Umar Asari

Administrator
Staff member
Dil ke murdah aur zindah hone ki teen nishaaniyaan hain?

Tehreer: Umar Asari Sanabili

✵Sawaal:✵
Kya yeh Hadees sahih hai?
“Teen (3) jagahon par apne dil ko dekho.... lagta hai ya ghabraata hai....
① Quran ke saamne baith kar dekho dil lagta hai ya ghabraata hai?
② Zikr ki majaalis mein baith kar dekho dil lagta hai ya ghabraata hai?
③ Tanhaayi mein baith kar dekho, dil Allah ke liye tadapta hai ya ghabraata hai?
Agar tera dil Quran se ghabraye, Allah ke zikr ki majaalis se ghabraye, tanhaayi se ghabraye to tu Allah se maang ke Allah tujhe dil ata farmaaye, tera dil mar chuka hai.

✯Jawaab:✯
Iski koi bhi sahih ya Za’eef sanad mujhe nahi mil saki. Mashhoor (famous) website “Ad-Dorar As-Saniyyah” mein is ke mutalliq likha hai:
ليس بحديث، بل هو من كلام الإمام ابن القيِّم في كتابه الفوائد​
“Yeh Hadees nahi hai, balki yeh Imam Ibn-ul-Qayyim Rahimahullah ka kalaam hai jo unki kitaab «Al-Fawaid» mein maujood hai.”

Goya ke yeh Hadees hi nahi hai lehaza is ki nisbat Nabi ﷺ ki taraf karna jaaiz nahi.
Ibn-ul-Qayyim Rahimahullah se yeh qaul in alfaaz ke saath marwi hai:
اطلب قلبك في ثلاثة مواطن: عند سماع القرآن، وفي مجالس الذِّكر، وفي أوقات الخَلوة، فإن لم تجده في هذه المواطن، فاسأل الله أن يمن عليك بقلب؛ فإنه لا قلب لك​
“Teen maqamaat par apne dil ko talaash karo:
➊ Quran sunte waqt
➋ Zikr ki majaalis mein
➌ Khalwat (tanhaayi) ke auqaat mein
Agar in maqamaat mein apne dil ko na paao to Allah ﷻ se dil maango kiunki tumhaare paas dil nahi.”
(Al-Fawaid Li-Ibn-e-Qayyim Shaikh Muhammed Uzair Shams ki tehqeeq ke saath: 218)

Faidah: Yeh qaul Ibn-e-Mas’ood Radhiallahu Anhu ki taraf bhi mansoob kar ke bayan kiya jaata hai. Lekin is qaul ki nisbat Ibn-e-Mas’ood Radhiallahu Anhu ki taraf karna sahih nahi hai jaisa ke Shaikh Abu Umar Usama Al-Utaybi ne wazahat ki hai.
 
Top