Gussa Aur Uske Asbaab Aur Ilaaj


Gussa Aur Uske Asbaab Aur Ilaaj

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab.​

Gussa Ek Nafsiyaati Kaifiyat Ka Naam Hai Yah Insaani Fitrat Ka Hissa Hai Us Wajah Se Har Shakhas Ke Andar Is Fitrat Ka Wajood Hai Aur Mushahidaah Me Bhi Aata Hai Aysa Nahi Hai Ke Gussa Amiro Ki Daulat Hai Aur Faqeer Aur Miskeen Ko Kabhi Gussa Nahi Aata. Yah Har Insaan Ki Sifat Hai Bachpan Se Le Kar Budhape Tak Iska Zahoor Hota Hai Jo Us Baat Ki Na Qaabil E Tardeed Alamat Hai Ke Gussa Insaani Fitrat Aur Tabiat Ka Juz Laynafik Hai. Allaah Aur Uske Rasool Ke Kalaam Se Bhi Waazeh Taur Par Maloom Hota Hai. Allaah Moamino Ki Sifaat Bayan Karte Hue Farmata Hai:
الذين ينفقون في السراء والضراء والكاظمين الغيظ والعافين عن الناس والله يحب المحسنين.(آل عمران: 134)
Tarjumah: Jo Log Aasaani Me Aur Sakhti Ke Mauqao Par Bhi Allaah Ke Raste Me Kharch Karte Hai.
Gussa Pine Wale Aur Logo Se Dar Guzar Karne Wale Hai. Allaah Un Nek Kaaro Se Muhabbat Karta Hai.
Aur Nabi SAV Ne Farmaya:
ليس الشديد بالصرعة انما الشديد الذي يملك نفسه عند الغضب.(صحيح البخاري:6114)
Tarjumah:pehlwaan Woh Nahi Hai Jo Kushti Ladhne Me Gaalib Ho Jaae Balke Asli Pehlwaan To Woh Hai Jo Gussa Ki Haalat Me Apne Aap Par Qaabu Paae Be Qaabu Na Ho Jaae.
Quraani Aaayat Aur Hadees Se Jaha Yah Maloom Hota Hai Gussa Insaani Fitrat Hai Waha Yah Bhi Maloom Hota Hai Ke Is Fitrat Ko Islaam Ne Daba Kar Aur Qaabu Me Rakhne Ka Hukam Diya Hai. Abu Hurairah RA Se Rivayat Hai Woh Bayan Karte Hai:
ان رجلا قال للنبي صلى الله عليه وسلم اوصني قال لا تغضب فردد مرارا قال لا تغضب.(صحيح البخاري:6116)
Tarjumah:Ek Shakhas Ne Nabi SAV Se Arz Kiya Ke Mujhe Aap Koi Nasihat Farma Dijye Nabi SAV Ne Farmaya Ke Gussa Na Hua Kar Unhone Kai Martaba Yah Sawaal Kiya Aur Nabi SAV Ne Farmaya Ke Gussa Na Hua Kar.
Ek Baat Waazeh Ho Gai Ke Gussa Fitrat E Insaani Hai Taaham Us Par Qaabu Na Rakhne Se Bhayanak Nataaij Saamne Aate Hai. Miya Biwi Me Judaai,Aulaad Aur Waalidain Me Doori,Bahan Bhai Me Ikhtilaaf,Fard Aur Muashirah Me Bigaad,Duniya Me Zulam Aur Barbariyat Aur Fitnah Aur Fasaad Ki Jad Gussa Hai. Jab Tak Gussa Daba Hota Hai Tab Tak Fitnah Daba Hota Hai Aur Jab Gussa Be Qaabu Ho Jata Hai To Fitnah Aur Fasaad Bhi Apna Munh Khol Leta Hai. Ayse Mauqo Se Shitaan Kaafi Faaidah Uthata Hai. Woh 2 Fareeq Me Nafrat Aur Badla Ki Aag Bhadkata Hai Aur Insaan Bila Dareeg Ek Dusre Ka Khoon Kar Bethta Hai. Gussa Ka Bure Asraat Insaani Jisam Aur Rooh Par Bhi Murattab Hote Hai. Face Dekh Kar Ham Bhaanp Sakte Hai Ke Aadmi Gusse Me Hai,Rage Phool Jana,Face Laal Ho Jana Aur Saanso Me Tezi Paida Hona Gussa Hone Ki Alaamat Hai.
