GULE MANJAN AUR RAMAZAANUL MUBARAK KA ROZAH


GULE MANJAN AUR RAMAZAANUL MUBARAK KA ROZAH
Tahreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Islamic Dawah Center Taif, KSA
Romanised: Khadija Muhammadi

Gul Ka Istimaal Bahut Se Log Manjan Ke Taur Par Karte Hai Aur Chunki Is Me Nasha Paya Jata He Is Wajah Se Logo Me Is Baat Ke Mutalliq Tashweesh Paai Jati He Ke Kahi Yah Mufsid E Saum To Nahi Chunancha Mutaddid Mutarefeen Aur Gair Mutarefeen Ne Mujh Se Is Baabat Raabta Kiya Usi Ka Jawaab Mene Mukhtasar Taur Par Yaha Dene Ki Koshish Ki He Pehle Is Ke Ke Gule Manjan Ka Roze Par Asar Aur Uska Hukam Jaante Hai Pehle Is Baat Ki Tehqeeq Zaroori He Ke Gule Manjan Kiya Hai?

GUL E MANJAN KIYA HE?
Gul Tobacco Se Taiyyar Kiya Hua Ek Qisam Ka Nasheela Mawaad He Aur Usme Taklif Dene Wale Kimiyaai Mawaad Niyokteen Ki Bhi Milaawat Hoti He Is Wajah Se Iska Wahi Nuqsaan He Jo Surti,Ghatka Aur Cigarette Wagairah Ka He. TIBBI Report Ke Mutaabiq Mausi Gul Me 0.14% Nikoteen Mila Hota He Jo Bimaari Hi Nahi Maut Ka Sabab Banne Wala He Goya Ham Yah Samjhege Aur Baja Taur Par Keh Bhi Sakte Hai Ke Agar Cigarette Dhuwe Wala Tobacco He To Gule Manjan Bagair Dhunwe Wala Tobacco.
Mene Internet Par Gul Ki Qisam Ka Pata Lagaya He To Mukhtalif Qisam Ki Companya Mile Maslan Chaandtara Gul,Mosi Ka Gul, Noor Ka Gul,S S Gul,Taigi Gul Sulemaan Gul,Shakoorllah Gul,Wagairah. Un Tamaam Company Ke Dabbe Par Hindi Me Likha He Ke Tobacco Se Cancer Hota He Sath Hi Is Hindi Jumle Ka English Tarjumah Bhi Darj Hai.(Tobacco Causes Cancer)
Ham Jaante Hai Masnuaat Taiyyar Karne Ki Koi Company Apni Masnuaat Ki Buraai Bayaan Nahi Karti He Balke Woh To Paise De Kar Jhuthi Tareef Karwati He Lekin Gule Manjan Dibbe Par Yah Likha Hua Hona Ke Tobacco Se Cancer Hota He Majburi Me Likha Gaya He Aur Haqeeqat Par Mabni He. Is Jumle Se Ek Haqeeqat To Yah Maloom Hoti He Ke Gule Manjan Bhi Tobacco Ki Hi Ek Qisam He Dusri Baat Yah Maloom Hui Ke Gule Manjan Nasha Paida Karne Wala He,Teesra Baat Yah Maloom Hui Ke Gule Manjan Ka Istimaal Jani Nuqsaan Ka Bais He.
Hairaani Ki Baat He Ke Is Gul Ka Istimaal Chhoti Umar Se Le Kar Badi Umar Tak Ke Log Karte Hai Aurte Me Bhi Is Ka Istimaal Aam He Un Sab Se Ziyadah Hairaani Ki Baat Yah He Ke Gule Manjan Taiyyar Karne Wale Aksar Musalmaan Nazar Aate Hai Isi Liye In Manjano Ka Naam Bhi Musalmani Hota He. Un Tamaam Hairaaniyo Me Ek Afsosnaak Pehlu Ulma Ka Gule Manjan Karna He. Jab Me Is Masala Me Mukhtalif Masaalik Ke Fiqhi Nazariyaat Ka Mutali'a Kar Raha Tha To Ek Aur Chonkane Wali Baat Maloom Hui Jis Ka Talluq Barelwi Maktab E Fikar Ke Fiqhi Seminaar Se He Woh Yah He Ke Agar Kisi Ko Gul Ka Istimaal Kiye Bagair Pakhana Nahi Hota To Us Uzar Ki Wajah Se Uske Liye Hukam Me Is Qadr Takhfeef Hogi Ke Woh Gul Pehle Hatheli Wagairah Par Nikaal Kar Pani Se Bhigo De Fir Use Ahtiyaat Ke Sath Danto Par Male Aur Jald Hi Kulli Kar Ke Achchi Tarah Apna Munh Saaf Kar Le(Fatawah Markaz Tarbiyat Ifta Jild 1 Page No:470,Matbua Faqiha Millat Ecedemy Ojha Ganj Basti)
Is Fatwah Se Ek Baat Yah Saamne Aai Ke Gul Ka Istimaal Karne Wale Isme Maujood Nasha Se Barh Kar Junoon Ki Had Tak Istimaal Karte Hai Ke Is Ke Bagair Qazaae Haajat Nahi Hoti Dusri Baat Yah Saamne Aai Ke Musalmano Me Kuch Tabqaat Ayse Bhi Hai Jo Banane Bana Kar Haraam Chiz Ko Bhi Halaal Kar Lete Hai Kiya Kisi Ko Sharaab Piye Bathroom Na Lage Ya Nind Na Aae To Uske Liye Sharaab Halaal Ho Jaae Gi? Hargiz Nahi.

