Deen E Islaam Sarapa Adal Hai


Deen E Islaam Sarapa Adal Hai

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab
Romanised by Khadija Muhammadi

Adal,Haq,Barabari,Yaksaniyaya Aur Raasat Ke Mani Me Istemaal Hota Hai. Duniya Ka Koi Bhi Nizaam Adal Se Khali Hone Par Nizaam Kehne Ke Laaiq Nahi Hai. Nizaam Kehte Hi Hai Sidhi Raah Ko. Yahi Wajah Hai Ke Islaam Ka Sara Nizaam E Adal Par Qaaim Hai Ba Alfaaz E Deegar Adal Aur Insaaf Ke Bagair Islaam Ka Adna Tasawwur Bhi Baqi Nahi Reh Sake Ga Qayamat Ke Din Allaah Adal Ke Zariya Hi Bando Ke Aamaal Ka Pura Putra Badla De Ga.
Duniya Chun Ke Imtihaan Aur Aazmaaish Ki Jagah Hai Yaha Ghar Se Le Kar Mulk Tak Aur Station Se Le Kar Adaalat Har Jagah Hame Kabhi Adal Nazar Aata HAI Aur Kabhi Iske Bar Khilaaf Zulam Dikhaai Deta Hai Balke Yah Kehna Be Ja Na Hoga Ke Duniya Ki Aksar Jagho Me Adal Kam Aur Aksar Zulam Aur Joor Hi Nazar Aata Hai. Nabi SAV Ne Deen Ke Tamam Umoor Me Miyana Rawi Ikhtiyaar Karne Ka Hukam Diya Hau Yah Ain Adal Hai. Ibaadat Kare Darmiyana Ravi Ke Sath Jis Me Zulam Na Ho Garz Yah Ke Islaam Ki Tamam Taaleemat Adal Par Mabni Hai Kuy Ke Yah Min Jaanib Allaah Hai. Gairullaah Ki Janib Se Nizaam E Zindagi Aur Siyadat Aur Qayadat Ke Liye Jaisa Bhi Dastoor Bana Liya Jaae Usme Adal Nahi Hoga,Adal Hoga Bhi To Baraae Naam Hoga. Qur'aan Me Allaah Ne Is Baat Ki Taraf Isharah Kar Diya Hai Ke Agar Yah Kitaab(Qur'aan) Allaah Ke Alawah Dusro Ke Janib Se Hota To Tum Isme Bahut Ziyada Ikhtilaaf Paate Jab Haal Yah Hai Ke Insaano Ka Banaya Hua Koi Bhi Dastoor Ikhtilaaf Se Khali Aur Adal Par Mabni Nahi Ho Sakta Hai To Fir Hukoomat Aur Adalat Ke Is Dastoor Ke Zariya Insaaniyat Ko Kaise Adal Insaaf Mile Ga?
Allaah Duniya Me Qur'aan Ki Shakal Me Aadilana Nizaam E Zindagi Aur Dastoor E Hayaat Bhej Kar Insaano Par Bada Karam Kiya Hai Is Dastoor Ko Duniya Ke Jis Khitte Me Naafiz Kiya Jaae Waha Aman Aur Amaan Hoga,Ameer Aur Gareeb Me Barabar Salook Hoga,Adal Aur Insaaf Ke Saya Me Log Be Khauf Ho Kar Zindagi Guzaar Sake Ge Koi Bilawajah Kisi Par Ziyadati Karne Se Bache Ga Zaalim Ko Uske Kiye Ki Saza Aur Mazloom Ko Pura Pura Insaaf Mile Ga Yaha Tak Ke Is Khitta Me Rehne Wale Haiwani Ke Sath Bhi Ahsaan Aur Salook Kiya Jaae Ga.
