Staff Member

Member
Staff member
بــسـم الله الــرّحــمــن الــرّحــيــم
Fazail E Salaam

Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
_________________


Salaam musalmano ka imteyazi wasf aur waqaar hai, ibteda e aafrinish se (yani shuru se hi) "salaam" ki jaami’iyyat, fazilat aur ahmiyat musallam hai, ehd e Nabawi ﷺ mein bhi is ki tarweej (phailaane) par khoob ziyada zor diya gaya hai, ab qayamat tak ye musalmano ka shi’aar hai.

Irshaad e Bari Ta'ala hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَدْخُلُوا بُيُوتًا غَيْرَ بُيُوتِكُمْ حَتَّىٰ تَسْتَأْنِسُوا وَتُسَلِّمُوا عَلَىٰ أَهْلِهَا​
"Aye emaan waalon! apne gharon ke ilaawah doosrey gharon mein us waqt tak dakhil na ho jab tak tum ijazat na ley lo aur ghar walon ko salaam na kar lo."
(Surah An-Noor: 27)

Doosrey maqaam par farmaya:
فَإِذَا دَخَلْتُم بُيُوتًا فَسَلِّمُوا عَلَىٰ أَنفُسِكُمْ تَحِيَّةً مِّنْ عِندِ اللَّهِ مُبَارَكَةً طَيِّبَة​
"Pas jab tum gharon mein dakhil hone lago to tum apne ghar walon par salaam karo yeh Allah Ta'ala ki taraf se mubarak aur pakiza tohfa hai."
(Surah An-Noor: 61)

Salaam ka Aaghaaz:
Sayyiduna Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaya: "Jab Allah ﷻ ney Aadam (alaihis salaam) ko paidaa farmaya tou un se kaha: "jaao aur fariston ki us jama’at ko salaam karo aur wo jo jawaab dey usey ghaur se suno kyun ki wahi teri aulaad ka salaam hoga" pas Sayyiduna Aadam (alaihis salaam) ney jaa kar kaha: "Assalamu Aalaikum" to unhon ne kaha: "Walaikumus Salaam wa Rahmatullah" yane unhon ne Rahmatullah ka izafa kar diya"
(Saheeh Bukhaari: 6227, Saheeh Muslim: 2841)

Salaam ka Tohfa:
Irshaad e Bari Ta'ala hai:
وَإِذَا حُيِّيتُم بِتَحِيَّةٍ فَحَيُّوا بِأَحْسَنَ مِنْهَا أَوْ رُدُّوهَا ۗ إِنَّ اللَّهَ كَانَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ حَسِيبًا​
"Aur jab tumhen (salaam ka) tohfa diya jaye tou tum bhi us se behtar tohfa unhen do, ya wahi unhen lauta do."
(Surah An-Nisaa: 86)

Is Aayat ki tayeed is hadees se bhi hoti hai: Imraan bin Hussain Razi Allahu Anhu bayaan kartey hain: Ek shakhs Nabi ﷺ ki khidmat mein hazir huwa, us ney "Assalamu Aalaikum" kaha, Aap ﷺ ne uska jawaab diya us ke baad wo baith gaya, Nabi ﷺ ne farmaya: "Dus (10) nekiyan ho gayi" phir ek dusra shakhs aaya us ne "Assalamu Aalaikum wa Rahmatullah" kaha, Aap ﷺ ne salaam ka jawaab diya, chunanche wo baith gaya, Aap ﷺ ne farmaya: "Biyees (20) nekiyan ho gayi, baad mein ek aur shakhs aaya us ney "Assalamu Aalaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu" kaha, Aap ﷺ ne uske salaam ka jawaab diya, wo baith gaya Aap ﷺ ne farmaya: "Tees (30) nekiyan ho gayi.
(Sunan Abi Dawood: 5195, Tirmidhi: 2689. Iski Sanad Hasan Hai)

Behtareen Salaam:
Ek aadmi ne Rasoolullah ﷺ se puchaa ke "Islam mein behtar baat kya hai"? Tou Aap ﷺ ne farmaya: "Sab se behtar baat yeh hai ke tu (bhooke ko) khana khilaye aur har waqif aur na'waqif ko salaam kahe."
(Saheeh Bukhaari: 12, Saheeh Muslim: 39)

Mubabbat aur Salaam:
Bughaz o inaad, fitna aur fasaad ko kis tarha Nabi e Rahmat ﷺ ne ulfat o muhabbat, ikhuwwat aur bhai chare mein tabdeel kar diya? Wo kaunsa behtareen nuskha hai? Ji han, isey Nabi e Kareem ﷺ ki mubarak zubaan se suniye aur apni zindagiyon ko muhabbaton se bhar lijiye, Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Tum jannat mein nahi jaaoge yahan tak ke emaan ley aaoo aur tum momin nahi hogey yahan tak ke ek dusre se muhabbat karo, kya main tumhen aisi cheez na bataon ke jab tum usey ikhtiyaar karoge tou aapas mein muhabbat karne lagoge (aur wo yeh hai ke) tum aapas mein salaam ko phailaao aur aam karo."
(Saheeh Muslim: 54)

Jannat aur Salaam:
Sayyiduna Abdullah Bin Salaam Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke maine Rasoolullah ﷺ ko farmate huwe suna, "Aye logon! Salaam ko phailaao, logon ko khana khilaao, rishtedaron aur aqriba ke huqooq ada karo aur us waqt uth kar namaz padho jab log sooye huwe hon (yane raat ke aakhir pehar mein) tou tum "Jannat" mein salamati ke sath dakhil ho jaaoge."
(Sunan Tirmizi: 2485)

Allah ﷻ ki qurbat aur Salaam:
Salaam mein pehal karna Allah ﷻ ki qurbat hasil karne ka behtareen zariya hai, Rasoolullah ﷺ ne farmaya: " Sab se ziyadah Allah ke qareeb wo log honge jo salaam kehne mein pehal kartey hain."
(Abu Dawood: 5197. Iski Sanad Sahih hai)

Qayireen Akraam:
Upar zikr ki gayi lines mein intehayi ikhtesaar ke sath salaam ki fazilat bayan ki gayi hai lehaza hamein musalmaan hone ki haisiyat se "Salaam" ko aam karna chahiye aur kyunki yeh Allah ﷻ ki qurbat ke husool aur jannat mein dakhile ka zari'ah hai aur ghair musalmano ke banaaye huwe: Hi, Bye, Hello aur Namaste wagera alfaaz se bachna chahiye, kyunki kafiron se mushabihat se mana kiya gaya hai. Allah hamein nek aamaal ki tawfeeq dey. (Aameen)

Aur hamare zimme bas pahunchana hai....

Mahnama Al-Hadees, Shumara 5, Page 28-29
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top