GUL E MANJAN KE ISTIMAAL KI HURMAT:
Gul Ka Talluq Manshiyaat Se He Aur Manshiyaat Har Qisam Ke Nasha Aawar Chizo Ke Liye Istimaal Hota He Jis Ke Liye Arbi Zabaan Me "Khamar" Ka Lafz Aam Taur Se Istimaal Kiya Jata He. Umar Farooq RA Ne Khamar Ki Wazaahat Is Alfaaz Me Ki He:
الخمر ما خامر العقل(صحيح البخاري:٥٥٨١،صحيح مسلم: ٣٠٣٢)
Yani Khamar Ka Itlaaq Har Nasha Aawar Chiz Par Hota He Iski Taeed Muslim Sharif Ki Ek Aur Rivayat Se Hoti He.
کل مسکر خمر وکل خمر حرام۔(صحیح مسلم:2003)
Tarjumah:- Har Nasha Aawar Chiz Khamar Kehlaati Hai Aur Har Qisam Ka Khamar Haraam Kar Diya Gaya He.
Yaha Yah Atiraaz Paida Karna He Jo Hoga Ke Gar Kam Miqdaar Me Nasha Wali Ashya Istimaal Karne Se Nasha Na Paida Hone Par Itni Miqdaar Pina Jaiz Thehare Ga. Is Atiraaz Ki Gunjaish Is Taur Nahi He Ke Nasha Ke Silsile Me Islaam Ka Dusra Usool Yah He.
ما اسکر كثيرة فقليله حرام.(صحيح الترمذي:١٨٦٥)
Tarjumah:- Jis Ka Ziyadah Hissa Nasha Aawar Aur Muftir Ho Uska Kam Miqdaar Me Bhi Istimaal Karna Haraam He.
Mazkoorah Tareef Ko Usool Banane Se Manshiyaat Ke Zumre Me Sharaab,Tobacco, Bidi,Surti,Gheeni, Cigarette,Gul,Ghatka,Gaanja,Bhang,Charas,Kokain,Huqqa,Afeem,Heroine,Vicky,Beer,Seempeen,L S D,Hasheesh Aur Mukhdaarat Ki Tamaam Ashya Shaamil Hai.
Ek Taraf Hame Yah Maloom Hota He Ke Gul Nasheeli Chiz He Aur Nasheeli Chize Jaanlewa Hoti Hai Jaisa Ke Gule Manjan Ke Dibbe Par Cancer Hone Ka Sabab Likha He Dusri Taraf Islaam Ne Hifzaane Sahat Ka Bahut Behtareen Nizaam Paish Kiya He Is Ki Roshni Me Jism Ko Nuqsaan Pohnchane Wali Tamaam Chize Mana Hai: Allah Ka Farmaan He:
لا تلقوا بأيديكم الى التهلكة. (البقرة:١٩٥)
Tarjumah:- Apne Aap Ko Halaakat Me Mat Daalo. Is Wajah Se Gul Manjan Ka Istimaal Islaam Ki Ru Se Haraam He.

