAM alaihimussalato wassalam ka raha hai.
ALLAH TA'ALA hum sab musalmanon ko deen ko samajhne ka ilm ataa farmai aur us par amal karne ki taufeeq ata farmai aur Yahood o Nasara ke fitnon se mahfooz rakkhe AAMEEN.
WALHAMDU LILLAHI RABIL AALAMEEN WASSALTO WASSALMO ALA SYIDIL MURSALEEN.

وَأَحسَنُ مِنكَ لَم تَرَ قَطُّ عَيني
وَأَجمَلُ مِنكَ لَم تَلِدِ النِساءُ
خُلِقتَ مُبَرَّءً مِن كُلِّ عَيبٍ
كَأَنَّكَ قَد خُلِقتَ كَما تَشاءُ
SYIDINA HASSAN BIN SABIT raziallhu-anhu KE ASH’AAR
Aur aap ki zaat-e-mubarak se zyada hasin mere ankho ne kabhi koi nahi dekha.
Aur aap se zyada husn O jamal wala kabhi kisi Maa ne nahi jana.
Aap har qisam ke aib se paak paida kiye gai hai.
Goya Aap ki zat-e-mubarak ko Aap ke mansha ke ain mutabiq banaya gaya hai.
 
Top