Yah M'ade Ki Shikaayat,Colastrol Ki Ziyadti,Aanto Ki Pareshani,Quwwat E Mudaafiat Ki Kami,Faalij Ka Khatrah Aur Dil Ke Bimaari Ka Sabab Hai. Usi Tarah Bimaari E Yarqaan Se Le Kar Sar,Yaaddashat,Gaur Aur Fikar Aur Nizaam E Aasab Tak Mutassir Karta Hai. Balke Maut Ka Bhi Raasta Hamwaar Kar Sakta Hai. Jab Samaaj Aur Muashirah Ki Tabaahi Ka Asal Sabab Gussa Hai To Fir Hame Uske Asbaab Maloom Karne Ki Zaroorat Hai Taaki Un Asbaab Se Pehli Thi Ikhtiyaar Kar Ke Gussa Par Qaabu Paya Ja Sake.
(1) Gussa Bhadakne Ka Ek Aham Sabab Takbbur Hai Jis Ke Paas Takbbur Hoga Woh Baat Baat Kar Gussa Hoga Aur Logo Ko Haqeer Samjhte Hue Us Par Ziyadti Kare Ga Is Liye Islaam Ne Takbbur Ki Buraai Bayaan Ki Hai Aur Mutakabbir Shakhas Par Jannat Mamn'u Kar Diya Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
لا يدخل الجنة من كان في قلبه مثقال ذرة من كبر.(صحيح مسلم:91)
Tarjumah: Woh Shakhas Jannat Me Daakhil Na Hoga Ke Jis Ke Dil Me Raai Ke Daane Ke Baraabar Bhi Takabbur Aur Guroor Hoga.
Jisr Apni Aakhirat Ki Fikar Hogi Woh Kabhi Takbbur Ki Najasat Me Mulawwis Ho Kar Jahnnam Me Daakhil Nahi Hoga.
(2) Badgoi,Laffaazi,Bila Zaroorat Lambi Baate,Kathjehti,Mazaaq, Sakhat Kalaam,Adeeal Pan,Geebat,Badmazaaji,Chidchidapan Yani Bad Akhlaaqi Ke Jitne Sifaat Hai Unse Gussa Janam Leta Hai Aur Aapas Me Nafrat Paida Hoti Hai Is Liye Moamin Ki Shaan Yah Hoti Hai Ke Woh Nihayat Seedha Sada Aur Shareefun Nafas Hota Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai.
المؤمن غر كريم والفاجر خب لئيم.(صحيح ابي داؤد:4790)
Tarjumah: Moamin Bhola Bhala Aur Shareef Hota Hai Aur Faajir Fasaadi Aur Kameenah Hota Hai.
Ham Kam Se Kam Baat Kare,Khood Ko Akhlaaq E Hasana Se Muzaiyyan Kare Aur Zabaan Ki Aafato Se Bache Ke Yahi Badi Se Badi Mushkilaat Laane Wali Hai Isi Liye To Rasool Ne Irshaad Farmaya:
من يضمن لي ما بين لحيية وما بين رجليه اضمن له الجنة.(صحيح البخاري:6474)
Tarjumah:Jo Shakhas Mujhe Apni Zabaan Aur Sharamgaah Ki Zamaant De To Me Uske Liye Jannat Ki Zamaanat Data Hu.
Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
من حسن اسلام المرء تركه ما لا يعنيه.(صحيح الترمذي:2317)
Tarjumah: Fuzool Bato Ko Chhod Dena,Aadmi Ke Islaam Ki Achchaai Ki Daleel Hai.
Un Tamam Dalaail Ka Khulaasa Yah Hai Me Aadmi Apne Aap Me Akhlaaq Aur Kirdaar Wala,Zaroorat Bhar Narmi Aur Aadab Se Baat Karne Wala,Zabaan Ka Sahih Istimaal Karne Wala Aur Hujjat Ke Waqt Khaamosh Hone Wala Ho Woh Gussa Ki Aafat Se Bach Jaae.
(3) Samaaj Me Kai Tabqe Hai,Un Me Jaahil Aur Naadaan Badi Kasrat Se Maujood Hai Un Ahmaqo Ka Kaam Shareef Logo Ko Chhedna Aur Unke Jazbaat Barangehta Kar Ke Fasaad Barpa Karna Hota Hai. Ayse Mauqo Par Ek Shareef Insaan Ka Shiaar Jaahilo Ki Jihaalat Aur Badtameezi Par Sabar Aur Khaamoshi Hai. Allaah Ka Farmaan Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
واذا خاطبهم الجاهلون قالوا سلاما.(الفرقان:63)
Tarjumah: Aur Jab Be Ilm Log Un Se Bate Karne Lagte Hai To Woh Keh Dete Hai Ke Salaam Hai.
Yaha Salaam Kehne Se Muraad Hai Jihaalat Par Khaamoshi Ikhtiyaar Karna Isi Soorat Me Aage Allaah Ka Irshaad Hai:
إذا مروا باللغوا مروا كراما.(الفرقان:72)
Tarjumah: Aur Jab Kisi Lagv Chiz Par Unka Guzar Hota Hai To Sharaafat Se Guzar Jate Hai.
