Gustaakh-e-Sahaba aur Salaf Rahimahullah ki ghairat


Umar Asari

Administrator
Staff member
Gustaakh-e-Sahaba aur Salaf Rahimahullah ki ghairat

Jama’ wa Tarteeb: Hafiz Muhammad Tahir Bin Muhammad

Romanised By: Umar Asari

Imam Asim Al-Ahwaal Rahimahullah (Al-Mutawaffah: 142 Hijri) jo Madain shahar ke qaazi bhi rahe hain woh farmaate hain:
أتيت بِرَجُل قد سبّ عُثْمَان فضربته عشرَة أسواط قَالَ ثمَّ عَاد لما ضَربته فضربته عشرَة أُخْرَى فَلم يزل يسبه حَتَّى ضَربته سبعين سَوْطًا​
“Mere paas ek shakhs laaya gaya jis ne Sayyiduna Uthman Radhiallahu Anhu ko gaali di thi, main ne use dus (10) kode lagaaye, us ne dobarah gaali di main ne dus kode mazeed lagaaye, phir woh dobarah aisa karta raha yahan tak ke main ne use sattar (70) kode maare.”
(Al-Ilal wa Ma’rifat-ir-Rijaal Li-Ahmad: 1/428, Hadees No: 948 Wa-Sanaduhu Sahih)

Ibrahim bin Maisarah bayan karte hain:
مَا رَأَيْتُ عُمَرَ بْنَ عَبْدِ الْعَزِيزِ ضَرَبَ إِنْسَانًا قَطُّ، إِلَّا إِنْسَانًا شَتَمَ مُعَاوِيَةَ، فَضَرَبَهُ أَسْوَاطًا​
“Main ne kabhi nahi dekha ke Sayyiduna Umar bin Abdul Aziz Rahimahullah ne kisi insaan ko maara ho siwaaye ek shakhs ke jis ne Sayyiduna Mu’aawiyah Radhiallahu Anhu ko gaali di to unhon ne use kode lagaaye.”
(Sharh I’tiqaad Ahl-is-Sunnah Lil-Laalkaayi: 2385, Wa-Sanaduhu Hasan)

Abul Futooh Izz-ud-Deen Ibn-e-Abi Talib (Al-Mutawaffah: 653 Hijri) jo ke Sayyiduna Hasan bin ’Ali Radhiallahu Anhuma ki aulaad mein se the unhon ne ek raafizi An-Najeeb Yahya bin Ahmad Al-Hali Ibn-ul-Ood ko Sahaba-e-Kiraam Radhiallahu Anhum ko gaaliyan dene ki wajah se gadhe par bitha kar Halb shahar ka chakkar lagwaaya tha.”
(Tareekh-ul-Islam Liz-Zahabi: 14/749)

Sayyiduna Abdullah bin Al-Hasan bin Al-Hasan bin ’Ali bin Abi Talib Radhiallahu Anhum Ajma’een ne ek (gustaakh-e-Sahaba) raafizi se kaha:
وَالله ان قَتلك لقرابة​
“Allah ki qasam tumhaara qatl qurbat-e-ilaahi ka zariya hai.”
(Tareekh Ibn-e-Ma'een Riwayat-ud-Doori: 3/248, Hadees No: 1162, Wa Sanaduhu Sahih, Tareekh-e-Dimashq Li-Ibn-e-Asaakir: 27/377)

Sayyiduna Hasan Radhiallahu Anhu ke potey Sayyiduna Ibrahim bin Al-Hasan bin Al-Hasan bin ’Ali bin Abi Talib Rahimahumullahu farmaate hain:
دخل علي المغيرة بن سعيد وأنا شاب، وكنت وأنا شاب، أشبه برسول الله صلى الله عليه وسلم , فذكر من قرابتي وشبهي وأمله في , قال: ثم ذكر أبا بكر وعمر , فلعنهما وبرئ منهما , قال: قلت: يا عدو الله , أعندي؟ قال: فخنقته خنقا , قال: فقلت له: أرأيت قولك للمغيرة , فخنقته خنقا , أخنقته بالكلام أم بغيره , قال: بل خنقته حتى أدلع لسانه​
“Meri jawaani ke dino mein mere paas Mugheerah bin Sa’eed aaya, main choonke jawaani mein shakl-o-soorat mein Rasoolullah ﷺ se bahut mushaabihat rakhta tha, to us ne meri Rasoolullah ﷺ se rishtedaari, Aap se mushaabihat aur mere mutalliq apni khwaahishaat ka izhaar kiya, phir us ne Sayyiduna Abu Bakr aur Umar Radhiallahu Anhuma ka tazkirah kiya to un par la’nat ki aur bara’at ka elaan kiya, main ne kaha: Aye Allah ke dushman! Mere saamne tu aisa karta hai??? Farmaate hain: Main ne badi mazbooti se us ka gala daba diya. (Rawi kehte hain) Main ne poocha: Gala dabaane ka matlab ke aap ne use baaton se chup kara diya??? Farmaaya: Nahi balki main ne us ka gala itni mazbooti se dabaaya ke us ki zabaan bahar nikal aayi thi.”
(Kitab-uz-Zu’aafaa Lil-Uqaili: 4/179 Wa-Sanaduhu Sahih, Meezan-ul-Aitedaal Liz-Zahbi)