Alhamdulillaah Insaano Me Kaainaat Ke Sab Se Bade Aadil Aur Munassaf Muhammad SAV Ne Allaah Ka Aadilana Paigaam Apni Ummat Tak Adal Aur Insaaf Ke Sath Pohnchaya Aap SAV Ne Zindagi Ke Har Mod Par Apni Ummat Ko Na Sirf Adal Ka Daman Thamne Ka Hukam Diya Balke Adal Aur Insaaf Ke Baab Me Aysi Misaal Paish Ki Jis Ki Nazeer Duniya PAISH Karne Se Qaasir Hai. Is Ka Andaza Sahih Bukhari Ke Ek Waqia Se Laga Sakte Hai Ke Ek Bade Khandan Ki Aurat Fatimah Bint Aswad Ne Chori Kar Li,Islaam Me Ayse Mujrim Ki Saza Haath Katna Hai. Bade Khandaan Ki Hone Ki Wajah Se Logo Ko Fikar Laahiq Ho Gai Ke Agar Uska Haath Kaat Liya Jaae TO Uske Sath Pure Khandaan KI Ruswai Hai Is Liye Logo Ne Is Mamle Me Rasool SAV Se Sifarish Ki Sochi Chunacha Usmah Bin Zaid RA Is Aurat Ki Sifarish Ke Liye Nahi Je Paas Aae. Nabi Ne Is Waqt Usamah Bin Zaid Aur Apni Puri Ummat Ki Aysi Taalim Di Jis Ke Misaal Qayamat Tak Koi Haakim,Juge,Wakeel,Leader,Aur Rehnuma Nahi Paish Kar Sakta. Aaiye Jante Hai Ke Aap Ne Kya Farmaya:
Pichli Bahut Si Ummate Is Liye Halaak Ho Gai Ke Jab Unka Koi Shareef Aadmi Chori Karta To Use Chhod Dete AUR Agar Koi Kamzor Chori Karta To Us Par Had Qaaim Karte Aur Allaah Ki Qasam! Agar Fatimah Bint Muhammad SAV Bhi Chori Kare To Me Uska Bhi Haath Kaat Dalu. Bhala Duniya Ka Kaun Sa Haakim Apni Beti Ko Chori Ki Saza Ke Taur Par Us Ka Haath Kaat Sakta Hai? Yaqeenan Koi Bhi Nahi. Haa Woh Haakim Aysa Kar Sakta Hai Jo Islaam Ka Sachcha Pairokaar Hoga Aur Allaah Se Bahut Ziyada Darne Wala Hoga.
Taarikh Gawaah Hai Ke Nabi SAV Ke Naqsh E Qadam Par Chalte Hue Khulfaae Raadhideen Ne Apne Zamana Me Logo Ke Sath Waisa Hi Adal Aur Insaaf Kiya Jis Ki Taalim ALLAAH Aur Uske Rasool Ne Di Hai. Umar RA Ne Logo Ke Ikhtilaaf Aur Mamla Hal Karne Ke Liye Qaazi Muntakhab Kiye Aur Aap Ke Baad Dusre Khalifa Bhi Mansab E Qaza Aur Daarul Qaza Bahaal Rakhe,Qaazi Ko Baqaidah Salary Di Jati Hai Taaki Gair Janibdaar Ho Kar Adal Aur Insaaf Par Mabni Faisla Kar Sake. Khulfaae Rashedeen Ke Baad Bhi Islaam Ke Naam Leva Deen Par Amal Karne,Talimat E Ilaahiya Ki Isha'at Karne Aur Logo Ke Darmiyan Mamlaat Karne Me Adal Ka Daman Thama.
Muhammad SAV Ne Aadil Hukmaran Ki Hosla Afzaai Ki Hai Aur Adal Ke Sath Hukmaraani Karne Walo Ke Buland Darjaat Ka Zikar Farmaya Hai Nabi SAV Ki Un Taalimat Se Jaha Ek Taraf Muslim Hukmaran Ko Adal Karne Me Targeeb Milti Hai Wahi Zulam Aur Ziyadati Ke Bhayanak Nataij Se Khauf Khate Hue Kisi Ki Haq Talafi Aur Jaanibdari Se Allaah Se Dar Mehsoos Karta Hai.
