Deen Ka Pahla Buniyaadi Usool: Allah Ta’ala Ki Ma’rafat


Deen Ka Pahla Buniyaadi Usool: Allah Ta’ala Ki Ma’rafat

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Allah Ta’ala na hamein paida kiya, rizq diya aur phir hamein shatrabe muhaar ki tarha aazaad aur be lagaam nahin chhod diya balke hamaari rahnumaayi ke liye Rasoolullah ﷺ ko mab’woos farmaaya. So jis ne Nabi ﷺ ki naafarmaani ki woh dozakh mein phenk diya jaayega.

Allah Ta’ala ka irshaad hai:

اِنَّاۤ اَرۡسَلۡنَاۤ اِلَیۡکُمۡ رَسُوۡلًا شَاہِدًا عَلَیۡکُمۡ کَمَاۤ اَرۡسَلۡنَاۤ اِلٰی فِرۡعَوۡنَ رَسُوۡلًا فَعَصٰی فِرۡعَوۡنُ الرَّسُوۡلَ فَاَخَذۡنٰہُ اَخۡذًا وَّبِیۡلًا

“Beshak hum ne tumhaari taraf ek Rasool bheja jo tum par shaahid hai, jaise hum ne, Fir’won ne Rasool ki naafarmaani ki to hum ne use nehaayat sakhti se pakad liya.”

[Surah Muzammil 73/15,16]

Allah Ta’ala ko yeh hargiz pasand nahin ke uski ibaadat mein kisi aur ko bhi uske saath shareek kiya jaaye, khaah woh koyi muqarrab farishtah ho ya koyi Rasool.

Allah Ta’ala ka irshaad hai:

وَّ اَنَّ الۡمَسٰجِدَ لِلّٰہِ فَلَا تَدۡعُوۡا مَعَ اللّٰہِ اَحَدًا

“Aur yaqeenan masjiden Allah hi ke liye hain, lehaaza Allah ke saath kisi ko bhi na pukaro.”

[Surah Jinn: 72/18]

Jo shaksh Rasoolullah ﷺ ki itaa’at aur ek Allah ki i’baadat karta ho, use qata’an zaib nahin deta ke woh aise logon se ta’alluqaat ya dosti rakkhe jo Allah Ta’ala aur uske Rasool ﷺ ki mukhaalifat karte hain, khaah woh uske kitne hi qareebi rishte daar kyun na hon jaisa ke Allah Ta’ala ne irshaad farmaaya:

لَا تَجِدُ قَوۡمًا یُّؤۡمِنُوۡنَ بِاللّٰہِ وَ الۡیَوۡمِ الۡاٰخِرِ یُوَآدُّوۡنَ مَنۡ حَآدَّ اللّٰہَ وَ رَسُوۡلَہٗ وَ لَوۡ کَانُوۡۤا اٰبَآءَہُمۡ اَوۡ اَبۡنَآءَہُمۡ اَوۡ اِخۡوَانَہُمۡ اَوۡ عَشِیۡرَتَہُمۡ ؕ اُولٰٓئِکَ کَتَبَ فِیۡ قُلُوۡبِہِمُ الۡاِیۡمَانَ وَ اَیَّدَہُمۡ بِرُوۡحٍ مِّنۡہُ ؕ وَ یُدۡخِلُہُمۡ جَنّٰتٍ تَجۡرِیۡ مِنۡ تَحۡتِہَا الۡاَنۡہٰرُ خٰلِدِیۡنَ فِیۡہَا ؕ رَضِیَ اللّٰہُ عَنۡہُمۡ وَ رَضُوۡا عَنۡہُ ؕ اُولٰٓئِکَ حِزۡبُ اللّٰہِ ؕ اَلَاۤ اِنَّ حِزۡبَ اللّٰہِ ہُمُ الۡمُفۡلِحُوۡن


