GHEEBAT KYA HAI ?


GHEEBAT KYA HAI ?

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم​

• Abu Hurairah (Raziyallaahu 'Anhu) kehte hain ke Rasool Allaah (ﷺ) se poocha gaya: Aye Allaah ke Rasool! Gheebat kya hai?

• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

"‏ ذِكْرُكَ أَخَاكَ بِمَا يَكْرَهُ ‏"‏

"Tumhaara apne bhaai ka aise andaaz mein zikr karna jisey woh naa pasand karta ho."

Kaha gaya: Jo baat main keh raha hoon agar woh mere bhaai mein (waaqa’ee mein) ho? (toh kya woh bhi Gheebat hogi?)

• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

"‏ إِنْ كَانَ فِيهِ مَا تَقُولُ فَقَدِ اغْتَبْتَهُ وَإِنْ لَمْ يَكُنْ فِيهِ مَا تَقُولُ فَقَدْ بَهَتَّهُ ‏"‏

"Agar us mein woh baat maujood ho aur tum kaho, tab hi toh Gheebat hai. Agar tum koi aisi baat kaho jo us mein na ho, toh tum ne us par bohtaan (tohmat/ilzaam) lagaaya."

[Sunan Abu Daawood: 4874; Saheeh Muslim: 6593 - 70 - 2589; Sunan Al-Daarmi: 2756]

FAWAAYED: Ma'loom hua ke bhaai ki 'adm (ghair) maujoodgi mein us mein paaye jaane waale 'ayb ko bayaan karna basharteke woh us bayaan ko naapasand karta ho, Gheebat hai.

• Qur'aan ki roo se ye Haraam hai. Allaah (تعالى) ka qaul hai: "Tum ek doosre ki Gheebat na karo." [49:12], Yahaan tak ke usey apne murdah bhaai ka gosht khaane ke mutaraadif (baraabar) qaraar diya gaya hai.

• Apni taraf se kisi Musalmaan par jhoota ilzaam lagaana ye Bohtaan hai.

• Kuch sooratein hain jin mein Gheebat ko 'Ulamaa' ne Gheebat ka hukm nahin diya Ya'ni woh Gheebat nahin hai. Maslan:

• Mazloom shakhs, Musalmaan Haakim (Sultaan) ke paas kisi doosre Musalmaan ke khilaaf faryaad kar sakta.

• Buraayi rokne ke liye kisi se madad talab karna, maslan kisi se kehna ke fulaan ye ye bura kaam karta hai. Iska maqsad buraayi ko door karna ho warnah ye Haraam hai.

• Fatwaa talab karte hue, Musalmaanon ki khayr khwaahi, unko shar se bachaane ki gharz se kisi ki kharaabi bayaan karna, maslan Hadees ke raawiyon par jarh Ya'ni kisi raawi ki khaami bayaan karna.

• Isi tarah agar kisi shakhs ke baare mein kisi se mashwarah talab kiya jaaye toh mashwarah dene waale par laazim hai ke us aadmi ki buraayi se aagaah kardey Ya'ni us shakhs mein kya buraayi hai woh bayaan kardey.

• Aur isi tarah jab ilaaqe ka Musalmaan Hukmaraan, Waali umoor e saltanat saheeh adaa na karta ho toh uski shikaayat badey Ameer se kardi jaaye.

• Agar koi zaahiran gunaah ka murtakib hota hai maslan zaahir Fisq wa Bid'at mein mubtilaa hone waala, Sharaabi waghairah aisey shakhs ki tash'heer kee jaa sakti hai.

• Agar koi shakhs kisi 'ayb waale laqab se mash'hoor ho toh usey us laqab se pukaarna maslan andha, bhenga, behra waghairah. [In umoor ke dalaael ke liye dekhiye: Riyaaz Al-Saaliheen, Baab: 256, Gheebat ke ba'z jaayez sooraton ka bayaan, PDF Jild:2, Pg: 318]

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: Abdul-Mudhill Hafizahullah
 

Top