Hindustaan Ke Muslim Hukmaran Ki Baat Ki Jaae Jinhone Hindu O Ki Aksariyat Mulk Par Senkdo Saal Hukmaraani Ki To Bila Shak Kaha Jaae Ga Ke Un Sabhi Ne Bila Imtiyaaz Sabhi Hindustaniyo Ke Sath Insaaf Se Kaam Liya. Khaas Aur AAM Aur Khususan Insaaf Ke Liye Unke Darbaro Me "Diwaane Aam" Hota Jaha Har Kisi Ki Fariyad Suni Jati Balke Kitne Hukmaraano Ke Yaha Zanjeer Adal Hota Jise Hala Kar Mazloom Apni Awaaz Aasani Ke Sath Badshaah Tak Pohncha Sakta Tha. Zanjeer E Adal Ka Matlab Yah Tha Ke Har Kisi Mazloom Se Badshaah Aagaah Rahe Aur Use Mukammal Insaaf De Sake. Un Hukmaraano Ki Gair Muslimon Ke Sath Rawadari,Adal Aur Insaaf Huqooq Aur Muraaat Aur Ahsaan Aur Salook Hindustani Taarikho Ka Roshan Baab Hai Aaj Kai Muslim Badshah Jin Me Zaheeruddin Babar Bhi Hai Jin Ko Hindustani Hukoomat Zaalim Badshah Ki Shakal Me Paish Karti Hai Yah Sarasar Ziyadati,Taarikh Ke Sath Khilwaad Aur Aaj Ke Musalmano Ke Sath Zulam Aur Na Insaafi Hai.
9 November 2019 Baroz Sanichar Hindustaan Ki Supreme Court Ne Babri Masjid Qaziya Me Na Insaafi Karte Hue Yah Faisla Sunaya Hai Ke Yah Masjid Raam Janam Bhumi Hai Is Jagah Hindu Raam Mandir Taamir Kare Ga.
Ham Ko Unse Hai Wafa Ki Ummid
Jo Nahi Jante Wafa Kya Hai.
Babar Kya,Koi Bhi Muslim Haakim Na Kisi Hindu O Ka Ghar Jalaya,Na Kahi Garo Darwaza Toda,Na Mandir Tudwa Kar Us Par Masjid Banwaai,Na Haq E Khoon Bahaya Yaha Tak Ke Kisi Ko Jabran Musalman Nahi Banaya. Babar Ne To Apni Aulaad Humayu Aur Banaras Ke Haakim Abul Hasan Ko Mandir Dhahane Se Khususi Taur Par Mana Kiya Tha. Khair Babri Masjid Ke Silsile Me Jo Hona Tha So Ho Gaya,Adalat Ka Faisla Shayad Ab Badla Bhi Nahi Ja Sakta,Babri Masjid Ki Jagah Raam Mandir Taamir Ho Kar Rahe Ga Taaham Yah Taarikh Kabhi Nahi Mit Paae Gi Ke Babri Masjid Tod Kar Uske Malbe Par Raam Mandir Banaya Gaya Sath Hi Adalat Ki Yah Sachchi Baat Bhi Yaad Rahe Gi Ke Babri Masjid Ki Tameer Ke Waqt Koi Mandir Nahi Toda Gaya Tha.
Ab Sochna Ya Karna Kya Hai? Upar Me Ne Bataya Hai Ke Allaah Ke Deen Ke Alawah Kisi Dastoor Me Adal Aur Insaaf Mumkin Nahi Hai, Is Se Hak Musalmano Ko Ek Sabaq Milta Hai Ke Duniya Me Adal Chahte Hai To Fir Hame Allaah Ke Deen Ki Taraf Aana Hoga Aur Kitabullaah Ko Hi Apna Dastoor Banana Padhe Ga.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Other Topics 0

Similar threads


Top