“(Aye Nabi) aap (aisi) koyi qaum nahin paayeinge jo Allah Ta’ala jo Allah Ta’ala aur uske Rasool ki mukhaalifat karte hon agarcheh woh unke baap ya un ke bete ya unke bhaayi ya unka kumbah qabeelah ho. yahi log hain ke Allah ne unke dilon mein eemaan likh diya hai aur unhein apne ghaib ke faiz se quwwat bakhshi aur woh unhein aisi jannaton mein daakhil karega jinke neeche nahrein jaari hogi, woh un mein hameshah raheinge, Allah un se raazi ho gaya aur woh usse raazi ho gaye, yahi log Allah ka giroh hain, jaan lo! beshak (jo) Allah ka giroh hai wahi falaah paane waala hai.”

[Surah-Mujaadalah 58/22]


Yaad rahe! (Allah Ta’ala hamein seedhi raah dikhaaye) ke seedha raastah aur deen-e-ibraahimi sirf yeh hai ke hum Allah ke liye deen ko khaalis karte huye ek Allah hi ki i’baadat karein, Allah Ta’ala ne tamaam logon ko isi baat ka hukum diya hai aur unki takhleeq ka maqsad bhi yahi bayaan farmaaya hai jaisa ke irshaad-e-aa’li hai:

وَ مَا خَلَقۡتُ الۡجِنَّ وَ الۡاِنۡسَ اِلَّا لِیَعۡبُدُوۡن

“Aur main ne jin aur insaan isi liye to paida kiye hain ke woh meri hi i’baadat karein.”

[Surah Az-Zaariyaat 51/56]

Allah Ta’ala ne tauheed ke baare mein jo sab se aham hukm diya hai aur woh yeh ke ek Allah ki I’baadat ki jaaye, aur sab se bura f’el jis se roka gaya hai woh shirk hai aur woh yeh hai ke Allah wa’dahu la shareek ke saath kisi aur ko pukara jaaye,

Allah Ta’ala ne farmaaya:

وَ اعۡبُدُوا اللّٰہَ وَ لَا تُشۡرِکُوۡا بِہٖ شَیۡئًا

“Aur tum Allah ki I’baadat karo aur uske saath kisi ko shareek na thhahraao.”

[Surah An-Nisa 4/36]

Agar aap se yeh sawaal kiya jaaye ke woh kaun se teen usool hain jinhein jaanna insaan ke liye zaroori hai to aap saaf kah dein ke har insaan ko apne Rab, apne Deen aur apne Nabi hazrat Muhammad ﷺ ki kama haqqahu ma’rafat honi chaahiye.

Agar aap se poochha jaaye ke “tumhaara Rab kaun hai?” to aap kahein: “mera Rab Allah hai jis ne apni ne’maton se mujhe aur tamaam jahaanon ko nawaaza aur batadreej parwaan chaadhaay. Wahi mera ma’bood hai, uske siwa koyi ma’bood nahin. Farmaan e-laahi hai:

اَلۡحَمۡدُ لِلّٰہِ رَبِّ الۡعٰلَمِیۡنَ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡم

“Tamaam ta’reefein Allah hi ke liye hain jo saare jahaanon ka Rab hai.”

[Surah Al-Faatiha 1/2]

Ya’ni Allah ke siwa har cheez bajaaye khud ek jahaan hai aur un la ta’daad jahaanon mein se ek main bhi hoon.

Aur jab aap se sawaal kiya jaaye ke “tum ne apne Rab ko kaise pahchaana?” to aap kah deejiye ke Allah Ta’ala ki makhlooqaat aur uski nishaanyaan raat aur din, sooraj aur chaand bhi hain. Hamaare khaaliq wo malik ki be shumaar takhleeqaat mein saat zameenein aur saaton aasmaan bhi shaamil hain. Un zameenon aur aazmaanon, khlaaon aur fizaaon ke maabain (darmiyaan) tamaam maujoodaat aur makhlooqaat zabaan-e-haal se pukaar kar Allah ki zaat-e-aa’li aur uski a’zmat wo kibriyaayi ke gawaahi de rahi hain.