GUL E MANJAN DAANTO KI DAWA NAHI BIMAARI HE.
Gul Ka Istimaal Karne Wale Use Manjan Samjh Kar Istimaal Karte Aur Danto Ki Safaai Ka Samaan Khayaal Karte Hai Ayse Logo Ko Yah Hadees Sunana Chahta Hu Ke.
Ek Sahaabi Taariq Bin Suwaid Aljufi RA Ne Sharaab Ko Bataur E Dawa Istimaal Karne Ke Liye Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Se Ijaazat Talab Ki To Aap Ne Unse Farmaya:
أنه ليس بدواء ولكنه داء.(صحيح مسلم: ١٩٨٤)
Tarjumah: Ke Sharaab Dawa To Nahi He Magar Bimaari Zaroor He. Yani Yah Bimaari Ka Sabab Banti He. Is Hadees Se Maloom Hota He Ke Nasha Aawar Chizo Me Faida Nahi Nuqsaan He Lihaza Jo Gul Ko Daanto Ki Safaai Ka Zariya Samjhte Hai Unhe Samjh Lena Chaahiye Ke Aap Apne Jism Me Bimaari Daakhil Kar Rahe Hai Jo Rafta Rafta Aap Ke Wajood Ko Khatam Kar Degi. Aap Se Guzaarish Hai Ke Danto Ki Safaai Ke Liye Gule Manjan Ke Bajaae Miswaak Istimaal Kare Jo Na Sirf Munh Ki Safaai Ka Sabab He Balke Us Se Rab Ki Raza Bhi Haasil Hoti He. Sahih Bukhari Me Aaisha RA Farmati Hai Ke Aap Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
السواك مطهرة للفم مرضاة للرب.
Tarjumah: Ke Miswaak Se Munh Saaf Hota He Aur Allah Ki Razamandi Haasil Hoti He.
Daanto Ki Safaai Ke Liye Miswaak Hi Zaroori Nahi He Koi Bhi Manjan Istimaal Kar Sakte Hai Lekin Haraam Chiz Ko Daanto Ki Safaai Ka Zariya Nahi Bana Sakte.

