Umar Asari

Administrator
Staff member
GHAIRULLAH KE NAAM KI QURBANI HARAM HAI

Qurbani karna Allah ki ibadat hai aur har qism ki ibadat sirf aur sirf Allah ke liye hi hai.Lekin kuch kam ilm log Allah ke alawa Nabiyo ki jaise ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ke naam par ya fir waliyon ke naam par Qurbani karte hain jo ke haram aur shirk hai. Jaisa ke Allah Ta’ala Quran me farmata hai..
🔴Farman e ILAHI
🍃”Tum par murda aur (baha hua) khoon aur suwar ka gosht aur har wo cheez jis par Allah ke siwa dusro ka naam pukaara gaya ho haraam hai. ”
📙(Surah Al-Baqara: 173, Al-Maidah:3, An-An’aam:145)

🍃(Ai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam)” Aap kah dijiye yaqeenan meri namaz meri qurbani mera jeena aur mera marna khalis Allah ke liye hai jo tamam jahaano ka malik hai.”
📗(Surah An-An’aam Ayah:162)

🍃”Bas tu apne Rab ke liye namaz padh aur Qurbani kar”
📙(Surah Al-Kausar, Ayah:2)

✒In ayaat se saaf pata chalta hai ke qurbani ibadat hai, Allah ne in ayaat me namaz ka zikr karne ke bad qurbani ka zikr kiya jaise namaz ibadat hai waise hi qurbani karna bhi ibadat hai, aur har qism ki ibadat sirf aur sirf Allah ke liye hi honi chahiye.

Alalh Ta’ala farmata hai:
🍃”Aur tumhara Parvardigar saaf saaf hukm de chuka hai ke tum Us (Allah) ke siwa kisi aur ki ibadat na karna.”
📘(Surah Bani Israel, Ayah:23)
______________________________________

🔴Ghairullah ke liye zubah karne wale pe LAANAT

Ali Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
“Lanat ho us shaks par jo Ghairullah ke liye zubah karta hai.”
📚Sahih Muslim, 1978

✒Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne Ghairullah ke naam pe qurbani dene wale pe lanat ki hai kyunki Har wo chiz jo Allah ke liye ki jati hai wo ibadat hai jaise namaz, roza, haj, zakat, sadqa, qurbani waghairah aur in ibadato me Allah ke sath kisi aur ko shareek karna Shirk kahlata hai. Aur Allah Ta’ala shirk karne wale ko nahi bakshta.
______________________________________

🔴Allah apne saath shareek kiye jane ko nahi bakshta aur uska thikana JAHANNAM hai

🍃”Yaqeenan Allah ta’ala apne saath shareek kiye jaane ko nahi bakshta aur uske siwa jise chaahe baksh deta hai,aur jo Allah ta’ala ke saath shareek muqarrar kare usne bahut bada gunaah aur buhtaan baandha”
📕( Surah Nisa 4 : 48)

🍃”Yaqeen maano ke jo shaks Allah ke saath shareek karta hai, Allah ta’ala ne uspar jannat haraam kardi hai, us ka thikaana jahannam hee hai aur gunehgaaro ki madad karne waala koyi nahi hoga. ”
📒( Surah Maidah 5 : 72
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Qurbani aur Aqeeqah 0

Similar threads


Top