Yaha Bhi Sharaafat Se Guzar Jaane Ka Matlab Hai Badkalaami Par Khaamoshi Ikhtiyaar Karna Aur Jo Bad Kalaami Par Khaamoshi Ikhtiyaar Kar Le Woh Fitnah Se Mehfooz Ho Jaae Ga. Rasool SAV Ka Farmaan Hai:
من صمت نجا.(صحيح الترمذي:2501)
Tarjumah:Jis Ne Khamoshi Ikhtiyaar Ki Us Ne Najaat Paa Li.
(4) Kabhi Ham Intiqaam Lene Me Haq Ba Jaanib Hote Hai Kuy Ke Ham Par Zulam Kiya Gaya Hota Hai Magar Intiqaam Mazeed Bigaad Aur Fasaad Aur Gaiz Aur Gazab Ka Paish E Khaima Hai Us Wajah Se Islaam Ne Maaf Karne Wale Ko Saraaha Hai. Allaah Taala Farmata Hai:
والذين يجتنبون كبائر الإثم والفواحش واذا ما غضبوا هم يغفرون.(الشورى:37)
Tarjumah: Woh Log Jo Bade Gunaaho Aur Be Hayaai Ke Kaamo Se Bachte Hai Aur Jab Gusse Me Aate Hai To Maaf Kar Dete Hai.
Nabi SAV Ne Farmaya:
مانقصت صدقة من مال وما زاد الله عبدا بعفو إلا عزا وما تواضع أحد لله إلا رفعه الله.(صحيح مسلم:2588)
Tarjumah:Sadaqah Maal Me Kami Nahi Karta Aur Bande Ke Maaf Kar Dene Se Allaah Uski Izzat Badha Deta Hai Aur Jo Aadmi Bhi Allaah Ke Liye Aajizi Ikhtiyaar Karta Hai Allaah Uska Darja Buland Farma Deta Hai.
(5) Gussa Ka Ek Bhayaanak Sabab Tashaddud Par Mabni Haalat Se Do Chaar Hona Ya Pur Tashaddud Aflaam Ka Mushahida Karna Ya Shiddat Wale Maahol Aur Dosti Istiwaar Karna Hai. Hame Ayse Shiddat Pasand Mahol Shiddat Pasand Dosat Aur Pur Tashaddud Manaazir Aur Aflaam Dekhne Se Baaz Rehna Chaahiye Warna Aysi Shiddat Aur Uska Radde Amal Gussa Ki Shakal Me Hamare Jisam Aur Rooh Me Saraayat Kare Ga.
(6) Shaitaan Hamari Rago Me Ghumta Rehta Hai Use Maloom Hai Ke Insaani Tabiat Me Gussa Maujood Hai Bas Usme Ishtiaal Paida Karna Hai Uske Baad Khood Hi Shaitaani Amal Zahoor Pazeer Hota Hai. Is Baat Ko Achchi Tarah Mehsoos Kare Aur Shaitaani Hamle Se Bachte Rahe. Uske Liye Namaazo Ki Pabandi,Azkaar Par Hameshgi Aur Khalwat Aur Jalwat Me Allaah Ka Khauf Paida Karna Hai.
(7) Allaah Se Be Khauf Hona,Ma'siyat Par Israar Karna Aur Deeni Ta'leemaat Ke Husool Aur Un Par Amal Karne Se Gurez Karna Bhi Insaani Tabiat Me Gussa Ko Bhadkaane Ka Kaam Kar Sakta Hai. Aadmi Jis Qadar Muttaqi Hoga Gunaaho Se Parhez Kare Ga Deen Ka Ilm Haasil Kare Ga Aur Use Amali Jama Pehnaae Ga Woh Allaah Ke Huqooq Ki Adaaegi Ke Sath Bando Ke Huqooq Bhi Achche Se Ada Kar Sake Ga Aur Kisi Ke Sath Ziyadti Nahi Kare Ga.
(8) Maujoodah Zamane Me Kisi Ke Khilaaf Baat Karna Bhi Gussa Ka Sabab Hai Had To Yah Hai Ke Haq Baat Bolne Par Bhi Gussa Kiya Jata Hai In Dono Kaamo Me Hiskmat Aur Baseerat Laazim Hai Yani Baat Karne Ke Saleeqah Aur Hikmat Chaahiye Aur Apne Khilaaf Haq Baat Sunne Par Bajaae Gussa Hone Ke Use Qabool Karna Chaahiye.