GULE MANJAN KA ROZE PAR ASAR:
Chunki Log Gul Ka Istimaal Manjan Ki Shakal Me Kar Rahe Hai Is Liye Aksar Yah Sawaal Pucha Ja Raha He Ke Kiya Roza Ki Haalat Me Gulemanjan Karne Se Roza Toot Jata He? Is Silsile Me Barelvi Maslak Ke Yaha Gule Manjan Ko Mufsid E Saum Likha Paya Ho Aur Daarul Uloom Devband Ka Fatwa He Ke Gul Ya Manjan Karne Se Rozah Tootta Nahi He,Makrooh Hota He Albatta Agar Gul Manjan Karne Se Gul Ya Manjan Ke Zarrat Halaq Me Chale Gae To Rozah Bilashuba Toot Jaae Ga. (DARUL IFTA DEVBANDI, JAWAAB 60211)
Me Jab Gule Manjan Ko Rozah Aur Ramazaan Se Jorh Kar Dekhta Hu To Mujhe Lagta He Ke Sawaal Yah Nahi Hona Chaahiye Ke Gule Manjan Se Rozah Tootta He Ya Nahi Tootta Balke Asal Sawaal Yah Hona Chaahiye Ke Roza Ki Haalat Me Ya Ramazaanul Mubarak Me Gulemanjan Ka Istimaal Kaisa He? Is Sawaal Par Mera Jawaab Yah Hoga Ke Gulemanjan K Istimaal Aam Dino Me HARAAM He Aur Rozah Ya Ramazaanul Mubarak Me Iski Hurmat Me Ziyadati Paida Ho Jati He Kuy Ke Ramazaanul Mubarak Me Jis Tarah Nekiyo Ka Ajar Kai Gunaah Barh Jata He Usi Tarah Buraaiyo Ka Gunaah Me Ziyadah Ho Jata He.
Jaha Tak Gul E Manjan Se Rozah Toottne Ya Na Tootne Ka Masala He Is Silsile Me Mera Maanna He Ke Gulemanjan Zarrat Ka Majmua He Usko Munh Me Lene Se Halaq Se Niche Utarne Ka Khadsha He Taham Munh Ki Achchi Safaai Ki Gai Ho To Gule Manjan Ko Muftir Nahi Mana Jaae Ga Kuy Ke Mehlool Aur Reshe To Miswaak Me Bhi Paae Jate Hai Balke Rutab Miswaak Me Mehlool Ke Sath Zaiqa Bhi Tez Hota He Iske Bawajood Ham Khushak Aur Rutab Dono Qisam Ki Miswaak Rozah Ki Haalat Me Istimaal Kar Sakte Hai. Khulasa Yah He Ke Gule Manjan Se Rozah Nahi Tootta Bashart Yah Ke Munh Ki Achchi Safaai Ki Gai Ho Taaham Us Se Ziyadah Aham Sawaal Yahi He Ke Kiya Ek Musalmaan Rozah Rakhte Hue Gulemanjan Ka Istimaal Kar Sakta Hai Jis Ke Bare Me Koi Shak Nahi He Ke Yah Haraam Bhi He Aur Jaan Lewa Bhi?
Isko Misaal Se Yah Samjhe Ke Rozah Ki Haalat Me Fahash Films Dekh Lene Se Roza Na Tootta Magar Yaha Bhi Wahi Sawaal Paida Hota He Ke Kiya Musalmaan Rozah Ki Haalat Me Gandi Films Dekh Sakta He? Bilkul Nahi. Ramazaan Ke Alawah Dusre Mahino Me Bhi Aysi Chize Dekhna Haraam He To Rozah Ki Haalat Me Dekhna Badarja Ula Haraam Hoga Yahi Haal Rozah Ki Haalat Me Gulemanjan Ke Istimaal Ka He.

GULE MANJAN SE MUTALLIQ CHAND BAATO KI WAZAAHAT:
GULE MANJAN Se Mutalliq Mazmoon Ki Ishaat Ke Baad Kuch Bhaiyo Ne Mukhtalif Jagho Par Atiraaz Kiya Tha Aur Kuch Shubhaat Ka Izhaar Kiya Tha Is Liye Mene Un Atiraaz Ko Saamne Rakhte Hue Chand Nukaat Ke Zariya Apni Baat Waazeh Kar Raha Hu.

Sab Se Pehle Baat To Yah He Ke Mene Apne Mazmoon Me Gul Ke Istimaal Ko Rozah Aur Gair Rozah Dono Surto Me Haraam Saabit Kiya He Jaisa Ke Aap Ne Parh Kar Andazah Lagaya He Aur Hamesha Ke Liye Is Se Bachne Ki Nasihat Ki He Is Liye Mufsid Saum Na Hone Ka Matlab Yah Nahi He Ke Rozah KI Haalat Me Use Istimaal Kiya Jaae. Yah Thik Usi Tarah He Ke Koi Aalim Kahe Film Dekhne Se Rozah Nahi Tootta Uska Matlab Bhi Wahi He Ke Film Bini Haraam He Aur Rozah Me Haraam Kamo Se Bachna Chaahiye.

