EK GHALAT FAHMI JO SHIRK KE DARWAAZE KHOLTI HAI !


EK GHALAT FAHMI JO SHIRK KE DARWAAZE KHOLTI HAI !

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

• Kuch log Shirk ko Shirk nahin maante, waazeh Shirk ka irtikaab karne ke baawajood kehte hain ke hum Shirk nahin karte aur woh apne Shirk ka difaa’ (defense) karne ke liye Hadees peysh karte hain jis mein Allaah ke Nabi (ﷺ) ne farmaaya:

وَاللَّهِ مَا أَخَافُ عَلَيْكُمْ أَنْ تُشْرِكُوا بَعْدِي، وَلَكِنِّي أَخَافُ عَلَيْكُمْ أَنْ تَنَافَسُوا فِيهَا

"Aur qasam Allaah ki mujhe iska darr nahin ke mere ba’d tum Shirk karoge balke iska darr hai ke tum log dunya haasil karne ke liye ek doosre se aage bardhne ki koshish karne lagogey.” (nateejah ye ke Aakhirat se ghaafil hojaaoge)

[Saheeh Al-Bukhaari: 6426]

• WAZAAHAT: Haalaanke Nabi Kareem (ﷺ) ne ye baat apne Sahaabah Karaam (Raziyallaahu 'Anhum) ke muta'lliq farmaayi thi, Qiyaamat tak aane waali Ummat ke muta'lliq nahin. Is baat ko mazeed teen (3) Ahaadees se samajhte hain jin mein Ummat mein Shirk ka saboot milta hai:

Pehli Hadees: Rasool Allaah (ﷺ) Ne Farmaaya:

أَتَانِي آتٍ مِنْ عِنْدِ رَبِّي فَخَيَّرَنِي بَيْنَ أَنْ يُدْخِلَ نِصْفَ أُمَّتِي الْجَنَّةَ وَبَيْنَ الشَّفَاعَةِ، ‌‌‌‌‌‏فَاخْتَرْتُ الشَّفَاعَةَ، ‌‌‌‌‌‏وَهِيَ لِمَنْ مَاتَ لَا يُشْرِكُ بِاللَّهِ شَيْئًا

“Mere Rabb ki taraf se ek aane waala mere paas aaya aur mujhe aadhi Ummat Jannat mein daakhil karne aur Shafaa’at ke darmiyaan ikhtiyaar diya toh maine Shafaa’at ko ikhtiyaar kiya aur ye (Shafaa’at) har us shakhs ke liye hai jo is haal mein maraa ke usne Allaah ke saath kisi ko Shareek na tehraaya.”

[Jaami' At-Tirmizee, Hadees (Saheeh): 2441]

• TASHREEH : Jab tak aadmi mein ek zarrah bhi Shirk e Akbar ka baaqi hai woh Shafaa'at ka mustahiq nahin aur Nabi (ﷺ) Shafee'ul-Mushrikeen nahin hain Ya'ni Mushrikeen ki Shafaa'at karne waale nahin hai.

Doosri Hadees: Rasool Allaah (ﷺ) Ne Farmaaya:

لِكُلِّ نَبِيٍّ دَعْوَةٌ مُسْتَجَابَةٌ، فَتَعَجَّلَ كُلُّ نَبِيٍّ دَعْوَتَهُ، وَإِنِّي اخْتَبَأْتُ دَعْوَتِي شَفَاعَةً لِأُمَّتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ، فَهِيَ نَائِلَةٌ إِنْ شَاءَ اللهُ مَنْ مَاتَ مِنْ أُمَّتِي لَا يُشْرِكُ بِاللهِ شَيْئًا


“Har Nabi ki ek Du’aa hai jo zaroor qubool hoti hai toh har ek Nabi ne jaldi kar ke woh Du’aa maangli (dunya hi mein) aur Maine apni Du’aa uthaa Rakhi hai Qiyaamat ke din ke liye apni Ummat ki Shafaa’at ke liye aur Allaah chaahe toh Meri Shafaa’at har ek Ummati ke liye hogi basharteke woh Shirk par na maraa ho.”

[Saheeh Muslim, Hadees: 491 or 199 a]

Teesri Hadees: Nabi (ﷺ) Ne Farmaaya:

لَا تَقُومُ السَّاعَةُ حَتَّى تَلْحَقَ قَبَائِلُ مِنْ أُمَّتِي بِالْمُشْرِكِينَ، ‌‌‌‌‌‏وَحَتَّى يَعْبُدُوا الْأَوْثَانَ ‌‌‌‌‌

"Qiyaamat tab tak nahin aayegi jab tak meri Ummat mein se kuch qabeele Mushrikon ke saath jaakar na mil jaayein aur Wasn (idols waghairah) ki ibaadat Ikhtiyaar na karlein."

[Jaami' At-Tirmizi, Hadees (Saheeh): 2219]

《 'Abdul-Mudhill Hafizahullah》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )
 
Top