(9) Zehni Tanaao Aur Uljhan Ka Shikaar Hona Bhi Gussa Paida Karne Ka Sabab Hai. Aaj Ke Zamane Me Aksariyat Tention Ka Bojh Paal Rahi Hai Kisi Ko Daulat Ka To Kisi Ko Gurbat,Kisi Ko Tijaarat To Kisi Ko Siyaasat,Kisi Ko Gharelu To Kisi Ko Samaaji Tanaao Ne Tention Ki Lapet Me Le Rakha Hai. Iske Natijah Me Chhaar Daang Aalam Me Loot Maar,Ikhtilaaf Aur Intishaar,Qatal Aur Gaarat Giri,Fitnah Aur Fasaad Aur Zulam Aur Ta'ddi Urooj Par Hai Islaam Ne Hame Zindagi Guzaarne Ke Sunhere Usool Diye Hai Unhe Baratne Wala Har Tarah Ki Maayusi,Pareshaan Khiyaali Aur Fikar Aur Iztiraab Se Bacha Rahe Ga.
(10) Jaha Asbiyat Hogi Waha Gussa Bhi Apni Jagah Banaae Ga Aur Mauqah Ba-Mauqah Zaahir Ho Kar Bigaad Paida Karta Rahe Ga Aaj Ke Daur Me Fasaad Ki Badi Wajah Asbiyat Bhi Hai. Kahi Par Qaum Asbiyat Ne To Kahi Par Qabaaili Asbiyat Be Tabaahi Macha Rakhi Hai. Khandaani Asbiyat Ya Zabaani Asbiyat Ne Bhi Saaleh Samaaj Ka Khoon Kiya Hai. Musalmano Ke Darmiyan Maslaki Asbiyat Ne To Is Qaum Ko Kai Tukdo Me Baant Diya Aur Yah Qaum Apni Taaqat Aur Ittihaad Kho Kar Bhi Khoosh Hai. Islaam Ne Jise Apna Bhai Kaha Hai Asbiyat Ne Musalman Use Apna Dushman Samjhte Hai Aur Jise Dushman Kaha Gaya Hai Use Apna Dosat Bana Rahe Hai. Ay Kaash Hame Asbiyat Se Chutkara Mil Jaae To Samaaj Ki Behtari Ke Sath Sath Deeni Atibaar Se Bhi Hamari Taraqqi Hogi.
GUSSA KE WAQT FORAN TADBEER.
Upar Chand Asbaab Bayan Kiye Gae Hai Jo Gussa Lane Ka Sabab Bante Hai Agar Unse Bacha Jaae To Gussa Par Insaan Qaabu Paa Le Ga Aur Iske Bure Anjaam Se Zindagi Bhar Bachta Rahe Ga. Agar Khudanakhawasta Gussa Aa Jaae To Hame Fori Taur Par Kya Karna Chaahiye?
(1) Sab Se Pehle Shaitaan Se Allaah Ki Panaah Mangna Chahiye Kuy Ke Wahi Asal Muharrik Hai Jo Dil Me Waswasa Daal Kar Tabiyat Ke Andruni Hisse Se Gussa Ko Bahar Nikaal Diya Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
واما ينزغنك من الشيطان نزع فاستعذ بالله انه سميع عليم.(الاعراف:200)
Tarjumah:Agar Tumhe Shaitaan Ki Taraf Se Choka Lage(Yani Shaitaan Gusse Ko Mushtal Kar De)To Allaah Ki Panaah Maang Yaqeenan Wahi Sunne Wala,Janne Wala Hai.
Aur Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
إذا غضب الرجل فقال اعوذ بالله سكن غضبه.(صحيح الجامع:695)
Tarjumah:Jab Aadmi Ko Gussa Aae Aur Allaah Se Panaah Maang Le To Uska Gussa Thanda Ho Jaae Ga.
Bukhari Aur Muslim Me Do Shakhas Ke Gali Gulooj Ka Zikar Hai Unme Se Ek Ka Face Gusse Me Laal Ho Jata Hai Aur Rage Phool Jati Hai Aap SAV Ne Is Gusse Hone Wale Shakhas Ke Paas Aa Kar Farmaya:
اني لا علم كلمة لو قالها لذهب عنه اعوذ بالله من الشيطان الرجيم.(صحيح البخاري:3282, صحيح مسلم:2610)
Tarjumah: Me Ek Kalma Janta Hu Ke Agar Yah Use Keh Le To Uski Yah Kefiyat Door Ho Jaae Woh Kalmah Hai. Auzo Billaahi Minash Shaitaanir Rajeem. Me Shaitaan Mardood Se Allaah Ki Panaah Chahta Hu.
(2) Uske Baad Foran Zabaan Par Khaamoshi Ikhtiyaar Kar Leni Chaahiye Kuy Ke Jis Qadar Zabaan Khole Ga Galat Alfaaz Nikle Ge Aur Gussa Me Izaafa Hota Chala Jaae Ga. Isi Liye Nabi SAV Ne Farmaya:
إذا غضب أحدكم فليسكت.(صحيح الجامع:693)
Tarjumah: Jab Tum Me Se Kisi Ko Gussa Aae To Use Khaamoshi Ikhtiyaar Karna Chaahiye.
