DR. ISRAR AHMED AUR AQIDAH WAHDAD-UL-WOJOD


DR. ISRAR AHMED AUR AQIDAH WAHDAD-UL-WOJOD
Tahreer: Muhaddis Hind o Paak HAFIZ ZUBAIR ALI ZAYI rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.74, page:50)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Ibn Arabi (Sofi) ki taraf mansob kitab "FOSOOS-UL-HIKAM" main likha howa hai:

فٲنت عبدوٲنت رب
"Pass to bandah hai aur to RABB hai."(page:77. /wa Sharah al-Jaami, page:202)

Dr. Israr Ahmed ne kaha:
"Mere nazdeek is ka asal hal woh hai jo Shaikh Ibn Arabi ne diya hai jo main bayaan karchuka hon, ke haqiqat o maahiyat wojod ke etebaar se KHAALIQ o makhloq ka wojod ek hai, kaayenaat mein wahi wojod-e-baseet saraayat kiye howe hai, likin jahaa ta'aiyon hogaya to woh phir ghair hai, uska ain nahi.

Chunancheh in ka kahna hai ke ye kaayenaat ka wojod ek etebaar se ALLAH TA'ALA ke wojod ka ain aur dosre etebaar se is ka ghair hai. Yeh Ibn Arabi ka falsafah hai. Aur Ibn Arabi hamare deni halqon ki sab se ziyaadah mutanazea feeh (Controvercial) shakhsiyat hain. in ki himaaqat aur mukhalifat dono inteha ko pahunchi hain. Hamare sofiya ki azeem aksariyat inhe Shaikh-e-Akbar ke naam se jaanti hai. In ki kitaabein FOSOOS AL-HIKAM aur FATOHAAT-E-MAKKIYYAH tasawwof ki bahut ahem kitabein hai. Dosri taraf ikhtilaaf bhi itna shaded hai ke Imam Ibn Taimiyyah rahimahullah ne unko MULHID O ZINDEEQ qaraar dya hai aur jo bhi sharyi gaali hosakti thi unko di hai. Main ye waazeh kardena chahta honk e mein agar Shaikh Akbar ki kisi baat ki taayeed kar raha hon to who in ka sirf ye nazriyah hai baaqi mein ne nah Fosoos-ul-Hikam ka mutaliya kya hai, nah Fotohaat-e-Makkiyyah ka."(Umm-ul-Musabbihat, yani Surah al-Hadeed ki mukhtasar tashreeh, page:88)

Malom howa ke jis tarha Ibn Arabi WAHDAT-UL-WOJOD ka qaayil thaa, Dr. Israr Ahmed ka bhi biainihi wahi aqidah hai.

TANBIYAAH: Wahdat-ul-Wojod ka aqidah baatil hai.(Dekhiye: Meri kitab: Ilmi Maqaalaat:2/460-472)
 
Top