Yaad rahe ke yeh wahi Mugheerah bin Sa’eed hai jo nihayat bure aqaaid-o-nazariyyaat ka maalik tha, Hafiz Zahbi Rahimahullah is ka naam zikr karne ke baad farmaate hain:
لَعنه الله​
“Is par Allah ki la’nat ho.”
(Tareekh-ul-Islam Liz-Zahabi: 3/317)

Imam Ibn-e-Adi Rahimahullah farmaate hain:
المغيرة بْن سَعِيد هذا لم يكن بالكوفة ألعن منه​
“Mugheerah bin Sa’eed se bada la’nati poore Koofa mein nahi tha.”
(Al-Kamil Fi Zu'aafaa-ir-Rijaal: 8/73)

Hafiz Ibn-e-Hazm Rahimahullah ne bhi is ke mutalliq kaha:
لَعنه الله​
“Is par Allah ki la’nat ho.”
(Al-Fasl Fil-Milal Wan-Nihal: 4/141)

Imam A’mash Rahimahullah bayan farmaate hain:
قُلْتُ لِلْمُغِيرَةِ بْنِ سَعِيدٍ: أَتُحْيِي الْمَوْتَى؟ قَالَ: لَا. فَقُلْتُ: فَعَلِيٌّ؟ قَالَ: وَالَّذِي أَحْلِفُ بِهِ لَوْ شَاءَ أَحْيَى عَادًا وَثَمُودًا وَقُرُونًا بَيْنَ ذلك كثيرا​
“Main ne Mugheerah bin Sa’eed se poocha: Kya tu murde zindah kar sakta hai, bola: Nahi, main ne kaha: Sayyiduna ’Ali Radhiallahu Anhu kar sakte hain??? Kehne laga: Allah ki qasam! Agar woh chaahein to qaum-e-Aad aur Samood aur un ke darmiyaan halaak hone waali saari bastiyaan zindah kar den.”
(Al-Ma’rifah Wat-Tareekh Lil-Fasawi: 3/50 Wa-Sanaduhu Sahih, Al-Muttafiq Wal-Muftariq Lil-Khateeb: 3/1938, Kitab-uz-Zu’aafaa Lil-Uqaili: 4/179)

Ek doosri riwayat mein hai Imam A’mash farmaate hain main ne us se kaha:
ومن أين علمت ذاك قَالَ لأني أتيت رجلا من أهل البيت فتفل فِي فيِّ فما بقي شيء إلاَّ وأنا أعلمه​
“Tujhe yeh kaise pata chala?? To kehne laga: Main Ahl-e-Bait ke ek shakhs ke paas gaya us ne mere munh mein naqal kiya (phoonk maari) jis ki badolat main har har cheez ko jaan gaya.”
(Al-Kamil Fi Zu'aafaa-ir-Rijaal: 8/73 Wa Sanaduhu Sahih)

Isi tarah Imam A’mash Rahimahullah hi bayan farmaate hain:
أتاني المغيرة بْن سَعِيد فجلس بين يدي فذكر عليا وذكر الأنبياء ففضله عليهم ثُمّ، قَال: كَانَ علي بالبصرة فأتاه أعمى فمسح يده على عينيه فأبصر ثُمَّ قَالَ لَهُ تحب أن ترى الكوفة فَقَالَ نعم فأمر بالكوفة فحملت إليه حَتَّى نظر إليها ثُمّ قَالَ لَهَا ارجعي فرجعت فقلت سبحان اللَّه العظيم سبحان اللَّه العظيم فلما رأى إنكاري عليه تركني وقام​
“Mugheerah bin Sa’eed mere paas aa kar baith gaya phir Ambiya-e-Kiraam Alaihimussalam aur Sayyiduna ’Ali Radhiallahu Anhu ka zikr kiya aur Sayyiduna ’Ali Radhiallahu Anhu ko un se afzal qaraar diya. Phir kehne laga: Jab Sayyiduna ’Ali Koofa mein the to un ke paas ek andha aaya, unhon ne uski aankhon par haath phera woh dekhne laga, phir Sayyiduna ’Ali Radhiallahu Anhu ne us se poocha: Koofa shahar dekhna chaahte ho??? Us ne kaha: Ji Bilkul. Aap Radhiallahu Anhu ne Koofa ko hukm diya woh un ke paas aa gaya yahan tak ke us shakhs ne dekh liya phir aap ne Koofa ko hukm diya ke waapas laut jaao to woh waapas chala gaya. (Imam A’mash) farmaate hain main ne kaha: Subhanallah-il-Azeem Subhanallah-il-Azeem. Jab us ne mera inkaar dekha to mujhe chhod kar uth khada huwa.”
(Al-Kamil Fi Zu'aafaa-ir-Rijaal: 8/73 Wa Sanaduhu Sahih)
 

Similar threads


Top