(3) Apni Haalat Tabdeel Kar Lena Chaahiye Yani Khade Ho To Beth Jaae Aur Bethe Ho Ya Bethne Se Gussa Door Na Ho To Let Jaae. Nabi SAV Farmaate Hai:
إذا غضب أحدكم وهو قائم فليجلس فإن ذهب عنه الغضب وإلا فليضطجع.(صحيح ابي داؤد:4782)
Tarjumah:Jab Tum Me Se Kisi Ko Gussa Aae Aur Woh Khada Ho To Chahiye Ke Beth Jaae Ab Agar Uska Gussa Door Ho Jaae To Behtar Hai Warna Fir Let Jaae.
(4) Gussa Ke Waqt Kuch Hadees Me Wazu Karna Aur Kuch Hadees Me Gusal Karna Aaya Hai Un Dono Qisam Ki Ahaadees Ko Shaikh Albani RH Ne Zaeef Kaha Hai,Is Liye Gussa Ke Waqt Wazu Ya Gusal Karne Ko Nabi SAV Ki Taraf Mansoob Nahi Kiya Jaae Ga Taaham Ahle Ilm Ne Likha Hai Ke Gussa Ke Waqt Thanda Paani Ka Istimaal Mufeed Hai Is Liye Gussa Ke Waqt Paani Pi Liya Jaae Ya Haath Munh Dhul Liya Jaae To Behtar Hi Hoga.
GUSSA ROKNE WALE ASBAAB:
Gussa Aur Narmi Dono Awsaaf Har Insaani Fitrat Me Maujood Hai Koi Gussa Ziyadah Karta Hai Aur Narmi Ka Daaman Chhod Deta Hai Aur Koi Naram Mizaaji Apnata Hai Aur Gussa Kam Rakhta Hai Goya Ek Insaan Apni Fitrat Ko Badal Nahi Sakta Magar Gussa Ko Kam Zaroor Kar Sakta Hai. Pehle Bayan Kiya Ja Chuka Hai Ke Jab Gussa Aa Jaae To Uska Foran Ilaaj Kya Hai? Ab Yaha Batana Chahta Hu Ke Aap Gussa Ko Hamesha Control Me Kaise Rakh Sakte Hai?
Sab Se Pehle No Par Un Tamam Asbaab Se Bachna Hai Jo Gussa Bhadkaane Aur Gussa Me Ziyadti Paida Karne Wale Hai. Pehle Gussa Dilane Wale Asbaab Zikar Kiye Ja Chuke Hai. Unme Takbbur,Bure Akhlaaq,Logo Ki Jahalat Aur Naadaani,Be Sabri,Badla Lene Ka Jazba,Tashaddud Par Mabni Film Dekhna,Shaitaani Amal,Zehni Tanaao,Asbiyat Wagairah Hai.
Isi Tarah Tabiat Me Narmi Paida Karna,Ibaadat Par Ijtihaad Karna,Ziyadah Roza Rakhna,Zabaan Ko Zikre Ilaahi Se Tar Rakhna,Fuzool Baato Se Bachna Balke Khaamoshi Ki Sifat Ikhtiyaar Karna,Sadqah Aur Khairaat Karna,Faqeer Aur Miskeen Ke Sath Husne Sulook Karna,Gunaah E Kabirah Aur Fahash Kaamo Se Bachna Gussa Kam Karne Me Madad Gaar Hai:
Allaah Ka Farmaan Hai:
والذين يجتنبون كبائر الإثم والفواحش واذا ماغضبوا هم يغفرون.(الشورى:37)
Tarjumah: Aur Bade Gunaaho Se Aur Be Hayaaiyo Se Bachte Hai Aur Gusse Ke Waqt (Bhi)Maaf Kar Dete Hai.
Is Aayat Me Bade Gunaaho Se Bachne Aur Fahash Kaam Se Rukne Ka Zikar Kar Ke Allaah Ne Moamin Ki Ek Sifat Yah Bhi Bayan Ki Ke Woh Gussa Ke Waqt Maaf Kar Dete Hai. Aur Ek Baat Yah Bhi Maloom Hui Ke Allaah Ne Hame Gussa Ka Badla Lene Ki Taaqat Di Hai Magar Maaf Karne Wala Allaah Ke Nazdeek Behtar Insaan Hai Ek Dusre Maqaam Par Allaah Ne Kharch Karne Wale,Gussa Rokne Wale Aur Logo Ko Maaf Karne Wale Ki Taareef Ki Hai.
