DAJJAAL KE FITNE SE ALLAAH KI PANAAH MAANGNA


DAJJAAL KE FITNE SE ALLAAH KI PANAAH MAANGNA

بسم الله الرحمن الرحيم
• Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ne farmaaya:

مَنْ حَفِظَ عَشْرَ آيَاتٍ مِنْ أَوَّلِ سُورَةِ الْكَهْفِ عُصِمَ مِنْ فِتْنَةِ الدَّجَّالِ

"Jo (Musalmaan) Sooratul-Kahf ki ibtedaayi Dus Aayaat yaad karlega (toh) woh Dajjaal ke fitne se mehfooz rahega."


• Imaam Abu Daawood (Rahimahullaah) kehte hai:

وَكَذَا قَالَ هِشَامٌ الدَّسْتُوَائِيُّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ قَتَادَةَ، ‏‏‏‏‏‏إِلَّا أَنَّهُ قَالَ مَنْ حَفِظَ مِنْ خَوَاتِيمِ سُورَةِ الْكَهْفِ، ‏‏‏‏‏‏وَقَالَ شُعْبَةُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ قَتَادَةَ مِنْ آخِرِ الْكَهْفِ.

Aur Isi tarah Hishaam Dastuwaayi ne Qataadah (Rahimahullaah) se riwaayat kiya hai magar us mein hai: Jisne Sooratul-Kahf ki aakhri aayatein yaad kee. Shu'bah ne bhi Qataadah se Al-Kahf ke aakhir se ke alfaaz riwaayat kiye hain. [1]

FAWAAYED: Hifz (yaad) karne ke saath saath is se ye bhi muraad hai ke unko pardhne ka ma'mool bana liya jaaye aur baar baar pardhne ki aadat daal lee jaaye bil-khusoos har Jumu'ah ke din poori Sooratul-Kahf ki tilaawat karna jaisa ke deegar riwaayaat mein aata hai.

• Dajjaal ka fitnah khatarnaak hoga isi liye Nabi Al-Malhamah (ﷺ) har namaaz mein is fitne se Allaah ki panaah maanga karte the jaisa ke Tashahhud mein Durood ke ba'd du'aa manqool hai lihaaza un aayaat ka pardhna Insaan ko us azeem fitne se bachaane ki wajah hoga chunaanche unka khoob ehtemaam karna chaahiye.

• Taawus ne Ibn Abbaas (Raziyallaahu 'Anhumaa) se riwaayat kee ke Rasool Allaah (ﷺ) un (sab Sahaabah) ko is du'aa ki ta'leem is tarah dete the jis tarah unhein Qur'aan e Majeed ki kisi soorat ki ta'leem dete the.

• Rasool Allaah (ﷺ) farmaate the: Sab kaho:

اللهُمَّ إِنَّا نَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ

"Aye Allaah! Hum Jahannam ke azaab se Teri panaah maangte hain aur main qabr ke azaab se Teri panaah maangta hoon aur Maseeh Dajjaal ke fitne se Teri panaah maangta hoon aur Zindagi aur Maut ke fitne se Teri panaah maangta hoon."

• Imaam Muslim (Rahimahullaah) ne kaha:

بَلَغَنِي أَنَّ طَاوُسًا قَالَ لِابْنِهِ: أَدَعَوْتَ بِهَا فِي صَلَاتِكَ؟ فَقَالَ: لَا، قَالَ: أَعِدْ صَلَاتَكَ، لِأَنَّ طَاوُسًا رَوَاهُ عَنْ ثَلَاثَةٍ أَوْ أَرْبَعَةٍ، أَوْ كَمَا قَالَ

Mujhe ye baat pohnchi hai ke Taawus ne apne bete se poocha: Kya tumne apni namaaz mein ye du'aa maangi hai? Usne jawaab diya nahin. Us par Taawus ne kaha: Dobaarah namaaz padho kyunke unhone ne (Hadees mein mazkoor) ye du'aa teen Ya chaar Sahaabah se riwaayat kee Ya jaise unhone kaha. (Ya'ni jitne Sahaabah se unhone kaha). [2]

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

_____________

References:

[1] Sunan Abu Daawood: 4323 (Saheeh); Saheeh Muslim: 1883 - 257 - 809a; Jaami' Al-Tirmizi: 2886; Mishkaat Al-Masaabeeh: 2126.

[2] Saheeh Muslim: 1333 - 134 - 590; Mishkaat Al-Masaabeeh: 941.
 
Top