DEEN MEIN HAR NAYA KAAM BID'AT HAI


DEEN MEIN HAR NAYA KAAM BID'AT HAI

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

🔶BID'AT KA AASAAN MATLAB🔶

Bid'at Kehte Hain Kisi Naye Kaam Ke Nikaalney Ko.

Deen Ke Etebaar Se Har Woh Kaam Bida’t Hoga Jis Ka Saboot Qur'an Aur Ahaadees Aur Sahaaba (Raziyallaahu Anhum) Se Nahi Milta.

Deen Mein Har Naya Kaam Bid'at Hai.

Raavi-e-Hadees Jaabir Bin Abdullaah (Raziyallaahu Anhu),
Rasool Allaah (Sallallaahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaaya:

وَشَرُّ الْأُمُورِ مُحْدَثَاتُهَا،‏‏‏‏ وَكُلُّ مُحْدَثَةٍ بِدْعَةٌ وَكُلُّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ وَكُلُّ ضَلَالَةٍ فِي النَّارِ

"Aur Badd-Tareen Kaam Woh Hain Jinhein (Sharee’at Mein) Apni Taraf Se Jaari (Eejaad) Kiya Gaya. Har Aisa Kaam Bid'at Hai Aur Har Bidat Gumraahi Hai Aur Har Gumraahi Aag Mein Ley Jaayegi.”


[Sunan An-Nasaai, Hadees (Saheeh) : 1579]

Rasool Allaah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Farmaaya :

مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ فِيهِ فَهُوَ رَدٌّ

"Jis Ne Hamaare Deen Mein Koi Nayee Cheez Nikaali Jiska Deen Se Koi Ta'lluq Nahi Hai Tou Woh Mardood (Ya’ni Radd/reject) Hai."

[Saheeh Al-Bukhaari, Hadees : 2697]

Aaj Hum Dekhte Hain Ke Log Bida'aat Mein Padhey Huye Hain Chaahey Woh Ibaadat Ho Ya Aqeedah Ya Deen Ka Koi Bhi Muaamla Har Jagah Logon Ne Bida'aat Daakhil Kardi Hai.

Aur Ek Sachchaayi Yeh Bhi Hai Ke Bida't Jahan Daakhil Hoti Hai Wahan Se Sunnat-e-Rasool Nikal Jaati Hai.

Allaah Us Amal Ko Qubool Karega Jiska Hukm Nabi Ne Diya
Aur Woh Kaam Jo Nabi Ne Karney Ka Hukm Nahi Diya Woh Chaahey Hamaari Nazar Mein Kitna Bhi Khoobsurat Kyun Na Ho Woh Allaah Ke Yahaan Hargiz Qaabil-E-Qubool Nahi Ho Sakta.

Allaah Ta’aalaa Ne Farmaaya :

وَ مَنۡ یَّعۡصِ اللّٰہَ وَ رَسُوۡلَہٗ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلٰلًا مُّبِیۡنًا

"Aur Jis Ne Allaah Aur Us Ke Rasool Ki Naafarmaani Ki Woh Khuli Gumraahi Mein Padh Gaya."

[Soorah Ahzaab, Aayat : 36]

Jab Logon Se Kaha Jaata Hai Ke Yeh Kaam Na Karo Yeh Bida't Hai Tou Woh Jawaab Detey Hain Ke Bida't Tou Phir Har Cheez Hai.

"Jaise Rasool Allaah Ne Bus Mein Ya Train Mein Safar Nahi Kiya Aap Aur Hum Karte Hain Tou Yeh Bida't Hai Hamaara Libaas Bhi Bida't Hai Computer Use Karna Bhi Bida't Hai etc."

Yeh Jaahil Pann Ki Baat Hai Jab Ke Deen Mein Bida't Kisey Kaha Jaata Hai Bataadiya Gaya Hai.

Deen Mein Koi Naya Kaam Nikaalna Bida't Hai Jis Ka Saboot Qur-aan Aur Ahaadees Mein Na Miley.




《Muharrir: Abu Al-Hasan Al-Hindi Hafizahullah》
 

Similar threads


Top