Farmaan E Ilaahi Hai:
الذين ينفقون في السراء والضراء والكاظمين الغيظ والعافين عن الناس والله يحب المحسنين.( آل عمران: 134)
Tarjumah: Jo Log Aasaani Me Aur Sakhti Ke Mauqah Par Bhi Allaah Ke Raste Me Kharch Karte Hai Gussa Pine Wale Aur Logo Se Dar Guzar Karne Wale Hai Allaah Un Nek Kaaro Se Muhabbat Karta Hai.
Is Aayat Se Yah Bhi Maloom Hua Ke Gussa Rok Sakte Hai Yah Koi Aysi Sifat Nahi Hai Jis Par Bando Ka Ikhtiyaar Na Ho Agar Gussa Par Qaabu Nahi Paya Ja Sakta To Fir Har Kamzor Apne Se Taqatwar Se Badla Le Leta Us Tarah Duniya Me Koi Zulam Nahi Karta Magar Zaalim Se Kamzoro Ka Badla Na Lena Is Baat Ki Daleel Hai Me Kamzor Ne Apne Gussa Par Qaabu Rakh Liya Taaki Kahi Woh Zaalim Se Mazeed Zulam Ke Shikaar Na Ho Jaae. Qudrat Rakhte Hue Maaf Kar Dene Wala Jannat Me Pasand Hoor Muntakhab Karne Ka Ikhtiyaar Diya Jaae Ga. Nabi SAV Farmaate Hai:
من كظم غيظا وهو يستطيع أن ينفذه دعاه الله يوم القيامة على رءوس الخلائق حتى يخيره في أي الحور شاء.(صحيح الترمذي:2021)
Tarjumah:Jo Shakhas Gussa Zabt Kar Le Halanki Woh Use Kar Guzarne Ki Istitaat Rakhta Ho To Qayamat Ke Din Allaah Use Logo Ke Samne Bulaae Ga Aur Use Ikhtiyaar De Ga Ke Who Jis Hoor Ko Chaahe Pasand Kar Le.
Gussa Ikhtiyaari Mamla Hai Koi Gusse Me Kisi Ka Qatal Kar De To Duniya Ki Adalat Bhi Uski Saza Maaf Nahi Kare Gi Aur Allaah Ke Yaha Saza To Hogi Hi. Ek Insaan Jab Us Haisiyat Se Ke Gussa Ka Anjaam Bura Hai Is Par Allaah Ke Yaha Pakad Hogi Soche Ga To Uska Gussa Naram Hoga Aur Gusse Me Bhi Ma'siyat Ka Koi Kaam Karne Se Bache Ga. Nabi SAV Ne Gussa Ke Waqt Haq Baat Bolne Ki Allaah Se Dua Mangi Hai. Farmaan E Rasool SAV Hai:
اسألك كلمة الحق في الرضا والغضب.(صحيح النسائى:1304)
Tarjumah:Ay Allaah Me Tujh Se Khushi Aur Gussa Dono Halato Me Kalmah E Haq Kehne Ki Taufeeq Mangta Hu.
Isi Tarah Rasool SAV Khawaab Me Darne Par Yah Kalmaat Kehne Ko Sikhlaate The:
اعوذ بكلمات الله التامة من غضبه وشر عباده ومن همزات الشياطين وان يحضرون.(صحيح ابي داؤد:3893)
Tarjumah:Me Panaah Mangta Hu Allaah Ke Pure Kalmo Ki Uske Gussa Se Aur Uske Bando Ke Shar Se Aur Shaiyaateen Ke Waswaso Se Aur Unke Mere Paas Aane Se.
ALLAAH AUR USKE RASOOL KA GUSSA:
Gussa Hona Allaah Aur Uske Rasool Ki Bhi Sifat Hai Is Liye Har Qisam Ka Gussa Ma'yub Nahi Hai Balke Kuch Jagho Pat Darmiyani Ke Sath Gussa Ka Mustahsan Kaam Hai. Allaah Ke Gussa Ke Mutalliq Rasool SAV Irshaad Farmaate Hai:
لما قضى الله الخلق كتب في كتابه فهو عنده فوق العرش ان رحمتي غلبت غضبي.(صحيح البخاري:3194)
Tarjumah:Jab Allaah Makhlooq Ko Paida Kar Chuka To Apni Kitaab(Lauh E Mehfooz)Me Jo Uske Paas Arsh Par Maujood Hai Usme Likha Ke Meri Rehmat Mere Gussa Par Gaalib Hai.
Allaah Apne Bando Par Ayse Hi Naaraaz Nahi Hota Balke Allaah Ke Ahkaam Ki Nafarmaani Hoti Hai To Allaah Gussa Hota Hai Aur Bando Ko Saza Det Hai Kabhi Duniya Me Deta Hai Aur Kabhi Aakhirat Me De Ga Aur Kabhi Duniya Aur Aakhirat Dono Jagah Saza Deta Hai.
Allaah Ke Gusse Se Mutalliq Quraan Ki Chand Aayat Mulahiza Kare.