Dusri Baat Yah He Ke Gule Manjan Ko Daanto Ke Liye Bimaari Bataya He Na Ke Safaai Ka Zariya,Sath Sath Muskar Hone Ke Sabab Uska Istimaal Haraam Bhi He Fir Woh Kaisa Musalmaan Hoga Jo Rozah Bhi Rakhe Aur Haraam Kaam Ka Irtikaab Bhi Kare? Is Baat Ki Jaankaari Ke Sath Rozah Ki Haalat Me Har Qisam Ke Haraam Ka Irtikaab Karne Se Rozah Faasid Nahi Hota Siwaae Uske Jo Shariat Me Mansoos Ho Maslan Rozah Ki Haalat Me Koi Jhuth Bole,Geebat Kare, Ya Fahash Film Dekh Le Yah Sab Haraam Kaam Hai Magar Un Kaamo Ki Wajah Se Rozah Faasid Nahi Hoga Taaham Gunaah E Kabirah Hone Ke Sabab Taubah Karna Parhe Ga.

Teesri Baat Yah He Ke Yaha Ek Bara Aham Sawaal Yah He Ke Agar Kisi Ne Haalat E Rozah Gul Se Manjan Kar Liya To Kiya Uska Rozah Toot Jaae Ga Aur Jinhone Yah Amal Kai Roze Me Anjaam Diya He Unhe Apne Guzishta Rozo Ki Qaza Karne Ki Zaroorat He?
Zaahir Si Baat He Koi Bhi Aalim Yah Nahi Kahe Ga Ke Pichle Ahwaal Me Haalat E Rozah Gul Manjan Karne Wala Apne Rozo Ki Qaza Kare Ga Ha Yah Amal Haraam Ke Zumre Me He Is Liye Aaindah Ke Taubah Karna Parhe Ga.

Chhoti Baat Yah He Ke Gul Bilashuba Tobacco Ki Ek Qisam He Aur Muskar Bhi He Aur Us Bare Me 2 Bate Aham Hai Pehli Zarrat Munh Me Jane Wali Aur Dusri Muskar Hone Wali. To Munh Ki Achchi Safaai Par Muftar Ka Hukam Nahi Laga Sakte Che Jaae Ke Muskar Ho Kuy Ke Mehaz Muskar Hone Se Rozah Ka Dusre Masaail Par Bhi Atiraaz Waarid Hoga Maslan Behoshi Me Rozah Ya Ilaaj Ke Liye Behoshi Ka Injection Wagairah.

Fir Kahi Shariat Me Yah Daleel Bhi Nahi Milti Ke Jism Me Agar Kuch Nasha Paida Ho Jaae To Rozah Baatil Ho Jaae Ga Balke Gul Karne Wale Ko Us Waqt Nasha Mehsoos Bhi Nahi Hota Fir To Yah Illat Paai Bhi Nahi Gai Taaham Istimaal Ki Hurmat Apni Jagah Baqi He Qaleel Aur Kaseer Nasha Ke Qaide Se.

