Dr. Israr Ahmed ka Kufriya Aqeedah


Dr. Israr Ahmed ka Kufriya Aqeedah

بسم الله الرحمن الرحیم

Dr. Israr Ahmed ne kaha :

" Mere Nazdeek Iska Asal Hal wo hai jo Shaikh Ibn Arabi ne diya hai Jo Mai Bayan kar Chuka hun ke haqeeqat Or Mahiyat e Wajood ke Aitbaar se Khaliq Or Makhlooq ka Wajood Ek Hai."

[Surah Al Hadeed ki Mukhtasar Tashreeh, Safa : 88]

Ibn Arabi Sufi Kehta hai :

"Pas Tu Banda hai Or Tu hi Rabb hai."

[Sharah Al Jami, Safa : 202]

Dr. Israr Ahmed ne Ibn Arabi ki Tayeed karte hue Kaha hai :

"Mai Agr Shaikh Akbar ki kisi Baat ki Tayeed kar raha hun to Wo Unka Sirf Ye Nazariya (Wahdatul Wajood) Hai."

[Surah Al Hadeed ki Mukhtasar Tashreeh, Safa : 88]

Shaikh Abu Muhammad Aminullah Al-Peshawari (حفظه الله) ka Dr. Israr Ahmed par Fatwa

Shaikh Aminullah Al-Peshawari (حفظه الله) ka Farman hai :

"Ab Ham Dr. Israr ki Taraf Aate hain. Jo Kehta hai Mai Ibn Arabi Jaisa Aqeedah Rakhta hun Or Wahdat ul Wajood ko Tawheed e Wajoodi ka Naam Deta hai Or Allah Rabb Ul Aalmeen ki Tashbiyyah Lakdi me Lagi Hui Chingari ke Sath Deta hai Or Samandar ki Amwaaj ke Sath bhi Allah ki Misaal Bayan karta hai.

To Ham Sabse Pehle Ise Naseehat karte hain ki Allah Rabb ul Aalmeen ki is Azeem Be-Adabi se Allah ki Taraf Ailaniya Tauba Kare.

Or Use Naseehat karte hain ki Us Fitne ko Jagane ki Koshish Na Kare Jise Mazi Qareeb mai Allah ne Ulema ki Koshisho ki Wajah se Bujha diya tha Agr wo Phir bhi Musir hai To Hamara Yehi Fatwa hai (ولانحاف فی الله لومة لائم) Ke Jo bhi Aqeedah Wahdatul Wajood ka Hamil ho Wo Kafir Or Murtadd hai Uske Piche Namaz Jayaz Nahi Na Uspar Namaz e Janaza Jayaz hai Or Na hi Use Musalmano ke Maqbare me Dafan karna Jayaz hai Or Uski Biwi par Talaq Samjhi Jayegi Or Uske Sath Uthna Bethna Najayaz hai.

Yehi Hamara Aqeedah hai Or Allah Rabbul Aalmeen ke Samne Isi Aqeede ke Sath Jayenge. In Sha Allah Agr Aqeeda Wahdatul Wajood Kufr Nahi To Duniya me Kufr Hai hi Nahi.

Mazeed Yeh Ke Dr. Israr Or Bahut se Islaam Mukhalif Nazariyaat ke Hamil hai Jaise Iqtasadiyat mai Masawat ka Qayeel hai Or Khilafat ke Husool ka Fariza Uske Nazdeek Dharna Dena Hai. Jiski Islam me Koi Gunjaish Wa Misaal Nahi.


[Nazariya Tawheed e Wajoodi or Dr. Israr, Safa: 61-62]
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abdul Adil Radd (Refutation) 0

Similar threads


Top