Allaah Ka Farmaan Hai:
وضربت عليهم الذلة والمسكنة وباءوا بغضب من الله ذلك بأنهم كانوا يكفرون بآيات الله ويقتلون النبيين بغير الحق ذلك بما عصوا وكانوا يعتدون.(البقرة:61)
Tarjumah:Un Par Zillat Aur Maskini Daal Di Gai Aur ALLAAH Ka Gazab Le Kar Woh Laute Yah Isliye Ke Woh Allaah Ki Aayato Ke Sath Kufar Karte The Aur Nabiyo Ko NA Haq Qatal Karte The Yah Unki Nafarmaaniyo Aur Ziyadatiyo Ka Natijah Hai.
Allaah Farmaan Hai:
ومن يقتل مؤمنا متعمدا فجزاؤه جهنم خالدا فيها وغضب الله عليه ولعنه واعدا له عذابا عظيما.(النساء:93)
Tarjumah: Aur Jo Koi Kisi Moamin Ko Jaan Bujh Kar Qatal Kar Daale Uski Saza Dozakh Hai Jis Me Woh Hamesha Rahe Ga Us Par Allaah Ka Gazab Hai Use Allaah Ne Lanat Ki Hai Aur Uske Liye Bada Azaab Taiyyar Kar Rakha Hai.
ALLAAH KA FARMAAN HAI:
كلوا من طيبات ما رزقناكم ولا تطغوا فيه فيحل عليكم غضبي ومن يحلل عليه غضبي فقد هوى.(طه:81)
Tarjumah:Tum Hamari Di Hui Paakizah Rozi Khaao Aur Usme Had Se Aage Na Badho Warna Tum Par Mera Gazab Naazil Ho Jaae Woh Yaqeenan Tabaah Hua.
Is Qisam Ki Kai Aayat Hai Lambi Post Ki Wajah Se Sirf Nazar Karta Hu. Yaad Rakhe Allaah Ka Gussa Dozakh Me Le Jane Ka Sabab Hai. Nabi SAV Irshaad Farmaate Hai:
ان العبد ليتكلم بالكلمة من رضوان الله لا يلقي لها بالا يرفعه الله بها درجات وان العبد ليتكلم بالكلمة من سخط الله لا يلقي لها بالا يهوي بها في جهنم.(صحيح البخاري:6478)
Tarjumah: Banda Allaah Ki Raza Mandi Ke Liye Ek Baat Zabaan Se Nikalta Hai Use Woh Koi Ahmiyat Nahi Deta Magar Usi Ki Wajah Se Allaah Uske Darje Buland Kar Deta Hai Aur Ek DUSRA Banda Ek Aysa Kalmah Zabaan Se Nikaalta Hai Jo Allaah Ki Naaraazgi(Gussa)Ka Baais Hota Hai Use Woh Koi Ahmiyat Nahi Deta Lekin Uski Wajah Se Woh Jahnnam Me Chala Jata Hai.
Allaah Ke Gaiz Aur Gazab Se Bachne Ke Liye Bandah Uski Naafarmaani Se Bachta Rahe Aur Sadqah Ko Khaas Laazim Kar Le Ke Yah Allaah Ka Gussa Bujha Deta Hai. Nabi SAV Farmaate Hai:
ان الصدقة تطفئ غضب الرب وتدفع ميتة السوء.(الترمذي:667)
Tarjumah:Sadqah Rab Ke Gusse Ko Bujha Deta Hai Aur Buri Maut Se Bachata Hai.
Yah Hadees Sanadan Zaeef Hai Magar Uske Pehle Hisse Ko Shaikh Albaani RH Ne Kasrat E Shawaahid Ki Buniyaad Par Qavi Kaha Hai.(Tamamul Minah:390)
Nabi SAV Bhi Gussa Hote The Waaz Aur Nasihat Ke Waqt Gussa Hote Kisi Ko Jhagadte Dekhte To Gusse Hote Kisi Ke Bare Me Galat Sunte Ya Kisi Ko Galati Karte Dekhte To Gazabnaak Ho Jaate Is Silsile Me Ahaadees Me Be Shumaar Waqiaat Maujood Hai Jin Sabab Ka Zikar Is Chote Mazmoon Me Mumkin Nahi Hai. Taaham Chand Misaale Aap Ke Samne Paish Kar Deta Hu.
