DROOD O SALAAM


DROOD O SALAAM
TAHREER : FAZILAT-USH-SHAIKH HAFIZ NADEEM ZAHEER hafizahullah
(Maah Naamah AL-HADIS Hazro, Shurmaarah No.41, page:2-3)
Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:
﴿إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا﴾
(Surah al-Ahzaab:56)
"Bilashubha ALLAH aur uske farishte NABI par rahmat o drood bhejte hain. Aye logo jo emaan laye ho! tum bhi AAP par drood o salaam bhejo."

FIQHOL QURAN:
۞ Lafze "Slaat 'صلٰوة' " ki nisbat jab ALLAH TA'ALA ki taraf ho to is ka mana, ALLAH ka apne bande par apni rahmat naazil karna hai aur agar ye nisbat farashton ki taraf ho to duaye rahmat aur agar bandon ki jaanib hoto uska mana duaye rahmat bhi hai aur drood waghairah bhi hai.

Imam Bukhari rahimahuallah mash'hor tabayi Imam Abul Aaaliyah se naqal karte hain:
(( صَلاَةُ اللَّهِ ثَنَاؤُهُ عَلَيْهِ عِنْدَ الْمَلاَئِكَةِ، وَصَلاَةُ الْمَلاَئِكَةِ الدُّعَاءُ))
"Salatullah-' صَلاَةُ اللَّه ' se muraad ALLAH TA'ALA ka farishton men NABI sallallahu alahi wasallam ki taareef karna hai aur " Salatul Malayikah 'صَلاَةُ الْمَلاَئِكَة' " se muraad dua hai."(Sahih Bukhari, Kitabul Tafseer, Hadis No.4797)

۞ Salaam se muraad tashahhud (Attahiyaato lillahi…..) aur drood se muraad drood-e-Ibrahimi hai. is aayat se khud saakhtah drood o salaam kasheed karna deen-e-islam me izafah karne ke mutaraadif hai jo ke intehayi mazmom harkat hai.

۞Syidina Kab Bin Ojrah raziallahu-anhu se riwaayat hai ke hum ne RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam se sawaal kya: aye ALLAH ke RASOOL! hum AAP par druood kaise padhen? to AAP sallallahu alahi wasallam ne farmaaya: kaho
((اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ، اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ، وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ))
((Allaahumma salli 'alaa Muhammadinw wa 'alaa 'aali Muhammad; kamaa sallayta 'alaa 'Ibraaheema wa 'alaa 'aali 'Ibraaheem, 'innaka Hameedum Majeed.
Allaahumma baarik 'alaa Muhammadinw wa 'alaa 'aali Muhammad; kamaa baarakta 'alaa 'Ibraaheema wa 'alaa 'aali 'Ibraaheem, 'innaka Hameedum Majeed)) (Sahih Bukhari, Hadis No.3370)

۞Jis tarah is(Surah al-Ahzaab:56) aayaat me NABIYE KAREEM sallallahu alahi wasallam par drood padhne ki purzor taakeed kigaye hai, isi tarah ahadis men bhi targheeb o tarheeb waarid hai: RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ne farmaaya: jo shakhs mujh par ek martabah drood bhejta hai to ALLAH TA'ALA is par das rahmaten naazil farmata hai.(Sahih Mulim:284)

NABIYE KAREEM sallallahu alahi wasallam ne farmaaya:
((رَغِمَ أَنْفُ رَجُلٍ ذُكِرْتُ عِنْدَهُ فَلَمْ يُصَلِّ عَلَىَّ))
"Us shakhs ki naak khaak aalodah ho jis ke paas mera zikar kya jaye aur wo mujh par drood na bheje."(Sunan al-Tirmizi:3545, aur is ki sanad HASAN hai)

Neez AAP sallallahu alahi wasallam ne farmaaya:
((الْبَخِيلُ الَّذِي مَنْ ذُكِرْتُ عِنْدَهُ فَلَمْ يُصَلِّ عَلَىَّ))
"Woh shakhs bakheel hai ke ji ke paas mera zikar kya jaye aur woh mujh par drood na bheje."(Sunan Al-Tirmizi:3546, aur is ki sand HASAN hai)

۞ Sallallahu Alaihi Wassalam "صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ " ke kalimaat kahe aur likhe jasakte hain kion kye bhi sabit hain. (Dekhiye: Sahih Muslim:2/392, Haids No.2897) neez muhaddiseen ka in par ijmaa hai.

TANBIYAAH:
Baaz hazraat NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ka naam likh kar "SAL'AM صلعم" yaa " ؐ " waghairah ki alaamat banadete hain. Shar'an ye jayez nahi balke mazmom amal hai.

Is aayaat mubarekah me RASOOLULLAH sllallahu alaihi wasallam ke sharf o izzat ka bayaan hai, jis se ALLAH TA'ALA ne apne mahboob paighamber ko nawaza hai.

Hafiz Ibh Hajar rahimahullah farmate hain:
((وَالاِجمَاع مُنعَقِد علی ٲن فيِ ھَذِہِ الآیَة مِن تَعظِیم النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَالتنویة بِه مَالَیسَ فِي غَیرِھَا))
"Is baat par ijmaa haike is (mazkorah) aayat me (sirf) NABIYE KAREEM sallallahu alahi wasallam ki tazeem o tareef hai. is me koi aur shamil nahi."(Fathul Baari:11/156)

۞Drood ke mauzo par Imam Ismayeel Bin Is'haaq al-Qazi ki azeem o shaan kitaab Shaikh Albaani rahimahullah ki tahqiq se chap chuki hai. Neez Hafiz Ibn Qaiyim ki kitaab "Jala al-Afhaam" bhi mufeed hai.
 
Top