Paanchwi Baat Yah He Ke Aap Rozah Ki Jo Tareef Karte Hai Us Hisaab Se Bhi Dekhe,Gul Na Khane Pine Ya Uske Qabeel Se He,Na Jima Aur Shehwat Me Se He Fir Mubtilaat E Saum Me Se Kaise Mana Jaae Ga?
Agar Koi Yah Kehta He Ke Gul Manjan Karne Se Rozah Faasid Ho Gaya Uske Zimma He Ke Woh Sareeh Daleel Laae Aur Yah Bhi Saabit Kare Ke Saabqa Un Tamaam Rozo Ki Qaza Karna Parhe Ga Jin Me Gul Manjan Kiya Gaya He. Sab Ko Achchi Tarah Maloom He Ke Nawaaqiz Aur Mufsidaat Deen Ke Aham Usool Hai Is Liye Wazu Ya Gusal Torhne Ya Namaaz Aur Rozah Baatil Qaraar Dene Ke Liye Sareeh Nas Aur Waazeh Daleel Chaahiye. Ha Yah Baat Zaroor He Ke Cigaratte Pine Aur Surti Khane Ke Qabeel Se He Is Liye Un Dono Se Rozah Faasid Ho Jaae Ga Aur Agar Gule Manjan Ka Istimaal Koi Surti Ki Tarah Honth Ke Niche Rakh Kar Karta He To Yaqeenan Woh Mufsid E Saum He Kuy Ke Usne Gul Ke Istimaal Ki Aysi Kaifiyat Ikhtiyaar Ki Jo Khane Aur Lazzat Andozi Ke Mushaba He. Goya Kisi Chiz Ke Istimaal Ki Makhsoos Kaifiyat Ke Mutaabiq Hukam Lage Ga Agar Wahi Chiz Dusri Kaifiyat Me Istimaal Ho To Uska Hukam Badal Jaae Ga.
Ek Bhai Ne Mujh Se Kaha Ke Aap Ne Gul Ko Tobacco Ki Qisam Bataya He Is Liye Gul Bhi Tobacco Ki Tarah Hukam Rakhta He Yani Us Se Bhi Rozah Faasid Ho Jaae Ga Us Par Ek Tabssum Aur Saadgi Wala Jawaab Arz Karta Hu Ke Tomato Bhi Fruits Ki Ek Qism He Kiya Aap Mehmaan Ki Aamad Par Palte Me Tomato Bataur E Mehmaan Nawaazi Paish Karenge?
Bahar Haal Ek Musalmaan Ko Nasha Aawar Chiz Kabhi Bhi Istimaal Nahi Karna Chaahiye Khususan Ramazaan Jaise Mubarak Maah Me To Qatan Us Se Ijtinaab Karna Chaahiye Aur Jin Logo Ne Ramazaan Me Ya Ramazan Ke Alawah Dono Me Yah Amal Anjaam Diya He Woh Allah Ki Sachchi Taubah Kare Aur Danto Ki Safaai Ke Liye Allah Ki Raza Wala Miswaak Kare Ya Jaiz Ashya Istimaal Kare.

MULAHIZA:
Chunki Yah Mazmoon Apni Nauiyat Ke Atibaar Se Kaafi Hasaas Tha Aur Abtak Jama'at Ahle Hadees Ki Taraf Se Meri Nazar Me Gule Manjan Se Rozah Toottne Ya Na Tootne Ke Silsile Me Koi Fatwah Nahi Aaya Tha Is Wajah Se Mene Is Mazmoon Ko Kai Ulma Par Paish Kiya Aur Unhone Apne Tassuraat Se Hame Nawaza.
JAZAAHUMULLAAH KHAIRA.

(1) DR. WASIULLAH MUHAMMAD ABBAS HAFIZAHULLAH(Mudarris Haram E Makki Aur Ustaad Jamia Ummul Qura. Makka Mukarrma)
GULE MANJAN Se Mutalliq Shaikh Maqbool Salafi Hafizahullah Ne Jo Tehqeeq Paish Ki He Ke Us Ka Istimaal Karna Jaiz Nahi Kuy Ke Woh Muskar(Nasha Aawar) He Chaahe Uska Thoda Hissa Istimaal Kiya Jaae Ya Ziyadah. Iska Khulasa Yah He Ke Gule Manjan Ka Istimaal Daant Aur Munh Ki Safaai Ke Liye Jaiz Nahi He Uske Bilmuqabil ALLAH Ne Bahut Si Halaal Chize Paida Ki He Jaisa Ke Miswaak He Shaikh Maqbool Ne Jo Baat Kahi He Amadan Aadmi Agar Gulemanjan Ke Kuch Hisse Ko(Istimaal Ke Waqt)Nigal Nahi Raha He To Us Se Rozah Baatil Nahi Hoga Kuy Ke Kitaab Aur Sunnat Se Ibtaal Saum Ki Daleel Nahi Milti He Yahi Haqeeqat He Aur Tehqeeq Ke Qareeb Yahi Qaul He Haa Agar Ghatka,Surti Aur Tobacco Ki Tarah Istimaal Kar Raha He Aur Uski Kash Yani Pees Ki Nigal Jata He To Us Se Saum E Baatil Ho Jaae Ga Usme Shuba Nahi.(Shaikh Ki Audio You Tube Par Maujood He)

