Ek hi Majlis mein HADEES RAFA'EDAIN kay bayan per 10 SAHABA R.Z ka itefaq.


Ek hi Majlis mein HADEES RAFA'EDAIN kay bayan per 10 SAHABA R.Z ka itefaq.

IMAM BUKHARI RAHIMAHULLAH ne kaha:
Yani ABU HAMEED SAIDI AL-ANSARI MADNI RADHIALLAHU ANHU ne 10 SAHABA RADHIALLAHU ANHUM ki maujodgi mein kaha: kay mein tum sub kay bil-muqabil NAMAZ'E NABWI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka ilm ziada rakhta hon. Un 10 hazra'at ne kaha: kay WA'ALLAH ap ne hum se ziada qadeem zamana se Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke suhbat yafta hain na hum se ziada mutab'e NABWI hain. ABU HAMEED SAIDI AL-ANSARI MADNI RADHIALLAHU ANHU ne kaha kay agarchy aap logo ki ye baat sahi hai magar meine NAMAZ'E NABWI ka tawajo se mushaida kya hai, un hazra'at ne kaha kay ap biyan kijye tu ABU HAMEED SAIDI AL-ANSARI MADNI RADHIALLAHU
ne kaha kay AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM namaz mein tehrema'o ruko aur pehly qa'da se tesri rakat kay lye uthtey waqt RAFA'EDAIN karty thy un sary 10 SAHABA RADHIALLAHU ANHU ne ek saath kaha: kay ap apne is bayan mein sachchey hain.

References:
Juz'ul Rafa'efain Jalal'ul Ain 35,36
Abi Dawood ma o'own Jild 1 safa 265
Termizi ma' Tuhfa'ul Jild 1 safa 249
Musanaf Ibn'e abi Shaiba Jild 1 safa 225
Ibn'e Maja Jild 1 safa 254
Darmi Jild 1 safa 163
Wa'l Muntaqi La Bin Al-Jarod safa 163
Sharah Maani'al Asar Jild 1 safa 131
Sahi Ibn'e Khuzaima 1 Jild safa 297
Sahi Ibn'e Habban Jild 3 safa 258,263,268
Sunan Behaqi Jild 2 safa 72,73
Muarfa Al-sunan Jild 1 safa 217
Tareekh Khateeb Jild 7 safa 52
 

Similar threads


Top