(1) Aaisha RA Bayaan Karti Hai Rasool SAV Ghar Me Daakhil Hue Ghar Me Ek Pardah Latka Hua Tha Jis Par Picture The Uski Wajah Se Nabi SAV Ke Face Ka Rang Badal Gaya.(Bukhari Sharif:6109)
(2) Ek Shakhas Ne Rasool SAV Se Kaha Ke Ya Rasoolullaah SAV Me Fajr no Namaaz Me Taakhir Kar Ke Is Liye Shareek Hota Hu Ke Fala Sahab Fajr Ki Namaaz Bahut Lambi Kar Dete Hai Ibne Masood RA Ke Alfaaz Hai:
فما رأيت رسول الله صلى الله عليه وسلم قط أشد غضبا في موعظة منه يومئذ.(صحيح البخاري:6110)
Tarjumah: Is Par Aap SAV Is Qadar Gussa Hue Ke Me Ne Nasihat Ke Waqt Us Din Se Ziyadah Gazab Naak Aap SAV Ko Kabhi Nahi Dekha.
(3) Nabi Kareem SAV Ne Mujhe Reshmi Dhaariyo Wala Ek Joda Hilla Inaayat Farmaya Me Use Pahan Kar Nikla To Me Ne Nabi SAV Ke Face Par Gusse Ke Aasaar Dekhe Chunacha Mene Iske Tukde Tukde Kar Ke Apni Azeez Aurto Me Bant Diye.(Bukhari Sharif:5840)
(4) Abu Hurairah RA Bayaan Farmaate Hai:
خرج علينا رسول الله صلى الله عليه وسلم ونحن نتنازع في القدر فغضب حتي احمر وجهه حتى كأنما فقئ في وجنتيه الرمان.(صحيح الترمذي:2133)
Tarjumah:Nabi SAV Hamari Taraf Nikle Is Waqt Ham Sab Taqdeer Ke Maslae Me Bahas Aur Mubahisa Kar Rahe The Aap Gussa Ho Gae Yaha Tak Ke Aap Ka Face Laal Ho Gaya Aur Aysa Nazar Aane Laga Goya Aap Ke Gaalo Par Anaar Ke Daane Nichod Diye Gae Ho.
MAMN'U AUR MATLOOB GUSSA:
Har Woh Gussa Mamn'u Hai Jise Allaah Aur Uske Rasool Napasand Kare. Is Baat Ko Dusre Lafzo Me Ayse Bhi Keh Sakte Hai Ke Allaah Aur Uske Rasool Ki Mukhalifat Me Gussa Wala Koi Bhi Kaam Karna Mamn'u Hai Maslan Kisi Par Bagair Galati Gussa Hona,Haq Baat Bolne Wale Par Gussa Hona Nahaq Par Hote Hue Bhi Gussa Karna,Intiqaam Ki Aag Me Jalna,Kamzoro Ko Dabane Ke Liye Gusse Ka Izhaar Karna,Gusse Ke Waqt Faisla Karna,Zabardasti Dhons Jama Kar Dusro Ka Haq Chinna,Taaqat Aur Maal Ke Za'am Me Takbbur Karna Ahad Aur Manasib Ka Na Jaaiz Faidah Uthana,Maatihato Par Roab Jamana Wagairah. Bila Wajah Gussa Wala Kaam To Man'a Hai Hi. Ma'siyat Ka Koi Bhi Kaam Bhi Allaah Ke Gusse Ka Sabab Hai. Ham Se Matloob Hai Ke Munkar Ke Mitaane Me Had Atidaal Me Rehte Hue Gussa Ka Izhaar Kare Jaisa Ke Rasool SAV Ne Bachcho Ko Namaaz Ke Chhodna Par Maarne Ka Hukam Diya Hai,Sarkashi Par Biwi Ko Halaki Maar Maarne Ka Zikar Hai,Buraai Dekhne Par Pehle Haath Se Mitaane Ka Hukam Hua Hai,Un Sare Kaam Me Gussa Ka Ansur Shaamil Hai. Is Wajah Se Hame Haq Hai Ke Allaah Aur Uske Rasool SAV Ki Nafarmaani Par Gussa Ka Izhaar Kare Aur Gussa Bhi Is Qadar Na Ho Ke Faidah Ki Bajaae Ulta Nuqsaan Ho Jaae Aur Gussa Zaahir Me Munasib Waqt Aur Hikmat Aur Daanaai Bhi Zaroori Hai Baat Baat Par Gussa Be Mahal Gussa,Had E Atidaal Se Badha Hua Gussa Tabaahi Ka Sabab Hai Is Se Bachna Zaroori Hai Matloob Gussa Me Meyaar Yah Farmaan E Rasool SAV Hai:
ما انتقم رسول الله صلى الله عليه وسلم لنفسه في شيء قط إلا أن تنتهك حرمة الله فينتقم بها لله.(صحيح البخاري:6126)
Tarjumah: Nabi SAV Ne Apni Zaat Ke Liye Kisi Se Badla Nahi Liya Albatta Agar Koi Shakhas Allaah Ki Hurmat Aur Had Todta To Aap Us Se Sirf Allaah Ki Raza Mandi Ke Liye Badlah Lete.
 

Similar threads


Top