Do rak’at waali namaz mein tawarruk
❀Sawaal:❀
Tawarruk kab kiya jaayega? Kya Do rak’at waali namaz mein tawarruk sabit hai? Ya sirf chaar waali mein?
✿Jawaab:✿
Tawarruk har us tashahhud mein hai jis ke baad salaam hai. chaahe woh tashahhud pehli rakat mein ho, ya doosri (2nd), ya teesri (3rd), ya chauthi (4th), ya paanchwen (5th), ya saatwen (7th), ya nawen (7th) rakat mein. Kiunki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam har us tashahhud mein tawarruk farmaate the jis ke baad salaam pherte.
Abu Humaid Saaidi Radhiallahu Anhu ne das (10) Sahaba e Kiraam Ridhwaanullah Alaihim Ajma'een ki maujoodgi mein RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki namaz ka tareeqa bayan karte huwe farmaaya:
حَتَّى إِذَا كَانَتِ السَّجْدَةُ الَّتِي فِيهَا التَّسْلِيمُ أَخَّرَ رِجْلَهُ الْيُسْرَى وَقَعَدَ مُتَوَرِّكًا عَلَى شِقِّهِ الْأَيْسَرِ
Tarjumah: Yahan tak ke jab woh rakat hoti jis mein salaam pherna hai, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam apne baayein paaon ko hata lete aur baayein jaanib raan par baithte (tawarruk karte).(Sunan Abi Dawood : 730)
Isi tarah Umar bin Khattaab Radhiallahu Anhu ne logon se kaha ke main tumhein RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam waali namaz padh kar dikhaata hun to unhon ne do rakat namaz ada farmaayi pehli rakat mukammal ki:
ثم صلَّى ركعةً أخرى مثلَها، ثم استوى جالسًا، فنَحَّى رجليه عن مَقعدتِهِ وألزم مَقعدتَهُ الأرضَ
Tarjumah: phir doosri rakat bhi isi tarah ada ki phir baith gaye aur apne dono paaon ko apne maq'ad se door rakha aur apne maq'ad ko zameen par lagaaya (yani tawarruk farmaaya) aur phir namaz mukammal karne ke baad logon se kaha:هكذا كان رسولُ الله صلى الله عليه وسلم يُصلِّي بنا
Tarjumah: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam isi tarah hamein namaz padhaaya karte the.(Musnad Al-Farooq Li-Ibn e Kaseer: 94, Jild 1 page 209. Is riwayat ko Imam Baihaqi ne apni maaya naaz tasneef “Khilafiyaat” mein Hasan sanad se naqal farmaaya hai.)
Shaikh Rafiq Tahir Hafizahullah
واللہ اعلم بالصواب