FIRQA E NAAJIYA KA MANHAJ PART 1


Amaat ullah

New member
FIRQA E NAAJIYA KA MANHAJ PART 1

BismillahirrahmanirraheemView attachment 78



Firqa e naajiya ka matlab hai nijaat paane wala firqa yani jahannam se bach kar jannat mai jane wala firqa

Allah ta'ala ne tamam musalmano ko quran e majeed ko mazbooti se thaamne ka hukm diya hai aur firqa bandi se mana farmaya hai, neez Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye khabar di hai k saabaka ummatey yahood wa nasaara firqa bandi ka shikaar ho gaye saath hi ye paisheen goyi bhi farmayi k ummat e muslima un ummato ki raah apna kar firqa bandi mai mubtala hogi aur sirf mubtala hi nhi balke unse ek qadam aagey badh jeyegi, saabaka ummate 72 firqo mai taqseem ho gayi, ye ummat 73 firqo mai taqseem ho jeyegi, ek firqe k siwa sab k sab siraat e mustaqeem se anharaaf, kitab o sunnat se roogardani aur asal shariyat se pehlu tahi ki bina par jahannam mai jayegi, sirf ek hi firqa jannat mai jayega jisne jamaat se kharooj na kiya hoga, Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat aur Aap k sahaba E Kiraam Razi Allahu Alaihim Ajmaeen k tareeqe ko mazbooti se thama hoga.

Muttaeen taur par ye kehne k liye k fala firqa nijaat yafta hai aur fala aur fala firqe jahannami hai daleel ki zarurat hai kyunki daleel k bagair koi baat kehna Allah k deen mai sakht mana hai

Irshaad e baari ta'ala hai: Aap farmaiye k mere rabb ne to be hayayi ki baato ko, zahir hone ya poshida, aur gunah ko aur nahaq zayadati karne ko haram kiya hai, aur usko bhi k tum kisi ko Allah ka shareek banao jiski usne koi sanad naazil nhi ki, aur usko bhi k Allah k baare mai aesi baate keh jinka tumhe kuch ilm nhi. (Surah Aaraaf ayat no. 33)

Irshaad e baari ta'ala hai: us baat k piche mat pado jiska tumhe ilm nhi kyunki aankh aur kaan aur dil unme se har ek se puch gin ki jaane wali hai. (Surah isra ayat no. 36)

Aksar firqo ka ye dawa hai k wo nijaat yaafta hai aur unke mukhalifeen gair nijaat yaafta hai, a'iye hum daleel ki rooshni mai dekhte hai k wo firqa kon sa hai taake apne aapko us se jood kar nijaat hasil kare aur halakat wa tabahi se mehfooz rahe.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshaad hai: Bani israeel 72 firqo mai taqseem ho gayi, meri ummat 73 firqo mai taqseem hogi, sab k sab jahannam mai jayenge siwa ek k, Sahaba e ikraam RA ne daryaft kiya: Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo nijaat yaafta firqaa konsa hoga? to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya jis raah par mai hu aur mere sahaba hai. (Tirmizi, Sahih jaamey)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne koi naam batane k bajaye wasf zikr farmaya kyunki nijaat k maamle mai wasf wa kirdaar ki hi asal ehmiyat hai
Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qaul se baat wazey ho jati hai k firqa e najiya wo firqa hoga jo apne qaul o amal mai, emaan wa etaqaad mai, akhlaaq wa muamalaat mai aur shariyat k tamaam umoor mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur aap k sahaba RA k manhaj par kaarband hoga ye firqa har tarha k zaigh o zalaal se mehfooz aur salamat rahega.

yahi firqa ahle sunnat wal jamaat hai, yaani ye do azeem khasoosiyaat ka hamil hai

yaha ek baat yaad rahe aaj kal kuch firqey apne aap ko ahle sunnat wal jamaat mai se kehte hai aur jab unke aqaid, mamlaat, tareeka shariyat dekhi jati hai aur unka amal dekha jata hai to wo is jamaat se kooso door hote hai.

PEHLE KHASUSIYAT: SUNNAT SE TALLUQ AUR WABASTAGI: Isi khasusiyat ki bina par firqa e najiya ka ek laqab ahle sunnat hai kyunki ye apni zindagi k tamaam umoor mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur aap k sahaba RA ki sunnato ka iltazaam karte hai, apni aqal aur raaye wa qayas ko kabhi sunnat par muqaddam nahi karte, jabke dusre firqe ahle bida'at hai, sunnat ki taraf unki nisbat qata'an nhi hoti, un bida'ati firqo ki nisbat ya to unke qarieen aur baaniyo ki taraf hoti hai jese Qaadyani ya Jahmi ya phir unki nisbat unki bidat wa zalalat ki taraf hoti hai jese Qadirya aur Murjiya ya phir unki nisbat unke af'aal e qabeeha ki taraf hoti hai jese Raafziya aur Khawarij.

DOOSRI KHASUSIYAT JAMA'AT SE TALLUQ AUR WA BASTAGI: Is khasusiyat ki bina par firqa e najiya ka doosra laqab ahle jama'at hai, yaani wo haq par jama hote hai, musalmano ki jamaat se kharooj karke firqa bandi nhi karte, Firqa Nijiya hi wahi firqa hai jise Allah ta'ala ki madad aur nusrat haasil hai, neez Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: meri ummat ki ek jamaat hamesha Allah k huqm (yani haq) par qayam rahegi, uski mukhalifat karne wale use be sahara choodne wale uska kuch nahi bigaad sakenge yaha tak k Allah ka hukm a jaye aur wo isi haal par rahenge. (Sahih Bukhri wa Sahih Muslim)

To Be Continued...
 

Similar threads


Top