Shona shaikh

Active member
DAJJAL Insaan hai ya Shaitan

Tahreer: Maqbool Ahmad Salafi

Romanised By: Mohammadiyah
➖Dajjal ka Khurooj qayamat ki badi nishaniyon mein se ek hai aur Dajjal Allah ki makhluqaat mein se ek makhlooq hai. Yeh aakhri zamane mein zahir hoga, oluhiyat ka daawa karta phirega aur zameen mein khoob fitnah wa fasaad phailayega. Dajjal ka fitnah itna bada hai ke har namaz mein is se panah mangi jati hai aur har nabi ne apni qoum ko is fitne se daraya hai. Isah Alaihis salam ke hathon yeh qatal hoga.

Dajjal insaan hai ya shaytan is mein ahal ilm ke darmiyan ikhtilaaf hai.
1. Baaz ne insaan kaha hai.
2.Baaz ne Shaitan kaha hai.
Aur
3. Baaz ne dono ka inkaar kiya hai.

➖Teesre mauqif wale ka kehna hai ke Dajjal ke insaan ya Shaitan hone ki koi Sareeh Daleel nahi hai jabke dusre mauqif wale Shaitan se mutalliq baaz qurani ayaat wa ahadees se Dajjal ke Shaitan hone pe fit karte hain.
Rajeh maslak yeh hai ke Dajjal Allah ke bandon mein se ek bandah, is ki makhlooq mein se ek makhlooq aur mazboot jism wala insaan hai.
Is ki Daleel yeh hai ke Tamim daari RaziAllah anhu ne Dajjal ko dekha aur is ki kaifiyat bayan ki hai, is hadees mein Dajjal ke liye jahan Rajal ( aadmi ) ka lafz aaya hai wahin yeh alfaaz bhi mazkoor(named) hain:
فانطلقنا سراعا حتى دخلنا الدير فإذا فيه أعظم إنسان رأيناه قط​
Tarjumah: Tamim daari Razi Allah anhu bayan karte hain ke hum jaldi se us girjey mein pahunche to hum ne ek bada qawi haikal insaan dekha ke is se qabl(pahle) hum ne waisa koi insaan nahi dekha tha.
(Sahih Muslim: 2942)

Is baat se bhi Dajjal ke insaan hone ka pata chalta hai ke shaher Asbahaan se yahudi Naami qabeeley se is ka Khurooj hoga, jaisa ke masnad Ahmed mein Anas bin maalik Razi Allah anhu se rivayet hai
يَخْرُجُ الدَّجَّالُ مِنْ يَهُودِيَّةِ أَصْبَهَانَ ، مَعَهُ سَبْعُونَ أَلْفًا مِنْ الْيَهُودِ ، عَلَيْهِمْ السيجان​
Tarjumah: Dajjal ka Khurooj sar zameen (khrusaan ke shaher) Asbihaan se aur yahudiya Nami qabeeley se ho ga aur yahood mein se sattar hazaar aise afraad(log) Dajjal ki pairwi karenge, jin par sabz chaadrein hon gi.
(Musnad Ahmed: 13344)

Ibn hajar aur deegar muhaqqiqeen ne is hadees ki tas'heeh ki hai.
Anas Razi Allah anhu se is maayne ki rivayet muslim shareef mein bhi hai
يتبعُ الدجالَ من يهودِ أصبهانَ سبعونَ ألفًا عليهم الطَّيالِسَةُ​
Tarjumah:Syedna Anas bin maalik Razi Allah anhu se rivayet hai ke Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya: asfahaan ke sattar hazaar yahudi siyah chaadrein odhey hue Dajjal ki pairwi karenge.
(Sahih Muslim: 2944)

Yahan ek nuqta aur bhi pata chalta hai ke sabz pagdi ya sabz chadar yahudion ka mazhabi shi'aar hai aur islam ne musalmanon ko yahood o nasari samet tamam kuffar ke mazhabi shi'aar ki mushabihat aur naqqaali(naqal utarna) ikhtiyar nah karne ki takeed ki hai, aur un ki mushabihat ikhtiyar karne aur naqqaali karne par sakht wa'eed hai.

Ibn Umar RaziAllahu anhu se rivayet hai ke Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya:
من تشبه بقوم فهو منهم​
▫"jis ne kisi qoum ki mushabihat ikhtiyar ki woh un hi mein se hai."
(Sunan Abu Dawud: 4031)

Sheikh albani ne isey sahih qarar diya hai.
(Irwa ul Ghaleel:1269)
 
Last edited:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0

Similar threads


Top