بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Fajr Ki Namaz Mein Uth Sakte Hain Agar,,,,,,,,,,,,,

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

(1) Sone Se Pehle Namaz e Fajr Ke Liye Uthne Ki Sachchi Niyat Ki Jaaye Kiyunki Niyat Se Taufeeq Milti Hai.

(2) Raat Ko Sone Mein Jaldi Ki Jaye Aur Der Raat Tak Jaagne Se Bacha Jaaye, Ibadat Se Ghaflat Mein Yeh Sab Se Badi Rukawat Hai.

(3) Sachche Dil Se Allah Taala Se Dua Ke Saath Subah Uthne Ka Pukhta Iradah Kiya Jaaye, Dua Har Gunah Se Bachne Ka Mu’assir (Effective) Hathyaar Hai Aur Iraade Ki Pukhtagi Anjaam Tak Pahunchana Hai.

(4) Sone Se Pahle Wuzu Kiya Jaaye Aur Soone Se Mutalliq Masnoon Dua Padhi Jaaye, Neend se Jaagne Ke Baad Us Waqt Ki Duayen Padhi Jaayen.

(5) Is Baat Ki Ma’rifat (Jaankaari) Ho Ki Namaz e Fajr Chhod Kar Soye Rehna Gunah Ka Sabab, Aur Munafiq Ki Nishani Hai. (Muttafaq Alaih)
Muttafaq Alaih Ka Matlab: Aisi Hadees Jo Sahih Bukhari Aur Sahih Muslim Dono Mein Ho.

(6) Allah Ki Ma’siyat aur Uski Nafarmani Se Bilkul Bacha Jaaye.

(7) Is Baat Ka Ehsas Kiya Jaaye Ke Namaz e Fajr Padhne Sey Bandah Allah Taala Ki Zamanat (Ya Amaan) Mein Ho Jata Hai.

(Sahih Muslim: 657)

(8) Alarm Ka Istemaal Kiya Jaaye Aur Us Mein Fajr Ki Namaz Se Pehle Ka Waqt Set Kar Ke Apne Se Door Rakha Jaye.

(9) Dopahar Mein Mamooli Qailoolah Karne (Means Dopahar Mein Thoda Sone) Se Subah Uthney Mein Madad Milti Hai.

(10) Akele Sone Se Bacha Jaaye, Taaki Paas Pados Mein Koi Hoga To Namaz Ke Liye Jaga Dega.

(11) Raat Ka Khana Halka Khaya Jaye Kiyunki Ziyada Khana Neend Mein Shiddat Ka Sabab Hai.

(12) Peeth or Pait Ke Bal Na Soya Jaaye Balki Sone Mein Nabawi Kaifiyat Ko Ikhtiyar Kiya Jaaye, Yani Daayen (Right) Karvat Soyen Is Tarah Ke Daayen (Right) Haath Ki Hatheli Daayen (Right) Gaal Ke Neeche Ho.

(13) Raat Ki Neend or Din Mein Mamooli Qailoolah (Dopahar Ko Sone) Ke Alawah Doosre Auqaat Mein Sone Se Bachen.

(14) Namaz e Fajr Ke Saath Doosri Namazon Ki Jama’at Ke Saath Adaigi Ki Jaye Aur Us Mein Susti or Kahili Ko Khatam Kiya Jaaye.

Yeh Kuch Tajaweez (Advices) Thien Jinhein Apna Kar Allah Ki Taufeeq Se Insaan Fajr Ki Namaz Padhne Ke Qabil Ho Sakta Hai.
Ho Sakta Hai Is Mein Kuch Waqt Lage Magar Itna Zaroor Dhiyaan Den Ki Jaise Jaise Rab Par Imaan Mazboot Hoga, Aap Ki Niyat Khalis Hogi, Aur Apne Khaaliq e Haqeeqi Ki Ibadat Ki Sachchi Tadap Dil Mein Paida Hogi Waise Waise Aap Ke Liye Deen Ke Umoor Par Amal Karna Bahut Aasaan Hota Chala Jaayegaa. In sha Allah.

Allah Hamein Amal Ki Taufeeq Ata Farmaye. Aameen.
 

Similar threads


Top