(2) SHAIKH JALALUDDIN QASMI HAFIZAHULLAH MALEGAON.
GULE Manjan Se Rozah Nahi Tootta Agar Uska Koi Hissa Pait Me Na Jaae Jab Ke Gule Manjan Muskar Hone Ki Wajah Se Haraam He. GULE MANJAN Se Rozah Na Tootne Ki Maqbool Ahmed Salafi Ne Mauqaf Ki Taaid Shaikh Wasiullah Abbas Ne Bhi Ki He Aur Kaha He Ke Yah Mauqaf Aqrab Ilas Sawaab He Filhaal Me Bhi Is Mauqaf Se Muttafiq Hu Taanki Koi Daleel Aa Jaae Jo Uski Naaqis Ho.MAQBOOL AHMED SALAFI HAFIZAHULLAH KI YAH TEHQEEQ QAABIL QADR HE. ZADAKLLAAHU ILMA.

(3) SHAIKH ABDUL HASEEB UMRI MADANI HAFIZAHULLAH BANGLORE
Mazmoon Parha, Mazmoon Ke Mashmoolaat Qaabil E Itminaan Hai Barakallahu Fikum Albatta Me Surti Nahi Janta Is Juz Se Mutalliq Guftugu Ke Alawah Baqiya Bato Se Ittifaaq He.

(4) DR. MUHAMMAD ASLAM MUBARAKPURI HAFIZAHULLAH JAMIA SALAFIYA BANARAS.
Taqreeban Har Shakhas Ko Maloom He Ke Islaami Shariat Ne Har Nasha Aawar Chiz Ko Haraam Qaraar Diya He, Is Par Kitaab Aur Sunnat Ke Dalaail Beshumaar Hai. Gulemanjan Bhi Nasha Aawar Hai Is Liye Yah Bhi Haraam He Har Musalmaan Ko Is Ijtinaab Karna Chaahiye Lekin Gul MANJAN Muftir E Saum He Ya Nahi? Is Bare Me Ikhtilaat He Mujh Siyakaar Ko Kitaab Aur Sunnat Ke Dalaail Me Iska Muftar Aqal Hona To Mila Lekin Muftar Saum Hona Nahi Mila Agar Koi Muftar Aqal Hone Se Muftar Saum Hona Qiyaas Kar Le To Yah Qiyaas Maalfaariq Hai Ha Agar Kisi Waja Se Yah Androon Mada Pohnch Jaae Ya Koi Nigal Le To Muftar Saum He Jis Tarah Deegar Chize Ke Nikal Jane Se Muftar Saum Hoga Warna Nahi Is Silsila Me Muhtaram Molana Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah Ne Jo Tehqeeq Paish Ki He Mujhe Aqrab Ilassiha Maloom Hoti He. Wallaahu Aalam Bissawaab Waallamahu Atimma Wa Ahkam.

(5) DR. ABDUL BARI FATHULLAAH MADANI HAFIZAHULLAH RIYAAZ(EK BHAI KE ISTIFSAAR PAR SHAIKH NE UNKO MERE MAZMOON KA AUDIO JAWAAB DIYA)
Is Risaale Me Baqiya Chize Sab Sahih Likhi Hai Aur Gule Manjan Se Rozah Nahi Toote Ga Lekin Woh Muskiraat Ke Ziman Se He To Bahut Bada Gunaah He.

Is Mazmoon ka Urdu versoin padne ke lia click karai.
 
Top