Allah Ta’ala ka farmaan hai:

وَ مِنۡ اٰیٰتِہِ الَّیۡلُ وَ النَّہَارُ وَ الشَّمۡسُ وَ الۡقَمَرُ ؕ لَا تَسۡجُدُوۡا لِلشَّمۡسِ وَ لَا لِلۡقَمَرِ وَ اسۡجُدُوۡا لِلّٰہِ الَّذِیۡ خَلَقَہُنَّ اِنۡ کُنۡتُمۡ اِیَّاہُ تَعۡبُدُوۡنَ


“Aur usi (Allah) ki nishaanyon mein se raat aur din aur sooraj aur chaand bhi hain. Tum log na to sooraj sajdah karo aur na chaand ko. Agar waaqayi tum usi ki I’baadat karte ho to tum uss Allah ko sajdha karo jis ne in (sab) ko paida kiya hai.”

[Surah Haammim Sajdah 41/37]

Mazeed farmaaya:

اِنَّ رَبَّکُمُ اللّٰہُ الَّذِیۡ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضَ فِیۡ سِتَّۃِ اَیَّامٍ ثُمَّ اسۡتَوٰی عَلَی الۡعَرۡشِ ۟ یُغۡشِی الَّیۡلَ النَّہَارَ یَطۡلُبُہٗ حَثِیۡثًا ۙ وَّ الشَّمۡسَ وَ الۡقَمَرَ وَ النُّجُوۡمَ مُسَخَّرٰتٍۭ بِاَمۡرِہٖ ؕ اَلَا لَہُ الۡخَلۡقُ وَ الۡاَمۡرُ ؕ تَبٰرَکَ اللّٰہُ رَبُّ الۡعٰلَمِیۡنَ


“Beshak tumhaara Rab woh Allah hai jis ne aasmaanon aur zameen ko chhe dino mein paida kiya, phir woh a’rsh par mustawi ho gaya. Woh din ko raat se iss tarah dhaanpta hai le woh (raat) jaldi se use (din ko) aa leti hai aur uss ne sooraj chaand aur taare iss tarah paida kiya ke woh sab uss (Allah) ke hukm ke paa band kar diye gaye hain. Aagaah raho! Paida karna aur hukm saadir karna usu ke liye rawaa hai, Rabbul Aalameen bohut baa barkat hai.”

[Surah Al-A’raaf 7/54]

Rab se muraad woh ma’bood-e-haqeeqi hai jiski ibaadat ki jaye. Farmaan-e-Ilaahi hai:

یٰۤاَیُّہَا النَّاسُ اعۡبُدُوۡا رَبَّکُمُ الَّذِیۡ خَلَقَکُمۡ وَ الَّذِیۡنَ مِنۡ قَبۡلِکُمۡ لَعَلَّکُمۡ تَتَّقُوۡنَ الَّذِیۡ جَعَلَ لَکُمُ الۡاَرۡضَ فِرَاشًا وَّ السَّمَآءَ بِنَآءً ۪ وَّ اَنۡزَلَ مِنَ السَّمَآءِ مَآءً فَاَخۡرَجَ بِہٖ مِنَ الثَّمَرٰتِ رِزۡقًا لَّکُمۡ ۚ فَلَا تَجۡعَلُوۡا لِلّٰہِ اَنۡدَادًا وَّ اَنۡتُمۡ تَعۡلَمُوۡنَ

“Aye logo! Tum apne Rab ki ibaadat karo jis ne tumhein paida kiya aur un logon ko bhi jo tum se pahle the taake tum parhez gaar ban jaao. Woh (Rab) jin ne tumhaare liye zameen ko hichhowna banaaya aur aasmaan ko chhat (banaaya) aur usne aasmaan se paani nazil kiya, phir uske zariye se (kayi qism ke) phalon se tumhaara liye rizq nikaala. Bas tum Allah ke saath shareek na thhahraao, iss haal mein ke tum jaante ho.”

[Surah Al-Baqaarah 2/21,22]

Ibaadat Ke Aqsaam
 
Last edited:

Similar threads


Top